Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Saturday, April 08, 2017

MERAJ E MUSTAFA


MERAJ E MUSTAFA


PART:-01


SARKAR ﷺ KI MERAJ KA BAYAN QURAN SHARIF ME AAYA HAI



QURAN


سُبْحَٰنَ ٱلَّذِىٓ أَسْرَىٰ بِعَبْدِهِۦ لَيْلًا مِّنَ ٱلْمَسْجِدِ ٱلْحَرَامِ إِلَى ٱلْمَسْجِدِ ٱلْأَقْصَا ٱلَّذِى بَٰرَكْنَا حَوْلَهُۥ لِنُرِيَهُۥ مِنْ ءَايَٰتِنَآ ۚ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلْبَصِيرُ

REF (SUREH BANI ISRAEEL, AYAT-01)




TARJUMA 


Paki Hai Use Jo Apne Bande ko Rato Raat Le gaya Masjid E Haram Se Masjid e Aqsa Tak Jiske Gird O Gird Humne Barqat Rakhhi Ke Use Apni Azeem Nishaniya Dikhae Beshak Wo Sunta Dekhta Hai

REF (TARJUMA KANZUL IMAAN)


SHAAN-E-NUZUL 


Jab Saiyed E Alam صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Meraj Ki Raat Me Buland Martabe Aur Unche Darjo Par Faiz Hue To Rab Taa'la Ne Khitab Farmaya Aapse Kaha Muhammad صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ye Fazilat O Sharf Mene Kyo Ata Farmaya Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ne Arz Kiya Is Liye ki Tune Muje Abdiyat Ke Sath Apni Taraf Mansub! Farmaya Isper Ye Mubarak Ayat Nazil Hui...

REF (TAFSIR-E-KHAZIM)


Meraj Sharif Allah ke Mehboob صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ka Ek Bahot Bada Zalil-ul-Qadr Moziza Aur Allah Taa'la Ki Niyamat Hai Aur Isse Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ka Wo Qamal E Qurb Aur Allah ke Sabse Nazdeek hona Zahir Hota hai Jo Allah ki Makhluk me Kisi ko Muyassar nahi....

Elaan E Nabuwwat ke 20 ve saal SARKAR صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Meraj Se Nawaze Gae Mahine me Ilhtilaf hai Magar Jyada Mashoor Rajjab Sharif ke 27 Mi Shab ko Meraj Hui Makka Muqarrama Se Baytul Muqaddas Tak Raat ke Thode Hisse me Tashrif le Jana Quran Se Sabit hai....

Meraj ka Na Manne wala
Quran se inkar karne wala hai Aur beshak Kafir hai Aur Aasmano ki Ser aur Manzile Qurb me Pahochna Sahi Aur Mashoor Qutabo Se Sabit hai Iska Munkir Gumrah Hai

Meraj Sharif Ba-Halat E Bedari me Hui Ye aalame Islam ka Aqeeda hai Aur Ashabe Rasool صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ki Bahot si Jamate Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ke Jalilul Qadr Sahaba Isi Ke manne Wale hai

REF (TAFSIR-E-NAEEMI)


AYATE ME'RAJ KI TASHREEH


KHALEEK-E-KAYNAT NE APNE MEHBOOBE PAAK KE SAFARE ME'RAJ KA TAZKIRA KIS PYARE ANDAAZ ME FARMAYA HAI USKO HUM APKE SAMNE AYATE ASRA KI TAHSRIF SE BATATE HAI


LAFZ(سُبْحَٰنَ)SUBHAAN


Hafiz Ibne Kaseer Ne Apni Tafseer Me Likha Hai ke Tasbih Ka Lafz (سُبْحَٰنَ) Ke Lafz Ke Maane Pakar Aur Tasbeeh Ke Maane Paki Bayan Karne ko Hote hai Umure Azeem (Bhot Bada Ya Azeemushaan Kaam) Ke Liye Hota hai...

