Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Tuesday, April 11, 2017

MERAJ E MUSTAFA


MERAJ E MUSTAFA


PART:-02


LAFZ(لَيْلًا) LAYLAM



Lafz Laylam Arabi Zaban Ke Kayde Ke Hisab Se Nakera Hum Aur Nakera Taklil Ke Liye Aata hai Yane Kisi Cheez Ki Kami Aur Killat Bayan Karne Ke Waste Yaha Par Is Ayat me Laylam ki Tankir se Zahir hota hai.
Logo Ko Maloom Ho Jaye Ke Me'raj Ka Safar Puri Raat Me Nahi Balke Raat Ke Thode Hisse Me Huwa Aur Is Lafz LAYLAM Se bhi Jismani Me'raj Ka Behtarin Saboot Milta hai Ke Agar Me'raj Ka Safar Roohani Hota to Rooh ka Itni Jaldi Safar Kar Dena Koi Ta'jjub Ki Aur Ajab Baat nahi..
Balke Rooh ki Tez Raftari Ke Liye to  Lafz LAYLAM Bhi Kafi Nahi, Yakinan Ye Mubarak Safar Jismani Tha Aur Esi Tez Raftari Ke Sath ke Safar se Wapsi Par Bistar Mubarak Garam Aur Zanzir Bhi Hilti Mili..

ASRA Ke Mayne Hai Raat Me Safar Karne ke Lekin LAYLAM Lafz Ko Yaha Isi Liye Laya Gaya Ke Ye Cheez bhi Zahir Ho Jaye Ke Me'raj Puri Raat me Nahi Balke Ek Khaas Aur Thode se Hisse me Huyi..

REF (MERAJ-UN-NABI JILD-01, SAFA-25/26)


LAFZ(ٱلْمَسْجِدِ ٱلْحَرَام) AL-MASJID'IL HARAM.


Masjide Haram Se Murad Khana-E-Qaba Bhi hai, Aur Woh Mubarak Masjid Bhi Jiske Bich me Khana-E-Qaba Hai, Ye Dono Mayne Le Sakte hai Kyonke Kuch Hadees Batati Hai Ke Aap Harame Qaba Me Tashrif Farma The Aur Kuch Hadeeso Se Ye Maloom Hota hai Ke Aap Hateem Me Tashrif Farma The Jaha Se Apko Me'raj Huyi..

Ba'az Riwayato Me Hai Ke Hazrat Umhani رضی الله عنہ Ke Makan Me Tashrif Farma Hone Ka Zikr Hai Lekin Isse Is Ayate Kareema Se Ikhtelaf Ya Mukhalifat Zahir Nahi Hoti Kyonki Aap Hazrate Umhani Ke Ghar Tashrif Rakhe The Fir Waha se Harame Qaba Ya Hateem Me Ronak Afroz Huwe Jaha se apko Me'raj Mubarak Naseeb Huyi.

LAFZ(ٱلْمَسْجِدِ ٱلْأَقْصَا) AL-MASJID'IL AQSA..


Masjide Aqsa Se Murad Baytul Muqaddas hai Aur Isi Par Tamam Musalman Ulema Ka Ittefaq hai, Lekin Kuch Ulema Ka Ye Kehna hai Ke Masjid ke Mayne Hai Sajda Karne ki Jagah Aur Aqsa Ke Mayne Hai Muntaha Yani Woh Sajda Karne Ka Aakhri Muqam Jiske Bad Koi Makan Ya Jagaj Ka Hona Mumkin Nahi Aur Woh Muqam To Arshe Azam hai In Ulema Ki Tehqiq Se Ye Zahir hota hai Ke Meraj Ke Safar ki Sharu'at Makkah Se Aur Khatam Arshe Azam par hai...

REF (MERAJ-UN-NABI JILD-01, SAFA-26/27)


LAFZ(بَٰرَكْنَا حَوْلَهُۥ) BA'RAKNA HAWLAHU.


