MERAJ E MUSTAFA
PART:-03
MERAJ-E-IBRAHIM KHALEELULLAH عليه السلام
Allah Taa'la Irshad Farmata hai.
AUR ISI TRAH HUM IBRAHIM(عليه السلام)KO DIKHATE HAI SARI BADSHAHI AASMANO AUR ZAMEEN KI AUR ISLIYE KE WO AY'NUL YAKEEN WALO ME HO JAYE...
Tafseer Rooh'Ul'Ma'ani Me hai Ke Hazrat Ibrahim عليه السلام Ke Safar ki Me'raj Ki Tafseel Is Tor par Ki Gayi Hai Ke Buraq Se Tez Raftar Par Sawar Hokar Aasmani Duniya me Tashrif Le Gaye Waha Par Aapki Nigah Se Tamam Parde Hata Diye gaye Aur Aapko Ek-Ek Jagah Nazar Aane Lagi Aur Tamam Makhlook Ke Halaat se Aap Waqif Ho Gaye...
Is Darmiyan Aapne Ek Saksh ko Zameen Par Gunaah Karte Huwe Dekha Us Gunaah Se Nafrat Farmate Huwe Aapne Uski Halaqat aur Barbadi ki Duwa ki Allah Taa'la Ne Us Gunagar ko Wahi HALAK Kar Diya Fir Ibrahim عليه السلام Ne Dobara Nazar ki To Dusre Aadmi ko Gunaah Karta Huwa Paya Uske Liye bhi Halakat ki Duwa ki Wo bhi Mar Gaya Is Trah Ek-Ek Karke 4 Aadmi ko Apne Gunaah Karte Huwe Dekha Aur Jab Uski Halakat ki Duwa ki to Allah Taa'la ne Irshad Farmaya..
AYE IBRAHIM MERE BANDO KI HALAKAT KI DUWA NA KARO ISI LIYE APNE BANDO KE SATH MERA BARTAV 3 TRAH KA HAI
PEHLA:- Agar Mera Banda Gunaahgar hai Aur Wo Touba Karke Marega To Me Uske Gunaah Muaf Kar Dunga...
DUSRA:- Uski Nek Aulad Payda Hogi Jo Meri Ibadat Karegi Aur Meri Zameen ko Sajdo se Bhar Degi..
TEESRA:- Mera Banda Qayamat ke Din Mere Samne Pesh Hoga To Me Uski Bakshish Kardu Ya Chahe Use Azab me Daal Du Ye Meri Marzi Hai..
Uske Bad Huqm Hota hai Ke Aye Mere Khaleel Mere Bando ko Halak Hone se Pehle Ab Aap Zameen Par Tashrif Le Jaye...
Ref (MERAJ-UN-NABI JILD-01, SAFAH-35)
ME'RAJ-E-MOOSA KALIMULLAH عليه السلام
Hazrat Moosa عليه السلام Ne 40 Roz Tak Roza Rakhne Ke bad Wuzu Karke Paakiza Libas Pehna Aur KOOHE'TOOR Par Tashrif Laye Allah Taa'la ne Ek Badal Ka Tukda Esa Bheja Jisne Charo Taraf se Koohe'Toor Pahad ko Is Trah Dhanp Liya Ke Woh Logo ki Nigaho Se Chup Gaya..
Uske Bad Har Tarah Ke Janwar Yaha Tak ke Chinti(कीडी) Balke Farishto ko bhi Koohe'toor se 21 Meel Door Kar Diya Gaya, Taki Allah Se Moosa عليه السلام Ki Mulakat Aur Batchit Ho Aur Koi Jandar Maloom na Kar sake..