YE Tasbeeh Umur-E-Azeema ke Liye Istemal Hoti Hai Agar Ye Waqiya(Me'raj) Khawab Ka Hota to Fir Esi Azeem Shey Na Hoti Jiske Liye Tasbeeh ka Lafz Istemal Hota Upar ki Sharah se Ye bat Asani se Samaj me Aati hai Ke Ayate Asra ke Shuru me Lafz "SUBHAAN" Ka Hona Is Baat ki Taraf Ishara Hai Ke Me'raj Koi Kashaf Ya Khawab Ka Waqya Nahi Balke Ye Halate Bedari Ka Mubarak Waqiya hai...
Allah Taa'la Alim Aur Khabeer hai(Sabkuch Janne wala) Wo Janta tha Ke Ye Batin ke Andhe Aur Haqiqat se Na Waqif Logo ke Samne Jab Bhi Me'raj Ka Zikr hoga To Woh Apni Tang Nazri Aur Jahalat ki Wajah se Me'raj Ka Inkar Karenge Unko Ikrar Karne ki Toufeek Na hogi..

"SUBHAN" Lafz Hone me Hiqmat Ye hai Ke Un Batin Ke Andhe Logo ko Khabar ho Jaye Ke Jab Unki Nazar Me'raj Ke Ajeeb-O-Garib Waqiye Par Pade Aur Woh Kahe Ke Ye Kese ho Sakta hai To "SUBHAN" Lafz Is Haqiqat Se Wakif Kar de Ke "JISNE ME'RAJ KARAYI WO SABSE BADA KUDRAT WALA HAI" Aazizi Aur Bekasi Aur Majboori se Paak Hai Aur Aazizi Aur Bekasi Uske Liye Na'mumkin Aur Muhal hai Uske Liye Me'raj Se Apne Habib ko Nawazna Kuch bhi Mushkil Nahi.

Arabi Zuban Ke Qanoon Ke Mutabik "SUBHAN" Lafz (ح/ب/س) Ke Maade Se Bana Huwa Hai Aur Lugat Ke Aetebar se Uske Mayne Tez Raftar Ke Hote hai Jesa Ke Arab Ke logo Ka Dastoor hai Ke Jis Waqt Ghoda Tezi se Doudta Huwa Nikal Jaye To Kehte hai "SABHA" Isliye Lafz "SUBHAN(سُبْحَٰنَ)" Ne Is Baat Ka Elaan Kar Diya Ke Aane Wale Mazmoon Me Kisi Khaas Tez Raftar ka Bayan Hone Wala hai.

REF (MERAJ-UN-NABI JILD-01, SAFA-20/21)


LAFZ(ٱلَّذِىٓ)"AL'LAZI":-


Ye Ism'e Mosul Hai Mayne Hote hai Wo Zaat Halanke Ye Ayesa Lafz Hai Ke Har Cheez Par Wo Aa Sakta hai Magar Jis Zaat Ko Qameel Pure Tour se "Al'lazi" Kaha Ja Sakta hai Woh Zaat Hai Parwardigare Aalam Ki Wohi Ma'bood Barhaq Ibadat Ke Layak hai Aur Usi ke Liye Wuzube Zaati(Yani Uski Zaat ka Hona Zaruri Uske Bager Duniya Ka Wajood Ho Nahi Sakta) Lazim Hai Aur Wuzube Zaati "Al'lazi" Ka Kamal Hai Lafz Al'lazi (Yani Daleel Ya Saboot Dene Wala) Aur Allah ki Zaat Madlul Hai...

LAFZ (أَسْرَىٰ) "ASRA":-


ASRA Ka Lafz Waha Par Aata hai Jaha Sair(Ya Kahi Par Jana) Halate Bedari(Hosh Hawas) Me Ho Khawab Ya Kashaf Ki Halat Me Sair Ke Liye Nahi aata Quran me hai.

