Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Friday, April 21, 2017

MERAJ E MUSTAFA


MERAJ E MUSTAFA


PART:-04

CHAR(4) MASAEEL


Barbaka-E-Muhamadiya Sharhe Tarika-E-Mohammadiya Me Ye hai Ke Meraje Rasoole Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) Me Ek Nukta Ye bhi Hai ke Bade Darje Ke Farishto Me 4000 Saal Se 4 Mas'alo Par Bahas Ho Rahi Thi Lekin Wo Uska Hall Nahi Kar Pate The.

Jab Allah Ke Rasool ﷺ Is Aalam Me Tashrif Laye To In Farishto Ne Is Bat Par Yakeen Kar Liya Ke Ab Inke Charo Mas'ale Hal Ho Jaenge Isi Liye Allah Taa'la ko Badi Aazizi Ke Sath Arz ki Ke Aye Allah Humari Mushkil Ko Asan Kar, Allah Taa'la Ne Apne Habib ko Apni Taraf Bulaya Aur "QABA KOUSAIN" Aur *"AW -ADNA FA AWHA ILA ABDI FI MA'AWHA"* Ke Mukam Se Musharraf Kiya.
Is Qurb Ke Muqam Me Jo Wahi Huyi Usme Se Ek Ye Hai Ke Sarkar Ne Irshad Farmaya ke Mene Apne Rabb Kareem Ko Sabse Behtarin Surat Ya'ni *AHSAN* Surat Me Dekha Fir Mere Rabb Ne Farmaya Ke Aye Mehboob Wo Konse Mas'ale Hai Jisme Bade Darje Ke Farishte Behas Kar Rahe hai, Mene Kaha Aye Mere Rabb Tu Hi Khoob Janta hai Allah Taa'la Ne Apna Be'misal Mere Dono Kandho Ke Darmiyan Rakha Yaha Tak Ke Allah Ke Faiz Ka Zahoor Mene Apne Seene me Paya.
Uske Bad Allah Taa'la ne Farmaya Aye Pyare Mohammad Jante ho wo Konsae Mas'ale hai Jinme Bade Darje ke Farishte Behas Kar Rahe hai Aur Uljhe Huwe hai, Aur Uska Hall Nahi Kar Sakte Mene Arz kiya Haan Wo Char Mas'ale *"KUFARAT, MUNJIYAT, DARJAT, MOHLEKAT"* Hai.

Allah Taa'la Ne Farmaya Sach Kaha Tune Aye Pyare Mohammad ﷺ Uske Bad Allah Taa'la ne Farishto Se Irshad Farmaya Mere Farishto Ab Tum Apni Mushkilat Hal Karne Ka Mouka Paa Liya Tumhe Chahiye ke Apni Mushkile Hal Karwa Lo Chunache Hazrat Israfil عَلَيـهِ السَّــلَام Ne Kaha *KAFARAT* Kya hai ( yani Wo Konse Kaam hai Jinki Wajah se Allah Taa'la Bando Ke Gunaah Baksh Deta hai).
Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Irshad Farmaya Wo 3 Kaam Ye hai Ke *"SAKHT SARDI ME PURA WUZU KARNA YANI TAMAM AAZA-E-WUZU PAR ACHI TRAH PANI BAHANA TAKI WUZU QAMEEL HO JAYE AUR GUNAHO KI MAGFIRAT KA SABAB BANE Dusra Ye Ke NAMAZ KO JAMA'AT SE ADA KARNE KI NIYYAT SE PEHLE MASJID JANA, Aur Teesra Ye ke EK NAMAZ KI ADAYGI KE BAD DUSRI AANE WALI NAMAZ KA INTEZAR KARNA

DARJAT


Fir Mukaeel Aalame Arz Kiya "DARJAT KYA HAI" Yani Wo Konse Kaam Hai Jinse Insan Ke Darje Buland Hai..
Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Irshad Farmaya Allah Taa'la ki Khushi Hasil Karne Ke liye Bhooko Ko Khana Khilana Aur Salam Ko Logo me Aam Karna Aur Raat Ke Waqt Nafil Namaz Padhna Jab Log Soye ho...

MUNJIYAT


Fir Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام Ne Arz Kiya Munjiyat Kya Hai "Sarkare Do Aalam ﷺ Ne Irshad Farmaya Zahiri Aur Batini Halat me Har Trah Aur Hamesha Allah Taa'la Ka Khouf Rakhna Aur Kisi Bhi Haal me Miyanarvi Ikhtiyar Karna Aur Gazab Aur Narmi me Adal Aur Insaf Ikhtiyar Karna..