In Tamam Intezam ke Bad Ab Hazrat Moosa عليه السلام Ki Nazro se Tamam Parde Utha liye gaye Aapne Dekha ke Farishte Hawa me Qayam hai Allah Ke Lohe Mehfooz Ke Kalmo ki Awaz Suni Aur Be'Parda Aur Be'Hijab Allah Taa'la ke Arsh Ka Mushahida Farmaya Iske Bad Allah Taa'la Ne Aapse Kalam Farmaya Apne Rabb Ka Kalam Sunkar Apko Wo Qaif Aur Maza Hasil Huwa Ke Deedar-E-Ilahi Allah Ke Deedar ki Tamanna Apke Qalbe Mubarak Me Huyi Apne Arz Kiya Aye Mere Parvardigar Muje Tu Apne Deedar Ka Sharf Ata farma Quran-E-Paak me Iska Zikr Moujud hai..
TARJUMA
Aur Jab Moosa Humare Wade Par Hazir Huwa Aur Usse Uske Rabb ne Kalam Farmaya Arz ki Aur Mere Rabb Mere Muje Apna Deedar Dikha Ke Me Tujhe Dekhu Farmaya Tu muje Hargiz Na Dekh Sakega Haan Is Pahad ki Taraf dekh Ye Agar Apni Jagah Thehra Raha To An'qareeb Tu Muje Dekh Lega Fir Jab Uske Rabb ne Apna Noor Chamkaya Use Pash-Pash Kar Diya Aur Moosa Gira Behosh Fir Jab Hosh Huwa Bola Paaki Hai Tujhe Me Teri Taraf Ruju'a Laya Aur Me Sabse Pehla Musalman Hu...
TAFSIR ARA'ESUL BAYAN KE HAWALE SE SEERATE HALBIYAH JILD-01, SAFA-438 PAR YE IBARAT MANQOOL HAI
Hazrate Abu Huraira رضی الله عنہ Se Riwayat hai Ke Jab Moosa عليه السلام Ne Koohetoor Par Allah Taa'la ka Deedar Aur Kalami Ka Sharf Hasil Kiya To Apke Kaano Ke Sunne ki Taqat Itni Badh Gayi Ke 30 Meel Door Andheri Raat me Saaf Patthar Par Chalne Wali Chunti(कीडी) Ki Aawaz Ko Sun Liya Karte the..
Allah Taa'la Ke Deedar ke Bad Apka Chehra Is Qadr Itna Jalal-W-Noor se Bhar Gaya Tha ke Kisi ki Taqat na Thi Ke Apke Chehre Par Nazar Daal Sake Isliye Aap Apne Chehre Mubarak Par(Naqab) Parde Daale Rehte the..
Ek Martaba Apki Biwi ne Arz kiya Ke Chehre Mubarak Par Parda Hone ki Wajah Se Meri Aankhe Apke Deedar Ko Taras Gayi Hai Kum Se kum Ek Martaba To Chehre Mubarak Dekhne ke liye De, Apne Farmaya Acha Me Apni Aankhe Band Karke Apne Chehre Se Parda Hatata Hu Tum Jee Bharkar Deedar Kar lo Tum Mera Chehra to Dekh Sakti ho Lekin Nigahe Nahi Dekh Sakti...
Isliye ke Allah Taa'la Ke Jalwa-E-Deedar ke Bad Meri Aankho me Itni Nooraniyat Aa Gayi hai Ke Agar Tumhari Nazre Meri Nazro se Mil Gayi To Tumhari Aankhe Bahar Nikal Ayegi, Apki Biwi Saheba ne Arz Kiya Huzur Aap Chehre se Naqab Hatakar Aankhe Khuli Huyi Rakhe Me Ek Aankh Band Karke Ek Aankh se Deedar Kar Lungi Aankh Jaegi Lekin Apki Aankho ke Waseele se Allah Taa'la Ke Noor ka Jalwa Nazar Ayega.
Hazrat Moosa عليه السلام Ne Farmaya Acha Tum Apni Ek Aankh Band Kar lo Me Apne Chehre se Naqab Hatata hu Biwi Saheba ne Ek Aankh Band Kar li Hazrat Moosa عليه السلام Ne Jese hi Chehre Mubarak Se Parda Hataya Aur Apki Biwi Saheba Ki Aankh Jese hi Apki Aankho se mili Fouran Biwi Saheba ki Ek Aankh Bahar Nikal Aayi Lekin Is Aankh ka Bahar Nikalna tha ki Aapne Dusri Aankh bhi Khol Di Aur Woh Aankh bhi Bahar Nikal Aayi..