FARISHTE BOLE AYE LOOT TUMHARE RABB KE BHEJE HUWE HAI WO TUM TAK NAHI PAHUCH SAKTE TO APNE GHAR WALO KO RAATO RAAT


Aur Hazrate Moosaعليه السلام Ke Waqiye me Hai


YANI MERE BANDO KO RAATO RAAT LE NIKAL ZAROOR TUMHARA PICHA KIYA JAEGA


Lafz ASRA Ke Mayne Hai "LE GAYA" Aur Azhab Aur Zahba Ke bhi Mayne Hai "LE GAYA" Lekin "ASRA Aur AZHABA-W-ZAHBABEHI" Ke Mayne Me Ek Fark Hai Woh Ye Ke Agar Jane Wale ke Sath Le Jane Wala Khud Bhi hai To Lafz Asra Bola Jaega Lekin Azhab Aur Zahbabehi Me Jane Wale Ke Sath Le Jane Wale Ka Hona Zaroori Nahi, Aur Lafz ASRA Musarrat W Khushhali Par Laya Jata Hai Magar Azhaba Aur Zahbabehi Me Ye Khusussiyat Nahi...
Lihaza Jo Log Huzur ﷺ Ki Me'raj Jismani Ke Munkir Hai Aur Kehte Hai Ke Insan Ke liye Itni Jaldi Itna Taweel Safar Aur Ajeebo Garib Bato ka Mushaheda Na Mumkin hai Aur Ye ho hi Nahi Sakta  To Yahi Lafz ASRA Unko Jawab De Raha hai Ke Jane Wale Mehboob Ke Sath Lejane Wala Muhib Yani Tamam Aalam Ka Payda Karne Wala Allah Taa'la Bhi to Hai Jiske Liye Ye kaam Zarra Barabar Bhi Mushkil Nahi Yane Ye Lafz Sarkar ke Jismani Me'raj Ki Khuli Huyi Daleel Aur Saboot hai...

Ref (MERAJ-UN-NABI JILD-01, SAFA-21/22)


LAFZ(بِعَبْدِه) "BE'ABDIHI" :-


Hafiz Ibne Kaseer Aur Imam Tibri Ne Tashrih Ki Hai Yane Bataya hai Ki Isme Jo Abdaka Lafz Aya Hai Jiska Itlak Rooh May Jasd Par Hota Hai Yani Rooh Ke Sath Jism Ka hona Lazimi Aur Zaroor Haq Sirf Rooh ko Abd Nahi Kaha Ja Sakta, Qurane Paak Me Jaha bhi Abd Aya Hai Rooh Ke Sath Jism Bhi Murad hai...

AL-QURAN


AUR AGAR TUMHE KOI SHAK HO JO USME HUMNE APNE UN KHAAS BANDE PAR UTARA




AUR HUMARE BANDE AIYUB KO YAAD KARO


BESHAK MERE BANDO PAR TUMHARA KUCH QAABU NAHI..


AASMANO AUR ZAMEEN ME JITNE HUM SAB USKE HUZUR BANDE HOKAR HAZIR HONGE


Shabe Me'raj Nabi-E-Kareem ﷺ Ki Sair Yane Allah Ki Taraf Jana Aur Allah Ka Banda Hone Ko Sair Allah Aur Raf'a Elas'sama Se Khaas Nisbat Hai Isliye Hazrat Isa عليه السلام Jinhone Apne Apko Abdullah Hone ka Elaan Kiya Unke Liye Bhi Sair Allah Aur Aasman Ki Taraf Ru'ju Hona Bhot Hi Munasib Hai...

Mgar Fark Ye Hai ke Huzur ﷺ Ki Abdiyat Yane Banda Hona Allah Ta'ala  Farma Raha hai Aur Isa عليه السلام Apne Aap Allah Ka Banda Hone Ka Khud Elaan Farma Rahe hai Baat Zahir hai ke Banda Hone Ka Elaan Jo Allah Ki Taraf Se Ho Uska Banda Hona Usse Buland Hai Jo Bazaate Khud Apni Taraf Se Banda Hone Ka Elaan Karta hai Usse Zahir hai Ke Hazrat Isa عليه السلام Aur Nabi-E-Kareem ﷺ Ki Bulandi Me Sama-E-Saani Se Lekar Dana Fatadalla Tak Ka Tafawat Payda Ho Gaya.
Allah Taa'la Is Ayate Kareema me Lafz Abd Se Apne Mehboob Ka Zikr Kiya, Rasool Ya Nabi Ya Habib Ka Lafz Yaha Laya Na Gaya Iska Kuch Maqsad hai...