MOHLEKAT


Fir Hazrate Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام Ne Arz Kiya Ke MOHLEKAT Kya hai(Yani Wo Konse Kaam Hai Jisko Karne se Insan Halak Ho Jata hai) Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke Bukhl ki Ita'at Ki Jaye ke Ek Bukhl Jis Trah Huqm De Uspar Amal Kare Dusra ye ke Khahishe Nafsani Ki Itteba Ki Jaye Teesri Ye ke Insan Apne ko Dusre se Acha Jane..
Ab Iske Bad Allah Taa'la Ka Irshad Hota hai Muhammad (صلی اللہ علیہ وسلم)Ne Sab Bato ke Jawab Durust Bataye Hai Aur sach Kaha hai...

"JO UKDA MALAYIK HALL NA KARE, KAYI MUDDAT SAAL HAZARO ME, WOH RAAZ IS KAMLI WALE NE, BATA DIYA KUCH ISHARO ME

ZAMEEN-O-AASMAN


Jab Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم)Apne Jisme Aqdas Ke Sath Zameen Par Tashrif Laye To Zameen Ne Aasman Par Fakhr Kiya Aur Kaha Ke Mera Martaba Tujhse Zyada Ho Gaya Isliye ke Mujhpar Allah Ke Mehboob Jalwa Farma Hai.
Zameen Ki Ye Bat Sunkar Aasman Ne Bargahe Ilahi Me Arz Kiya Aur Duwa Ki Ke Aye Parwardigar Apne Mehboob ko Mere Upar Bulandi De Taki Muje Bhi Unki Qadam Bosi Ka Sharf Hasil Ho Jaye, Allah Taa'la Ne Zameen Aur Aasman Ko Barabari Ka Darha Dene Ke Liye Apne Mehboob Ko Aasman Par Bulwaya Aur Me'raj Karwayi Take Aasman Ko Zameen Ke Barabar Ki Izzat Hasil ho..

SHOKH-E-ZIYARAT


Aasman Ke Crodo Farishte Ese Hai Jo Zameen Par Nahi Aa Sakte Lekin Unke Dil bhi Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ki Ziyarat Ke Liye Bechain The, Isiliye Allah Taa'la Ne Unki Duwa Qabool Farmayi Aur Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم)Ko Meraj Ke Liye Aasman Par Bula Liya Taki Farishto ki Ziyarat Ka Shokh Bhi Pura Ho Jaye.

ITMINAN KA TIRYAK


Waqiyat ki Duniya Me Surate Haal Ye Hai ke Pehle Musibato Aur Taklifo Se Guzarna Padta Hai Uske Bad Bulandi Raf'at Aur Izzat Hasil Hoti hai Shabi Aabi Tallib me Pure 3 Saal Qaid Rehne ke bad Jab Sarkare Do Aalam (صلی اللہ علیہ وسلم) Apne Makan Par Tashrif Laye To Thode hi Dino me Yani Takriban Ek Mahine Me Abu Talib Aur Hazrate Khadija رضي الله تعالى عنها Ka Inteqal Ho Jane se Aap (صلی اللہ علیہ وسلم)Ko Bhot Sadma Pahucha Tha Makkah Sharif Me Har Jandar Ke Liye Panah thi Lekin Rasool-E-Khuda ﷺ Ke Liye Makkah ki Ek-Ek Inch Zameen Khatre se Khali na thi...

Jis Waqt Musibat Aur Taklif ke Siyah Badal Aap ﷺ Ke Ser Par Chaye Huwe The to Allah Taa'la Rahim Kareem ne Apne Lutfo Karam Se Sukoon-O-Itminan Ka Tiryak Ata Kiya, Qudsi Aur Paak-W-Muqaddas Sifat Wale Nabi-W-Mehboob Is Khaakdan Zameen Se Shabe Me'raj Uske Khalik ki Bargah me Pahuche Jiski Shaan hai *"NOOR'USS SAMAVATI WAL ARD"*..

SALTANAT-E-ISLAMIYA KI RAJDHANI


Jis Trah Duniya me Hukumat Ke Intezam Aur Mamlo ko Baki Rakhne Ke Liye Aur Hukumat Ke Huqm Ko Jari Karne ke liye Badshah Apne Nayib Ya Madadgar Aur Dusre Wazeer Wagera Qayam Karte hai Isi Trah Zameen-O-Aasman Ke Payda Karne Wale Allah Taala Ne Zameen Par Apni Marzi Aur Na'marzi Aur Apni Raza Aur Narazgi ko Zahir Karne ke liye Apne Nayib Aur Khaleefawo Ko Duniya me Bheja Jinko Nabi Ya Rasool Kaha Jata hai.
Jis Trah Badshah ke Wazeer-O-Wazra Bharose Wale Hote hai Ese hi Ambiya-E-Kiram Aur Tamam Rasool ALLAH TAA'LA Ke Farmano Aur Huqmo ki Khabar Rakhne Wale Aur Raazdar hote hai..
Kabhi Esa Bhi Hota hai Ke Saltanat ke Khaas Aur Bhedi Kaam Aur Bat Jo Kisi Bhi Trah Use Zahir Karna Munasib Nahi Hota Badshah Apne Ek Khaas Nayib Ko Bulakar Bhot hi Ehtiyat Ke Sath Apne Darbar me Bulakar In Khaas Aur Bhedi(Raaz) Ki Bato Ko Aur Sarkari Khufiya Policy ko Aur Tamam Raaz ko Batla Deta hai..