Baytul Muqaddas Ko Pehle Guzre Huwe Ambiyao Ka Markaz Hone ka Sharf Hasil hai Aur Unke Mubarak Qadmo ke Tufail Aur Barkat se Sirf Baytul Muqaddas hi Nahi Balke Atraf ke Muqamat Aur Jagah bhi Allah Ke Noor Aur Barkat ka Chasma Aur Khazana Ban Gaya Isi Liye Yaha Kaha gaya "(بَٰرَكْنَا حَوْلَهُۥ) BA'RAKNA HAWLAHU" Iske Aaspas Humne Barkate Rakhi Aur Ye Barkate 2 Tarike Ki hai...

HASTI:- Aabadiya - Khubsurat Baagh Bagiche


ROOHANI:- Ambiya-E-Kiram Ke Muqaddas Mazarat "BARAKNA FIHE" Na Farmaya Gaya Ke Humne Is Masjid me Barkate Rakhi Hai Kyonke Esa Farmaya Gaya'Hota to Masjid me Barkat ka Saboot Ho Jata Lekin Aaspas ki Barkato ka Saboot na Hota Lekin "HAWLAHU" Farmane Se Is Baat Ki Puri Safayi Ho Gayi Ke Jab Aaspas Barkate Hai To Masjid me hona Awwal Darje Par Sabit hai.

LAFZ(لِنُرِيَهُۥ مِنْ ءَايَٰتِنَآ) LI-NOORIYAHUM MIN AYATINA


Urf Me Ayat Ka Itlak Azmato Kamal Par Hota hai Aasmani Ayat Zameeni Ayat se Zyada Ajeeb Aur Qamil hai, Isliye Tafsil Rooh'ul Ma'aani Me Hai..

TAKI DIKHAYE HUM UNKO APNI KUDRAT KI NISHANIYA YANE HUM UNKO LE JAYE AASMANO PAR TAKE WAHA PAR JO DEKHNE KE QABIL AJEEB-O-GAREEB NISHANIYA HAI UNKO DIKHAYE.


Lafz Ayaat Ja'maa hai Aur Mutakallim Ki Zameer ki Janib Muddaf Bhi hai Lihaza Usool Ke Qayde se Is Surat me Istagra ke Mayne Payda Ho Jate hai Lihaza Is Tashrih Ki Beena Par Ayate Kareema Ka Maqsood Ye Hoga Ke Me'raj Mubarak Ka Ba-Azmat Safar Isliye Darpesh Aya Ke 
Nabi-E-Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) Kudrat ki Tamam Nishaniyo ka Mushahida Farma le.

REF (MERAJ-UN-NABI JILD-01, SAFA-27/28)


LAFZ(إِنَّهُۥ هُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلْبَصِيرُ) INNA'HU HUWASS SAMI-UL-BASIR


INNAHU Ki Zameer Yaa To Allah Ki Taraf Ru'jua Hoti Hai Ya Sarkare Do Aalam (صلی اللہ علیہ وسلم)
 Ki Zaat Ba'Barkat ki Taraf...
Jesa Tafseer Rooh-Ul-Ma'aani Me Hai Ke Ba'az Mufassirin Ne Farmaya Ke Innahu Ki Zameer Ko Allah Ki Taraf Ishara Maana Jaye To Bhi Jaiz Aur Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ki Taraf Mana jaye To Bhi Jaiz.