Hazrate Moosa عليه السلام Ne Farmaya Ye Tumne Kya Kiya Dono Aankhe Zaya(Barbad) Kar di Kya Tumhe Taklif ka Ehsas na huwa Biwi Saheba Ne Arz kiya Ke Huzur Jese hi Mene Apki Aankho me Allah Ka Noor Chamakta Huwa Dekha Achanak Be'khabri me Dusri Aankh bhi khul Gayi Taklif to Zaroor Huyi Lekin Allah ki Tajalli ka Deedar Itna Qaif-O-Suroor Aur Dil Ko Sukoon Dene Wala Tha Ke Taklif Maloom Tak nahi huyi...
Sochiye Ke Janab Moosa عليه السلام Ne Allah Taa'la Ki Zaat Ko Nahi Balke Unki Ek Tajalli Ko Dekha tha Woh Bhi Nigah Bharkar Nahi Dekh Sake Balke Behosh Hokar Gir Pade Lekin Ye Majra Tha ki Koi Na Aapse Nazre Mila Sakta tha Aap Chehre Mubarak Par Parda Daal Ralhte the, To Fir Woh Zaat Aali Martabe Wali Jisne Faqat Jalwo Ko Nahi Balke Khaas Allah Ki Zaat ko Dekha Aur Is Andaz Se Dekha ke Palak Kabhi Na Jhabki Tak'taki Baandhkar Dekha Us Chehre Mubarak Ka Haal Kya hoga...
Konsi Aankh hai Jo Dekh Sake Magar Iske Bawajood Bhi Siddiq-E-Akbar, Farook-E-Azam, Usman-E-Ghani, Aur Ali-E-Murtuza Shere Khuda رضوان اللہ تعالی عليهم أجمعينٰ Is Chehre Mubarak Aur Khuda Ke Deedar Karne Wali Aankho ka Rozana Dekhte The Kayi-Kayi Bar Jee Bharkar Dekhte The Aur Bhot Nazdik Se Dekhte the Esa kyu ??
Mulla Ali Qari رضی الله عنہ Farmate hai Ke Mustafa ﷺ Ke Chehre Mubarak Ke Jamal Ka Partav Deewaro Par Padta tha To Wo Deeware Aayine Ki Trah Jagmaga Uthtti Thi Aur Us Kamal Ke Sath Samne Wala Saksh Is Roshan Deewaro Me Apni Surat Ka Aqs Dekh Liya Karta tha Yane Aayine Ki trah Apna Chehra Usme Dekh Liya karta tha...
ALLAH TAA'LA NE APKE HUSNO JAMAL KA AKSAR HISSA APKE SAHABA SE CHUPA DIYA THA ISLIYE KE RASOOLE KAREEM (صلی اللہ علیہ وسلم) KA HUSNO JAMAL AGAR TAMAM-W-KAMAL ZAHIIR HO JATA TO KISI KO AAPKI TARAF MAJALE NAZAR NA HOTI JESA KE BA'AZ ULEMA-E-KIRAM KA QOUL HAI...
Yaha Par Moosa عليه السلام Aur Habib Huzoor ﷺ Ka Ek Fark Bhi Samje Ke Kaleem Ko To Apne Chehre Ke Jalwo Aur Nooriyat Ko Chupane ke Liye Khud Parda Dalna Pada Lekin Mehboob Ke Chehre Par Machalne Wale Jalwo Ke liye Kudrat Ne Khud Apni Janib Se Hijabe Bashariyat Ka Intekhab Farmaya Chahne Walo Ki Taqat ke Mutabik Mustafa (صلی اللہ علیہ وسلم) Ke Jamal Ko Zahir Farma Diya Aur Sare Husn Ko Libase Bashri Me Lapet Liya "RAHA JAMAL PE TERE HIJABE BASHARIYAT"....