Isi Trah Allah Taa'la ne Apne Nayibo ko Unke Martabo ke Mutabik Izzat Bakshi Isiliye Hazrate Ibrahim عَلَيـهِ السَّــلَام Ko *"MALAKUSSAMAWATI, WAL'ARD"* Yane Zameen-O-Aasman Ka Mushahida Karaya, Yani Ibrahim عَلَيـهِ السَّــلَام  Ki Meraj thi, Hazrat Moosa Kalimullah عَلَيـهِ السَّــلَام  Ko Waadi-E-Seename Bulakar Koohetoor Par Hum Kalami Ki aur 10 Ehkam Diye Ye Moosa عَلَيـهِ السَّــلَام KI Meraj Thi.
Lekin Apne Sabse Bada Aur Azeem Nayib Tamam Rasoolo Ke Sardar Aur Tamam Ambiyawo Ke Imam Janab-E-Akram Noor-E-Mujassam, Ahmade Mujtaba, Mohammad Mustafa (صلی اللہ علیہ وسلم)Ko Shab-E-Meraj Jo Aezaz O Izzat Bakshi Wo Sabse Azeem Badi Aur Mumtaz Aur Behter thi.
Meraj Ke Safar ki Khalik-O-Malik Ki Taraf se Us Waqt Talab Huyi Ke Jab Aap (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne 12 Saal Tak Musibat Aur Pareshaniyo Me Guzare Iske Ba'wajood Bhi Aap ﷺ Islam ki Tabligh Aur Islam ko Tarakki Dene me Mashgool Rahe, woh Karam Jaha Har Jandar ko Panah Thi Amaan Tha Lekin Kuffar ki Sarkashi Aur Zulm Ka Ye Haal Tha Ke Allah Ke Mehboob Aur Unke Gulamo Ko Haram ki Mukaddas Aur Paak Zameen Par bhi Satate Aur Apne Zulmo Sitam Ka Nishana Banane se Pargez nahi Karte the Balke Uspar Fakhr Karte th...

Unhi Halat Ke Peshe Nazar Aayinda Saal Sarkar ko Aur Apke Ja'nisar Sahaba ko Makkah Se Hijrat Karke Madina Munawwara Jise Kudrat Ne Apne Mehboob ki Aakhri Aaramgaah Aur Saltanate Islamiya ki Rajdhani ke Liye Chuna tha Uspar Islami Aadil Aur Insaf Wali Hukumat ka Qiyam Amal Me Aya tha Aur Yahi se Islam Ka Danka Bajne Wala Tha..
Ye Kis Qadr Aham Khaas Aur Bade Azeem Waqiye Ke Zahir Hone Ka Khaas Waqt Tha, Isliye Bargahe Ilahi Se Tabalka Parwana Lekar Hazrat Jibraeel Aap (صلی اللہ علیہ وسلم) Ki Khidmat Me Hazir Hote hai, Safare Meraj Ka Sara Intezam Kudrat ki Taraf se Kiye Gaye The Aur Fir Raaz Ki Raaz Rakhne Ke Liye Sawari Aur Rufqa Yani Sathi Sabke Sab Barghe Rabbul Alameen Hi se Aye the...
Muhib(Allah Taa'la) Aur Mehboob (ﷺ) Ke Darmiyan Jo Guftagu Aur Raaz-O-Niyaz Ki Baate Huyi Aur Bari Taa'la Ne Jo Raaz Aap Par Zahir Kiye Unko Dekhne Me Apki Aankh ki Palak Tak Na Jhabki Aur Dil bhi Na Dhadhka Aankhe Jo Kuch Dekhti Rahi Dil Barabar Uska Idrak Karta Raha Yani Qabool Karta raha Aur Anakhe Wahi Dekh Rahi thi Jiska Sath Dil Aur Dimag De Rahe the Yani Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Hosho Hawas Aur Dilo Dimag Ki Bedari Me Allah Taa'la ki Zaat Ka Didar Kiya Aur Raaz-O-Nyaz ki Bate ki.