Agar Innahu Ki Zameer Allah Ke Liye Agar Mani Jaye To Matlab Ye Hai Ke Inkar Karne Wale Aur Aetraaz Karne Walo Ko Is Me'raj Ka Khouf Aur Darr Dilaya Ja Raha hai Ke Tum Jo Mere Mehboob ki Me'raj Ka Inkar Karte ho To Hum Usko Sunte aur Dekhte hai Apne Is Jurm ki Bina Par Tum Mere Azaab Se Bach Nahi Sakte Jo Ke Azab Shadid Hai Sakht hai Aur Tumko Pakad Me lega.
Ya Ke Me'Raj Ka Mubarak Taweel Lambi Safar Hai Rawangi Waqt Na Azeezo Aqarib Yane Rishtedar Aur Dost Ahbab Moujud hai Naa hi Jaan Dene Wale Sahaba-E-Kiram Moujud Hai Jo Ke Rukhsat Aur Alvida Ke Alfaz Kehkar Aapke Qalb Mubarak(Dil Ko) Tasalli De...
Ese Waqt Me Parwardigare Aalam Dariya-E-Mohabbat Me Josh Payda Hota hai Aur Har Mouje Mohabbat Zabane Haal se Pukar-Pukar Kar Kehti hai Aye Mehboob Musafir-Zameeno Aasman Ka Ye Mukaddas Safar Mubarak Ho Ghabhrane Ki Baat Nahi Tumhara Chahne Wala Khuda Tumhari Hifazat Karne Wala hai Aur Wohi Tumhari Ek Baat Ka Sunne Wala Aur Har Kaam ko Dekhne Wala hai..
Aur Agar Innahu Ki Zameer Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ki Taraf Samji Jaye To Iska Matlab Ye Hoga Ke Kudrat Ki Woh Nishaniya Jo Sunne Ke Qabil Thi Unhe Unhone Aap (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Suna Aur Jo Dekhne ke Layak thi Woh Dekhi..
Zurqani Sharif me Allama Zurqani رحمۃ اللہ تعالٰی علیہ Se Isi Baat Ko Naql Farmate hai Ke Matlab Ye Huwa Kudrat ke Tamam Waqeyat Apne Is Trah Mushahida Farmaye Yaane Dekhe Ke Mushahida Karne Ka Yane Dekhne Ka Haq Hai...

REF (MERAJ-UN-NABI JILD-01, SAFA-28/29)


MUKHTALIF AMBIYA-E-KIRAM KI ME'RAJ AUR USKI TAFSEEL



ME'RAJ-E-ADAM عليه السلام


Allah Taa'la Ne Adam عليه السلام Ko Payda Kiya Aur Uske Bad Farishto ko Huqm Diya Ke Adam عليه السلام Ko Sajda Karo Tamam Farishto Me Allah Ke Huqm Se Adam عليه السلام Ko Sajda Kiya Lekin Iblees Ne Inkar Kiya Aur Hamesha Ke liye Usko Allah ki Bargah se Nikal Diya gaya...
Hazrate Adam عليه السلام Ko Huqm Huwa Ke Jannat me Jakar Rahiye Jannat me Dakhil Hone ke Bad Apko Tamanna Huyi Ke Koi Apka Sathi Bhi ho To Allah Taa'la ne Hazrate Hawwa Ko Payda Kiya Aur Adam عليه السلام Ki Ye Tamanna Puri Kar Di Aur Jab Gandum(Gehu ka Dana) Khane ki Wajah se Jannat se Zameen Par Tashrif Laye To Aapne Saalo Tak Ro'kar Aur Gidgidakar Jab Sarkare Do Aalam (صلی اللہ علیہ وسلم) Ke WASEELE Se Duwa ki Aur Arz Kiya..

ALLAHUMMA INNI AS'ALOKA BI'HAQQI MOHAMMADIN (صلی اللہ علیہ وسلم)


TARJUMA


AYE ALLAH ME TUJHSE HUZUR MOHAMMAD (صلی اللہ علیہ وسلم) KE WASEELE SE DUWA MANGTA HU


Ispar Allah Taa'la Ka Farman Huwa Ke Aye Adam Tumne Mere Habib ko Kese Pehchana Aapne Arz Kiya Ke Aye Allah Mene Tere Arsh Par Tere Naam ke Sath Unka Naam Likha Huwa Dekha tha Usi Waqt se Mene Jaan liya tha Ke Ye Tere Mehboob Ke Alawa Aur Kisi Ka Naam Ho Nahi Sakta.
Allah Taa'la ne Farmaya Aye Adam Tumne Sach Kaha Yaqinan Ye Mere Mehboob Hai Isi Liye Jab Tumne Unke Waseele se Duwa Ki Hai To Me Tumhari Duwa Zaroor Qabool Karunga.

TO SABIT HUWA KI JANNAT ME REHNA AUR WAHA KI CHEEZO SE FAYDA HASIL KARNA YE ME'RAJ HAI HAZRAT ADAM عليه السلام KI


ME'RAJ-E-IDREES عليه السلام


Ek Baar Aap Dhoop ki Tapish Me Sakht Garmi me Tashrif Le Ja Rahe the Dophar ka Waqt tha Apko Salkht Taklif Huyi Apko Khayal Aya ke Jo Farishta Aaftab(Suraj) Me Rakha Gaya hai Usko Kitni Taklif Hoti Hogi Aapne Arz Kiya ke Aye Allah Us Farishte Ki Taklif ko Kum Kar..