MERAJ-E-ISAA عليه السلام
Ek Martaba Aap Mimbar Par Tashrif Farma Hokar Aam Majme me Isa عليه السلام Wa'az Farma Rahe the, Is Darmiyan Me Aapne Farmaya Ke Allah Taa'la Ne Tourat Me Moosa عليه السلام Ke Liye Sanichar(Saturday) Ka Din Mubarak Bataya Tha Us Din Siway Ibadat ke Tamam Kaam Najaiz The..
Lekin Ab Allah Taa'la Ne Is Huqm Ko Radd Kar Diya Aur Injeel Me Farmaya Hai ke Sanichar(Saturday) Ke Badle Itwar(Sunday) Ka Din Mubarak Hai, Aye Logo Itwar Ke Din ki Izzat Karo Aur Is Din Ibadat Ke Siwa Duniya ke Tamam Kaamo Se Bacho...
Is Huqm Ka Sunna Tha Ke Yahoodi Gabhra Gaye Unke seene Me Gaiz-O-Gazab Aur Gusse ki Aag Bhadak Uthi Kehne Lage Moosa عليه السلام Baad Bhot Se Ambiya-E-Kiram Tashrif Laye Lekin ye Elaan Na Kiya Ke Shariyat Ko Radd Kar Diya Gaya Aur Ye Humari Shariyat Mabsookh(Radd Batate) Hai Ye Humare Bardasht Bahar ki Baat hai...
HUZOOR SAIYED'UL'AMBIYA MOHAMMAD MUSTAFA
(صلی اللہ علیہ وسلم)KI ME'RAJ
Pichle Parts Me Aapne Kuch Ambiya-E-Kiram Ki Me'raj Ki Tafsil Ko Padha Aur Jana, Jaha Tak Rasool-E-Khuda (صلی اللہ علیہ وسلم) Ki Me'raj Ka Mu'ammla Hai Wo Bhot Hi Mumtaz(Sabse Aala Aur Afzal) Aur Munfarid Hai,
Allah Ke Habib Buraq Par Sawar Hokar Farishto Ki Bhot Si Jama'at Ke Sath Harame Qaba Se Masjide Aqsa Tashrif Laye Yaha Par Ambiya-E-Kiram ki Imamat Farmayi Fir Aasmano ki Sair Farmate Huwe Sidratul Muntaha Aur Arsh Se Guzar Kar La'maka Me Tashrif Le Gaye...
Zaate Bari(Allah Taa'la) Ko Ser ki Aankho Se Taktaki Bandhkar Dekha Fir Digar Ajaeeb-W-Garaeeb ko Bi'tafsil Mushaheda Farmate Huwe Zameen Par Tashrif Laye..
Garaz Ke Me'raje Rasoole Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) Har Aetebar Se Munfarid-W-Mumtaz Hesiyat Rakhti hai Jiski Tafsil Ab Aap Aane Wale Parts Me Mulahiza Karenge...
HUZOOR (صلی اللہ علیہ وسلم) KI MERAJ KO YAAD KARKE IMAM-E-ISHQ O MOHABBAT IRSHAD FARMATE HAI
Namaz-E-Aqsa main tha yehi seer Ayan Hoon Ma’ani Awwal Akhir..
Ke Dast Basta The Pichey Hazir Jo Salatanat Aagay kar Gaye Thay.
ME'RAJ KYU ????
HAQQUL YAQEEN
Huzoor صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. To Allah Taa'la Ki Tajalliyo ko Barabar Dekhte Rahe Lekin Meraj Isi liye Karai Gai ke Kisi Cheez ka Sunne Se Guzar Kar Khud Dekhne Tak Pahoch Jae Manzil E Ilmul Yaqeeb Se Aage Badhkar Aynul Yaqeen ki Manzil par Faaiz Ho Uske Bad Zevar e Haqqul Yakeene Se Aarasta ho Jae.....