TAQMEEL-E-SAHADAT


Khuda Ki Zaat-O-Sifat Kousar Aur Tasnim Jannat Dozakh Sawab Aur Azab ki Khabar to Har Ek nabi Aur Rasool Ne Di Magar Unka Khabar Dena Wahi Aur Ilham Ke Zariye Tha Khuda ko Dekhkar Aur Uske Qareeb Bethkar Bat Karna Nahi Farmaya tha..
Yani Unki Gawahiya Apni Aankh Se Dekhi Huyi na thi Balke Suni Huyi Thi Aur Sahadat Usi Waqt Mukammal Aur Puri Tor se Hoti hai Ya To Sahadat Dene Wale Ne Hone Wale Waqiyat Khud Apni Aankh Se Dekha ho Ya Dekhne Wale Se Suna ho Isliye Zarurat thi Ke Ambiya Ki Jama'at Me Ek Esi bhi Hasti Ho Jisne Apni Muqaddas Aankho Se In Sabko Dekha ho..
Shab-E-Meraj Sarkare Do Aalam (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Allah Taa'la Ki Zaat Aur Sifat Aur Jannat Aur Dozakh Ko Apni Aankho se Dekha Isliye Aaj Ye Pehla Mouka hai Ke Duniya Ne Apni Aankho se Allah Ko Dekhne Wale Ko Paa liya Jisne Sunkar Nahi Balke Apni Mathe Ki Aankho se Dekhkar Har Cheez Ki Gawahi Di Aur Hamesha Ke liye Fayda ke Khaas Aham Maksad Ki Taraf Duniya ki Rehnumayi Ki Yane Aapne Apni Aankho se Mushahida Karke Duniya ko Sacchi Aur Nek Raah Batayi..
Allah Taa'la ne Quran Me Irshad Farmaya "AYE MEHBOOB HUMNE TUMKO GAWAHI DENE WALA AUR BASHARAT DENE WALA AUR DARR SUNANE WALA BANAKAR BHEJA HAI

Is Ayat me Isi Janib Ishara Hai Aur Yahi Wajah Hai ke Huzur ﷺ Khatimul Ambiya Kaha Gaya Kyonke Apki Apni Sahadat ne Sahadat ki Takmeel Farmayi Aur Ab Kisi Dusri Sahadat ki Koi Zarurat Baki nahi...

Agar Hindustan Ka Director Of Education Urope Ke Doure Par Jaye Take Waha Ke Taleem Aur Uske Usool Ko Dekhkar Uski Roshni Me Hindustan Ki Talim Ko Aala Aur Behtar Banaye Aur Yahi Director Sahab Urope Jakar Jise Dekhna Chahate hai Wo Urope Ki Chupi Huyi Qitabo Me bhi Moujud hai Jinko Director Sahab Padh Chuke hai..
Lekin Ek Kahawat Mashoor hai *"SUNI HUYI CHEEZ KESE DEKHI HUYI KE BARABAR HO SAKTI HAI"* Isi Liye Director Sahab Ki Koshish Aur Shokh Aur Talab ki Tarkib Aur US Waqt Tak Na Hogi Jab Tak Ke Woh Jakar Apni Aankho se Dekh Na Le Aur Is Hakikat se Inkar Nahi Kiya Ja Sakta Ke Mua'yna Aur Dekhta Apni Nazro Ke Bad Naye-Naye Nukte Samne Aate hai Jo Sunne se Bilkul Hasil nahi hote..
Isliye Urope se Wapsi Par Director Sahab Apne Tajurbe Se Aur Urope Ke Tarike se Mulk Ke Talim Ke Nizam Aur Bandobast Me Islah Aur Sudhar Aur Tabdili Karte hai Jisme Tamam Mulk ko Fayda Hota hai Aur Mulk Apne Ser ko Fakhr se Uncha Kar Leta hai..
Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Safare Me'raj Se Wapas Aane Ke Bad Insani Jahan Aalame Insaniyat ke Ilm Me Izafa Kiya Aur Roohani Tarakki ke Liye Roshni Ata ki Wahi Par Aalame Insaniyat Ko Fakhr Se Ser Uncha Karke Ye Kehne Ka Mouka Naseeb Huwa Ke Humare Hidayat Karne Wale Ba'kamal Ke Ilm Aur Ma'refat Ka Roshni Ka Diya Be'Guzar Saaf-Suthra hai..
Iska Ilm Sirf Ilhami Allah Ke Wali Ke Dil Par Allah Ki Taraf se Ek Farishta Jo Baat Dalta hai Wo Ilham Kehlata hai Aur Qitabi Haddtak Ya Kisi Se Sunna Ki Hadd me Mehdood Nahi Raha Balki Aankh Se Dekhi Huyi Roshni se Iska Ilm Aaftabe Darakhsha ki Trah Roshan Jagmaga Raha hai...