Fouran Duwa Qabool Huyi Aur Farishte Par Taklif ki Kami Ho Gayi Us Farishte ne Pucha Aye Allah Ye Kami Kis Vajah se Huyi, Allah Taa'la ne Irshad Farmaya Mere Bande Idrees ne Tere Liye Duwa ki Thi Mene Uski Duwa Ko Qabool Ki.
Farishte ne Arz Kiya Aye Allah Tu Muje Ijazat De Ke Me Unki Khidmat me Hazir Howu Ijazat Milne  Par Aapki Khidmat me Hazir Huwa Tamam Waqiya Bayan Kiya Aur Kaha Idrees عليه السلام Se Matlab ho To Kahe Aapne Farmaya Farishte se ki Muje Ek Martaba Jannat me Le Chalo Usne Kaha Ye To Mere Bas ke Bahar ki Baat hai Mere Kaam ka nahi.
Lekin Izraeel Malekul Mout se Mera Dostana hai Usko Lata hu Shayad koi Tadbeer Ya Tarkib Chal Jaye Izraeel عليه السلام Aaye Aapne Unse Farmaya Izraeel عليه السلام Ne Arz kiya Huzur Bagair Mout Ke to Jannat Me Jana Ho Nahi Sakta Idrees عليه السلام Ne Izraeel عليه السلام Se Farmaya Meri Rooh Qabz Kar lo..
Izraeel عليه السلام Ne Khuda Ke Huqm se Apki Rooh Apke Jism Se Badan se Qabz Kar li Aur Fouran Jism Me Daal Di, Aapne Farmaya Muje Jannat Aur Dozakh ki Sair Karwao.
Hazrat Izraeel عليه السلام Dozakh Par Laye Aur Jahannam Ke Tabak Khulwaye Gaye Aap Dekhte hi Behosh Hokar Gir Pade, Izraeel عليه السلام Waha Se Idrees عليه السلام Ko Le Aaye Jab Hosh Aaya To Arz Kiya Ye Taklif Aapne Apne Hatho se Uthayi Fir Jannat Me Le Gaye Waha ki Sair Karne ke Bad Izraeel عليه السلام Ne Apse Chalne Ko Arz kiya Aapne Khayal Na Ka Kiya Fir Dobara Arz Kiya Aapne Jawab Na Diya..

Fir Unhone Arz Kiya To Farmaya Ab Chalna Kesa Jannat me Aakar Bhi Koi Wapas Jata hai Allah Taa'la Ne Ek Farishte ko Unke Darmiyan Faisla Karne ko Bheja Usne Aakar Hazrat Izraeel عليه السلام Se Sabse Pehle Waqiya Suna Fir Idrees عليه السلام Se Arz Kiya Ke Kya Aap Nahi Jate ?? Aapne Irshad Farmaya Ke Allah Taala Farmata hai..

 HAR JANDAR KO MOUT KA MAZA CHAKHNA HAI


Aur Me Mout ka Maza Chakh Chuka hu Aur Farmata hai "TUMME SE HAR EK JAHANNAM KI SAIR KAREGA" Aur Me Jahannam ki Sair Kar Aaya Aur Allah Taa'la Farmata hai "WO LOG JANNAT SE KABHI NAA NIKLENGE" Ab Me Jannat Me Aa Gaya Kyo Jau.
Huqme Ilahi Huwa Ke Mera Banda Idrees Saccha hai Use Chor Do...

REF (MERAJ-UN-NABI JILD-01, SAFA-34)



♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡
🍀Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
جزاك الله خيرا... For reading
♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
👥PLZ SHARE TO OTHERS ALSO👥

📧Like TO FB LINK



https://www.facebook.com/zikrenabi/

🌎www.zikr-e-rasool.com 

Download App https://goo.gl/WW7qMw

No comments:

Post a Comment