AZMATE BARTARI
Apki Fazilat-O-Buzurgi Ambiya par Sabit ho jae Isliye Jab Ap Baitul Muqaddas Me Tashrif Lae To yaha Adam Aleyhissalam Se Leker Isa Aleyhissalam Tak Ek ek Nabi Aur Rasool ne Aap Ki Iqtida me Namaz Ada Karke Padhi Aur Apni Ita"at Ka Shuaari Ka Saboot Pesh Kiya Aur Jab Aap Aasmano par Tashrif le Gae to Baytul Mamur me Farishto ne Apko Apna Imaam Banaya Aur Apki Azmato Bartari Yane Buland Aur Tamam Me Afzal Hona Usko Pure Tor se Qubul Kiya.
KHAZANE KI KUNJIYA
Badshah Jab Kisi ko Apna Muqarrab Banata hai To Apne Khazano ki Chabiya Uske Hawale Kar deta hai Aur Apna Khazana Uske Supurd Kar deta Hai Isliye Sarkar E Do Alam صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. Allah ke Mehboob Hai To Chahne Wale Malik O Moula Ne Shab e meraj Me Apne Pas me Bulakar Apne Khazano ki Kunjiya Apko Ata Farmai Jaisa Ke Khud Sarkar e do Alam Sallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya...
HADEES
ZAMEEN MERE WASTE LAPETI GAI YAHA TAK KE USKE MASHRIK AUR MAGRIB MUJE DIKHAE GAE.
AUR IS INAAM O IQRAM KE SATH APKO YE IKHTIYAR BHI DIYE GAE KI JISKO APKI SHAFAA'AT KA MUBARAK SHARF ATA FARMA DE WO MUBARAK O MAQS'OOD HO JAEGA
AZAAN KI TALEEM
Allah Ki Ye Mashiyat Huyi Ke Apne Pyare Habeeb (صلی اللہ علیہ وسلم)Ko Azan Ki Taleem Di jaye Jaisa Ke WAQIYATE Meraj Shahid-W-Gawah hai Ke Jab Aap Aasmano Ko Paar Karke Arsh-W-Kursi Loh-w-Kalam Ki Haddo se Guzarkar Hijaye Khaas ke Pas Jalwa Afroz Huwe Yani Allah ke Khaas Qareeb Me Pahoche to Waha Aapko Azan Ki Aawaz Sunayi Di.
SHAR'FE DEED
Kyonke Islam Ka Shuru Zamana tha Makkah Wale Islam Ki Tabligh ko Rokne ke Liye Hamesha Kammar Bandhe The Aur Qadam-Qadam Par Aapki Raah me Mushkilo Aur Taklifo Ke Pahad Khade Kar dena Chah Rahe the, Mushriko Aur Kafiro ki Ye Zyadti Ki Wajeh se Aapka Qalbe Paak Ghumgin Tha Lihaza Bari Taa'la Ki Ye Marzi Huyi Ke Apko Apne Kurbe Khaas Me Yane Apne Khaas Qareeb Bulakar Sharfe Deedar Se Nawaza Taki Aapke Qalbe Paak ko Taskin Ho Jaye...
SARI QAYNAT ZERE QADME RASOOL (صلی اللہ علیہ وسلم)
Tamam Cheeze Arsh Ke niche hai Aur Shabe Me'raj Arsh Sarkar ke Qadme Paak Ke Niche Tha, Jiska Saaf Matlab Ye Hai ke Qaynat Ka Ek-Ek Zarra Mere Aqa Ke Zere Qadam Hai, Do Jaha Aapke Niyazmand Hai Lekin Aap Apne Rabb Ki Bargah ke Siwa Kisi Ke Niyazmand nahi.
Isi Liye Yun Alfaz Badalkar bhi Kaha Ja Sakta hai Ke Har Cheez ko Aapki Gulami Ki Nisbat Par Fakhr Ho Jaye Jaisa Ke Aap(صلی اللہ علیہ وسلم)Ne Irshad Farmaya hai..