JAAM-E-US'SIFAT


Jis Nabi Ko Jo Bhi Martaba-W-Kamal Hasil Huwa Wo Zaat-E-Muhammad ﷺ Me Jama Hai Jaise Ibrahim عَلَيـهِ السَّــلَام Aap Par Aag Gulzar (Bagicha) Ho Gayi To Janab Muhammad ﷺ Ka Ye Moziza Ke Apne Jis Dastarkhwan Se Apne Hath Mubarak Aur Munh Sharif ko Poncha tha Wo Tandoor ki Aag Me Bhi Na Jala..
Hazrate Isa عَلَيـهِ السَّــلَام Ne Murdo ko Zinda Kiya Aur Unse Apni Nabuwwat Risalat ki Gawahi Di To Huzur ﷺ Ne Sookhi Lakadiyo Aur Kankariyo ko Zinda Karke Kalma Padhwaya Hazrate Moosa عَلَيـهِ السَّــلَام Ne Apna Asa(Ek Trah Ki Laathi) Patthar Par Markar Nadiya Jari ki To Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Hudebiya ke Mouke Par Apni Ungliyo Ke Bich se Pani Ke Chahsme Jari Kar Diye Jisse 1500 Sahaba-E-Kiram Ne Wuzu Banaya Pani Piya Aur Apne Janwaro ko Bhi Sairab Kiya Aur Apne Mashkize bhi Bhar liye..
Isi Trah Hazrate Moosa عَلَيـهِ السَّــلَام Ne Koohetoor Par Allah Ki Tajalli Ko Dekha Aur Hum Kalami Bhi Ki Aur Hazrate Isa Chouthe Asman Par Tashrif Le Gaye Isi liye ye Zaroori Tha ke Humare Sarkar Ko bhi Me'raj Ka Sharf Hasil Ho Jo Sabse Afzal Aur Behter hai...
Ise Yun Kahiye Ke Moosa Kalimullah To Koohe Toor Par Tashrif Le Gaye Aur Isa Chouthe Aasman Par Lekin Allah Ke Habib (صلی اللہ علیہ وسلم) Aasmano Se Door Arsh Se Aage La'maqa Me Tashrif Le gaye...

JANNAT QEEMAT ME


Qayda Hai Ke Jiske Marefat Koi Souda Hota hai To Us Saksh Ke Liye Zaroori Hai Ke Woh Keemat Ko Bhi Janta ho Aur Maal bhi Uska Dekha Huwa ho, Is Usool Ke Hisab se Agar Is Ayat Par Gour Kiya Jaye To Me'raj Mubarak Badi Pyari Hikmat Samaj Me Aati hai..

TARJUMA


Beshak Allah ne Musalmano se Unke Maal Aur Jaan Khareed Liye hai Iske Badle me Unke liye Jannat hai..

(Qur'an)


Lene Wala Khuda Pesh Karne Wale Musalman Aur Ye Sab Kuch Janab Muhammad 
(صلی اللہ علیہ وسلم) Ke Marefat Ho Raha hai, Sarkare Do Aalam ﷺ Ne Musalmano Ki Jaano Aur Maalo Ko To Dekh Hi Liya Tha Momino ki Har Cheez Aur Har Ghadi Sarkar Ki Nazro Ke Samne Hai, Isliye Zaroori Huwa ke Keemat Bhi Yani Jannat Ko bhi Dekh Le Taki Koi Kasar Na Reh Jaye..

SAWAL


Agar Ye Kaha Jaye Ke Jaan-O-Maal To Momino Ka Hai Ke Jannat Ko to Musalmano ko Dekhna Chahiye Naa ki Sarkar ko...

JAWAB


Ye Sawal To Us Waqt Payda hota hai Ke Momineen Apni Jaano Ke Malilk hote Magar Qur'an Me Allah Taa'la Irshad Farmata hai *"YE NABI MUSALMANO KA UNKI JAAN SE ZYADA MALIK HAI"* Isi Liye Nabi-E-Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) Hi Ko Keemat Dekhne Aur Souda Karne Ka Haq Hai Momino Ke Dekhne ka Koi Sawal hi nhi..
FIQHA Ka Qanoon Hai *"IMAM KI QIR'AT MUQTADI KI QIR'AT HAI"* Imam Ke Piche Muqtadi ki Qir'at Zaroori Nahi Imam Ka Padhna Kafi hai, Isi Liye Sarkar ka Jannat ka Mushahida Karna Ummati Ka Mushahida Karna Hai Sarkar (صلی اللہ علیہ وسلم) Aage Rehne Wale Imam Aur Peshwa hai Aur Momin Muqtadi Piche Apke Nakshe Qadam par Chalne Wale hai...