(1) Hazrat Isa عليه السلام Ko Yahoodiyo ne Jab Qatl Karna Chaha To Allah Taa'la ne Unko Aasman Ki Bulandiyo Par Bula Liya Isa عليه السلام Ki Ye Fazilat Aur Kamal Ko Dekhkar Isaiyo Ne Unko Allah Ka Beta Kehna Shuru Kar diya Jo Khula Huwa Shirk Hai, Allah Taa'la Is Ayat me Apne Mehboob Ki Abdiyat Yani Banda Hone Ka Elaan Farmakar Shirk Ki Jadd Kaat di Aur Batla Diya ke Isa Se Bhi Aage Jane Wala Na Khuda hai Na Khudayi Ka Sharik Balke Khuda Ka Azmato Izzat Wala Mehboob Banda hai...

(2) Jab Huzur ﷺ Aali Maqam Aur Buland Darjo Par Pahoche To Allah Taa'la Ne Sawal Farmaya Ke Aye Mehboob Tumhe Ye Fazlo Kamal Kis Wajah se Hasil Huwa Huzur ne Arz kiya Aye Rabb Ye Tamam Azmat Buzurgi-W-Sharf Abdiyat Bandagi Ki Wajah se Hasil Hai, Usi Waqt Allah Taa'la Ne Ye Ayate Kareema Nazil ki Yani Mehboob Apne Liye Sifat ko Pasand kiya Usi Sifat ke Sath Chahne Wale Allah Taa'la Ne Apne Mehboob ko Yaad Farmaya...

(3) Risalat Ka Hasil Khuda ki Janib Se Chalkar Bando ki Taraf Aana Hai Aur Abdiyat Ka Hasil Makhlook Aur Aalam Ko Chodkar Moula-W-Aqa Ki Taraf Jana hai...

(4) Bandagi ka Sabse Bada Kamal Ye hai ke Allah Taa'la Ka Qurb Hasil Ho Jaye, Me'raj Ki Raat Jo Qurbe Khaas Huzur ﷺ Ko Hasil Huwa Woh Na Aapse Pehle Kisi Ko Aur Na Aapke Bad Kisi ko Hasil Hoga...

(5) Allah Taa'la Is Baat ko Zahir Karna Chahta hai Ke Me'raj Mere Mehboob ki Pehli Sifat Bandagi Ka Sabse Aala Aur Uncha In'aam Hai Ab Is Baat se Ye Andaza Lagana Bhot Hi Mushkil hai Ke Jab Huzur Ki Sabse Pehli Sifat Yane Sifate Bandagi Ki Shaan Raf'iat Aur Itni Buland Hai To Apki Sifat Jo Nabuwwat Risalat-W-Mehboobiyat Hai Uska Kitna Azeem Martaba hoga..

(6) Ye Lafz Abd Me'raj Jismani Par Ek Nihayat Umda Daleel Hai Isliye Ke Abd Ke to Sirf Na to Jism Ya Rooh ko Kehte hai Ya'ne Jaha bhi Lafz Abd Bola Jayega Usse Jism Aur Rooh Dono Murad Honge Isi liye Ayat Me Lafz Abd Ye Bata Raha haj Ke Safar Me'raj Ka Talluk Khawab-O-Khayalo Ki Duniya se Nahi hai Balke Me'raj Ke Azmat Aur Buzurgi Wale Musafir ka Jisme Athar Aur Rooh Munawwar Ek Sath Muqame Kurb Me Pahoche Aur Musharraf Huwe...

Ref (MERAJ-UN-NABI JILD-01, SAFA-24/25 )

♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡
🍀Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
جزاك الله خيرا... For reading
♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
👥PLZ SHARE TO OTHERS ALSO👥

📧Like TO FB LINK

https://www.facebook.com/zikrenabi/

🌎www.zikr-e-rasool.com 

Download App https://goo.gl/WW7qMw

No comments:

Post a Comment