HADEES
ME PEHLA SAKSH HU JO ZAMEEN SE BAHAR AAKAR MEDANE QAYAMAT ME AAUNGA AUR YE KUCH FAKHR KI BAAT NAHI, AUR LAWAUL HAMD MERE HATH ME HOGA AUR YE KUCH FAKHR KI BAT NAHI HAZRAT ADAM عَلَيـهِ السَّــلَام AUR UNKE ALAWA MERE JHANDE TALE HONGE AUR YE KUCH FAKHR KI BAAT NAHI, JANNAT KA DARWAZA SABSE PEHLE ME KHAT'KHATAUNGA AUR YE KUCH FAKHR KI BAAT NAHI
Is Hadeese Paak Ka Matlab Ye hai ke Ye Bat Sarkar ke Liye Ba'ees E Fakhr nahi Balke Zaat-E-Risalat Ma'aab ﷺ Ke Sath Nisbat Payda Kar Dene Se In Cheezo Ko Fakhr Hasil hai.
WAHI-BIL-WASTA
Wahi Ki Kuch Kisme hai Pehle Tarike Ki Wahi Ye Hai ke Ke Jisme Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام Ko Bhi Wasta Naa ho Isiliye Shabe Me'raj Bari Taa'la Ne Jibraeel Ke Waste Ke Bager Apne Habib Se Kalam Kiya Jese Quran Me Irshad Farmaya..
"FA-AWHA ILA ABDIHI MA AWHA"
Mufassirin Farmate hai Ke Sureh Baqar ki Aakhri Ayate Huzur ne Me'raj ki Raat me Bila Wasta-E-Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام Barahe Rast Allah Taa'la Se Suni thi Yani Aap ﷺ Ne Ye Ayate Khud Khuda Taa'la Se Suni Thi Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام Ye Ayate Lekar Na Aaye The..
UMMAT KI BUZURGI
Is Raat me Apko Apki Ummat ke Liye Khas-Khas In'aam-W-Ikram Diye Gaye, Jinki Wajah Se Ummat ko Azmat-W-Buzurgi Aur Izzat Hasil Ho Jaye Yahi Wajah Hai Ke Qayamat Ke Roz Adam عَلَيـهِ السَّــلَام Se Lekar Isa عَلَيـهِ السَّــلَام Tak Har Nabi Ki Zaban Par Nafsi-Nafsi Hoga Lekin Aapki Zaban Mubarak Par Ummati-Ummati Ki Aawaz Hogi..
Zahiri Tor Par Ye Bat Kahi Ja Sakti Hai Ke Bajaye Ummati-Ummati Ke Agar Rabbi-Rabbi Hota to Kitna Acha hota Ke Is Houlnaak Mouke Par Allah Ka Zikr Zyada Behtar Hota Lekin Ye Bilkul Satthisi Baat hai Agar Gour Se Socha Jaye To Is Ummati-Ummati Me Rabbul Aalameen Allah Taa'la ki Yaad bhi Chupi Huyi hai Isiliye Ke Ayse Haybat Naak Mouke Par Ummati-Ummati Kehne Ka Matlab Ye Hai ke Aye Bari Taa'la Me'raj ki Raat me Tune Meri Ummat ke Liye Jo In'aam Dene Ka Wa'da Kiya jai Unhe Ata Farma..
ITMINAN-E-QALB
Qayamat Ka Din Bhot Hi Haybatnaak Hoga Har Saksh Apne-Apne Muammle me Esa Pareshan Hoga Ke Dusro Ki Taraf Use Tawajjo Karne Ka Aur Khayal Karne ka Mouka Hi Na Milega Sirf Sarkar Rehmate Aalam (صلی اللہ علیہ وسلم) ki Zaat-E-Paak Hogi Jo Ummat ki Yaad Me Bechain Hogi Aur Ummati "ANA'LAHA-ANA'LAHA" Kehkar Gunahgaro ko Apne Damane Shafa'at Me Panah Lene Kr Liye Awaz De rahi hogi..
Isi Liye Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ko Khuda Ne Shabe Meraj Malkoot ki Sair Karayi Aur Jannat Aur Dozakh Ke Darjo ko Bataye Gaye Taki Qayamat Ki Howlnaaki Se Qalb Mubarak Pareshan Na ho Aur Qayamat ki Is Ghadi Me Bila Kisi Jhijhak Gunahgaro Ki Shaf'at Farmaye..