TAKLIF KA SILA


Makkah Ke Kuffaro Ne Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Aur Sahaba Kiram Ko 3 Saal Tak Shabi Abi Talib Me Is Trah Qaid Rakha Tha Ke Zindagi Ke Sare Zariye Kaat Diye Gaye, Musibato Aur Taklifo ka Ek Toofan Tha Jo charo Taraf se Umad Kar Aa Raha tha Itna Sakht Bycott Tha ke Isse Zyada Khayal Bhi Nahi Kiya Ja Sakta...
Magar Ek Qayda Hai Ke Agar Koi Cheez Ek Taraf se Dabayi Jaye to Dusri Taraf Uska Ubharna Zaroori Hai, Jab Ek Taraf se Taklifo Aur Musibato Ka Dabaw Badhta Gaya To Parwardigare Aalam Ne Is Sabr ke Badle Sarkar Ko Me'raj Sharif Se Nawaza Taki Allah Ke Nabi Ke Mitane Wale Unki Bulandi Aur Rif'ate Aur Bulandiya Roz-Ba-Roz Badhti Jaengi Mitne Aur Ghatne Ka Khayal Bhi Nahi Kiya Ja Sakta...

MUQAME ASLI


Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ka Noor Tamam Makhlook Se Pehle Allah Taa'la Ke Nooor Se Payda Huwa Aur Na Jane Kab Tak Ye Noor Bargahe Rabb Me Apne Rabb ko Hamd-O-Sana Karta Raha Aur Fuyooz-O-Barkat Se Malamal Hota Raha, Lekin Jab Libase Bashri Me Is Duniya me Jalwa Afroz Huwa To Duniya Me Aane ke Bad Fir *MUQAME ASLI* Ka Shokh Payda Huwa Isliye Shabe Meraj Allah Taa'la Ne Apne Khaas Qurb Me Bulakar Sukoon Aur Karar Ki Doulat Di..

DARMIYANI DEEN, DARMIYANI UMMAT

ELAN-E-NABUWWAT Karne Ke Bad Huzur ﷺ23 Saal Duniya Me Tashrif Farma Rahe Jiska Aadha 11 Saal Aur 6 Mahine Hai Me'raj Sharif Nabuwwat Ke Zahir Karne ke 11 Saal Aur 6 Mahine Bad Rajab Ke Peer ki Raat Ko Huyi, Nabuwwat Ke Elaan Ka Saal Rabi-Ul-Awwal Sharif Se Shuru Hota hai Rajab Saal Ka Darmiyani Mahina Hai Isiliye Sharayi Tor par Hafte Ki Shuru'at Jumma se Hoti hai Isi Liye Peer Hafte ka Darmiyani Din hai...

ME'RAJ MAKKAH MUKARRAMA SE HI KYU 


ANWARE TAJALLIYAT


Allah Taa'la Ne Apne Fazl-O-Karam se Makkah Sharif Aur Madina Sharif ki Darmiyani Zameen ko Is Tarike se Nawaza Ke Apne Habib-E-Paak Ko Makkah sharif Se Me'Raj Karwayi Take Shabe Mer'aj Anwar-E-Tajalliyat*(ALLAH KE NOOR AUR TAJALLI)* Ki Jo Barish Ho Uske Faiz Se Makkah Sharif Se Lekar Madine Sharif Tak ki Zameen Munawwar Aur Mujalla Aur Roshan Ho Jaye..
Aur Me'raj Ki Barkato Se Malamal Ho Jaye, Warna Agar Madina Sharif Se Me'raj Karayi Hoti To Makkah Sharif Aur Madina Sharif Ke Bich Ki Zameen Barkato Se Mehroom Reh Jati Aur Hamesha Ispar Afsos Karti Rehti...

BAYTULLAH


Jis Trah Bacche ki Maa Ke Pet Me Naaf Se Giza(Khana) Milti Hai Ese Hi Zameen Ko Tamam Barkate Baytullah Sharif Se Milti Rehti hai Isiliye Usko Zameen ki Naaf Kaha Jata hai..

BAYTUL MUQADDAS


Baytul Muqaddas Qayamat ke Roz Logo ke Jama Hone ki Jagah hai Us Din Barkat ke Haqdar Logo ko Jo bhi Barkate Milengi Wo Baytul Muqaddas Se Milengi Yahi Wajah Hai Ke Zameeni Safar Ki Shru'at Makkah Sharif Se Huyi Aur Aakhri Band Hona Baytul Muqaddas Me Huwa Taki Duniya Aur Akhirat Ki Barkato Ke Ye Dono Nadiya Sarkare Do Aalam (صلی اللہ علیہ وسلم) Ke Anwar Se Faiz Hasil Kar Le, Jo Is Me'raj ki Raat me Zahir Huwe..