Isko Yun Samaj Lijiye Ke Insani Fitrat Ka Taqaza Hai Yane Insan ki Adat Hai Jab Koi Khaas Bat Achanak Samne Aati hai To Insan Ka Dil Pareshan Ho Jata Hai Aur Wohi Cheez Bar-Bar Samne Aaye To Darr, Khouf, Ghabrahat Ka Naamo Nishan Nahi Rehta..
Jesa Ke Moosa عَلَيـهِ السَّــلَام Fir'on Ke Darbar Me Jane se Pehle Jab Allah Ke Huqm se Apne Asa Ko Zameen Par Dalte hai To Wo Azdaha(Saanp) Ban Jata Hai Aur Jab Usko Pakad Lete hai To Fir Asa Ban Jata hai, Fir'on Ke Darbar Me Jane se Pehle Allah Taa'la Ne Moosa عَلَيـهِ السَّــلَام Ko Is Haqiqat Ka Mushahida Isi Liye Karwa Diya Take Jab Fir'on Ke Samne Asa Azdaha Ban Jaye To Hazrate Moosa عَلَيـهِ السَّــلَام Pareshan Na ho jaye Balke Pure Sukoone Qalb se Fir'on Ka Dandaan Shiqan Jawab Dete Rahe.
Isi Trah Sarkar Ne Shabe Me'raj Duniya-W-Aakhirat Ke Waqiyat Ka Tafsili Mushahida Farma Liya Take Qayamat Ke Howlnaak Waqt Me Qalbe Mubarak Kisi Sadma-W-Malal Se Do-Char Na Ho Jaye Balke Puri Himmat-W-Tawanayi Ke Sath Ummat Ki Shafa'at ke Liye Kosha Rahe...
GUNAAH ZYADA HAI YA REHMATO MAGFIRAT KA DARIYA
Ek Raat Sarkare Do Alam
(صلی اللہ علیہ وسلم)
Apne Makan Me Aaram Farma Rahe the Hazrate Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام Aapki Bargah Me Hazir Hokar Arz Karte hai Ke Allah Taa'la Aap Par Salam Bhejta hai Aur Irshad Farmata hai Ke Ummat ki Bakshish ki Duwaye Mange, Itna Paygam Arz Karne ke Bad Hazrat Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام Apko Batha-E-Makkah Me Le Gaye Jaha Apke Ummatiyo ke Chote Bade Gunaah Moujud the Allah Taa'la Ka Irshad Huwa Ke Jis Nabi Ki Ummat Itni Gunaahgar ho Kya woh Nabi Aaram Ki Neend So Sakta hai...
Sarkare Do Aalam (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Arz Kiya ke Parvardigar Kya Esi bhi koi Soorat hai Ke Jisse Mere Ek-Ek Ummati ke Gunaho ki Muafi Ho Jaye...
Irshade Ilahi Hota hai Ke Aapki Ummat Ke Gunaho Ki Muafi Aapka Raat Bhar Jagne Se Wabasta hai, Agar Puri Ummat ko Bakshwana hai To Puri Raat Jage Aur Aadhi Ummat ko Bakshwana hai To Aadhi Raat, Aur Teesre Hisse ki Ummat ko Bakshwana hai To Tihayi Raat Tak Meri Ibadat Kare..
Aur Agar Ummat Ke Do Tihayi Gunaho ki Bakshish Ka Khayal ho To Do Tihayi Raat Tak meri Ibadat Kijiye Maksood Ye hai Ke Apke Ummatiyo Ke Gunaho ki Bakshish Aapki Shab Bedari Par Moukuf hai....
📧Like TO FB LINK
🌎www.zikr-e-rasool.com
♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡
🍀Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
جزاك الله خيرا... For reading
♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
👥PLZ SHARE TO OTHERS ALSO👥
📧Like TO FB LINK
https://www.facebook.com/zikrenabi/
🌎www.zikr-e-rasool.com
Download App https://goo.gl/WW7qMw
No comments:
Post a Comment