MASAWAT


Makkah Sharif Se Meraj Ki Shur'uat Isliye Huyi Take Shuru'at Aur Aakhir Me Barabari Rahe, Yane Meraj Sharif Ka Wo Safar Jiski Nisbat Zameen Se hai Ek Khana-E-Qaba se Shuru Hokar Dusre Baytullah(Baytul Muqaddas) Me Khatm Hai Is Haqiqat Ko In Lafzo Me bhi Kaha Ja Sakta hai Ke Allah Ke Mehman Allah ke Ghar se Chala Allah Ki Taraf ja Raha hai Allah Taa'la ke Ghar me Gaya (मिन्हुल बिदाया व अलैहिन्न्नहाया) Isi Se Shuru Hai Aur Isi Tak Maksood ki Inteha hai...

ISMI MUNASIBAT


Makkah Sharif Ka Ek Naam (हुदा लील आलमीन) Bhi hai Aur Humare Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Rehmatullil Alameen Hai Isi Liye Aapke Safare Meraj Ke Liye Munasif Yahi Tha Ke (हुदा लील आलमीन) Se Uski Ibteda Ho Taki Makkah Sharif Aur Sarkar Ke Naam Mubarak Me Jo Jo Munasibat Hai Usme Aur Nazdiki Payda ho Jaye...

BAYTUL MUQADDAS SE SAFAR-E-AASAMAN KI IBTEDA KYO ???


MOHAR-E-KHAMOSHI


Baytul Muqaddas se Safar Aasman Ki Ibteda Me Ye bhi Hiqmat hai Ke Aitraaz Karne walo Aur Mukhalifo Par Haq Bat Puri Trah Samne Aa jae
Isi liye Ke Agar Makka Sharif Se hi Aasman Ki Taraf Safar Karte To Dushmano ki Zidd Zor Mukhalifat Ke Muqable Me Wazahat Aur Haq Bat ka Zahiri Tor se Koi Zariya Na Hota.
Lekin Baytul Muqaddas kyonke Unka Dekha hua Tha Aur Waha ki Nishaniyo Se bhi Unko Waqfiyat Thi Wo Log Jante the Aur Makka Se Baytul Muqaddas Tak ka Fasla Bhi Unko Maloom tha Isi liye Jab Baytul Muqaddas Se Aasmani Safar Ke Aagaz Ka Tazkira Mukhalifo ne Suna To Puchne Lage Ke Baytul Muqaddas Ki Alamate Kya hai ???
Aapne Ek Alamat Bayan Farma Di Qaflo ke Haal Maloom kiye To aapne Unke Tafsili Halat Balke Aane Tak ka Waqt Din Aitraz Karne wale Apne Aitraaz Ke Masqut Jawab Pakar Mabhut Reh Gae Aur Khamosh Ho gae...

REF (MAWAHIB-E-LADUNNIYA , MERAJ-UN-NABI JILD-1 PAGE NO 74)


SUTUN KI TAMANNA 


Masjid-e-Aqsa Sharif Ke Ek Sutun Ne Arz kiya Aye Parwardigar Muje Tere Har Nabi ki Barqat Se Sharf Mila hai Ab Mujko Hazrat Muhammad Mustufa صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. Ki Ziyarat ka Sokh hai Bas Humari Dua Qabool Farma Aur Unki Ziyarat ka Sharf Ata Farma de.
Is Mubarak Sutun Ki ye Dua Bargah-e-Ilahi me Qubul hoti hai Aur Aap صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. Ke Safar e Meraj Ki Shuruat Baytul Muqaddas se Hoti hai Take Ye Sutun Apne Mubarak Maqsad ko Paye aur Uski Ye  Tamanna Puri Ho jae...

REF (TAFSIL FATHUL MANAAN)


UMMAT KE LIYE AASANI 


Baytul Muqaddas Se Safar e Aasman Ki Ibtida Isliye Hui Ke Aapke Qadam Sharif Ke Asar Se Waha Barqat Aa jae Aur Is Barqat Ke Sabab Qayamat Ke Din Waha Par Aapki Ummat Ko Aasani Ho Kyoke Wohi Tamam Makhluk Ke Jama Hone ka Muqam hai.

REF (FATHUL MANAAN)


DO HIJRATE 


Baytul Muqaddas Se Safare Aasman Ki Ibteda Ka Sabab Apko Dono Hijrato Se Faizyab Karna Hai Kyonki Baytul Muqaddas Aksar Ambiya-E-Qiram Ki Hijrat Gaah Hai Isi liye Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم.Ko Meraj Ki Raat Waha ka Safar Darpesh Hua Take Is Safar Ke Sabab Aap Mukhtalif Tarah Tarah ke Fazail Jama Kar le

REF (MERAJ-UN-NABI JILD-1 PAGE NO 74/75)


DARWAZA-E-AASMAN


Kyonke Aasman Ka Darwaza Baytul Muqaddas Ke Samne Waqey Aaya huwa hai Isiliye Baytul Muqaddas se Safare Aasmani Ka Aagaz Huwa Aur Wapsi Par Bhi Waha se Guzre Jese Burhanuddin Halbi Likhte hai..

BAYTUL MUQADDAS SE ME"RAJ HONE ME EK HIKMAT YE BHI HAI KE AASMAN KA DARWAZA JAHA SE FARISHTE UPAR CHADHTE HAI JISE MAS'OOD-E-MALAYKA KAHA JATA HAI WO BAYTUL MUQADDAS KE BILKUL MUKABIL YANE SAMNE HAI ISI LIYE MALOOM HUWA KE WAHAZSE AASMANO PAR JANE KA RASTA SIDHA HAI TEDHA NAHI

Ref (SEERAT-E-HALBIYA)


FARISHTE UTARTE CHARTE HAI


Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ko Baytul Muqaddas Se Me'raj Isi Liye Huyi Ke Zameen Se Aasman Par Jane ka Rasta Allah Taa'la ke Nazdik Is Sidhi se Mukarrar Hai Jis Sidhi se Sarkar Bazri-E-Buraq Me'raj Gaye, Aur Aaye, Is Sidhi Ke Bare me Buzurgo Ne kaha Ke Naz'aa Ke Waqt(Jab Aakhri Saans Li Jaye Us Waqt) Insan ko Ye Sidhi Nazar Aa Jati hai Jisse Usko Farishte Chadte Aur Utarte Nazar Aate hai *Yahi Wajah Hai Ke Us Waqt Insan ki Aanakhe Khuli Ki Khuli Reh Jati hai Jese Koi Cheez Dekh Raha ho

AMBIYA SE MULAKAT KI HIKMATE


IBLIS KI DUSHMANI 


Adam Aleyhissalam ko Jannat Se Zameen Par Tashrif Lana Pada Goya Iblees Ki Dushmani Ki Vajah Se Pareshaniyo Ka Samna Hua Aur Jannat Se Bahar Tashrif Lae Isi Trah Makka Walo ne Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. Ke Sath Dushmani ki Inteha Kardi To Sarkar ko Makke Sharif Se Hijrat Karke Madina Sharif Tashrif le Jana Pada.
Aur Jis Trah Adam Aleyhissalam Ka Zameen Par Tashrif lana Beshumar Hiqmato Se Khali Nahi Isi Trah Sarkar ka Madina Sharif Tashrif le Jana bhi Hiqmato Se khali nahi Bahot si Hiqmate Hai.

YAHOOD KI SARKASHI


Jis Trah Hazrat Isa Aleyhissalam Aur Yahya Aleyhissalam Ko Yahoodiyo Ne Sataya tha Ese hi Hijrat Ke Bad Madina Munawwara Me Yahoodiyone Sarkar Ko bhi Taklife Di Kabhi Zeher Se Bhara Hua gosht Khilaya Aur Kabhi Deewar ke Upar Se Vazandar Paththar Ser Mubarak Par Girana Chaha Wagera.

IZHARE NADAMAT PE BARISH-E-REHMAT


Jis Trah Hazrat Yusuf Aleyhissalam ko Allah Taa'La Ne Huqumat Takht-o-Taj Ki Nemato Se Nawaza Aur Apke bhai Dil me Zazba-E-Nadamat Liye Hue Yane Afsos Zahir Karte hue Hazir hue To Aapne Irshad Farmaya *"LA TASRIBA ALAYKUM-LYOUM"* Aaj Tum Par Koi Malamat nahi.


Isi Trah Jab Fateh Makka Ke Din Ahle Makka Ummid Aur Khouf Aur Darr Ki Halat me Sarkare Do Alam صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. KI bargah me Hazir hue To Aapne bhi Irshad Farmaya Ke Aaj Me Tumse Wohi Kahunga Jo Hazrat Yusuf Aleyhissalam ne Apne Bhaiyo Se Kaha tha Yane *"LA TASRIBA ALAYKUM-LYOUM"* Aaj Tum Par Kisi Trah ki Koi Malamat Nahi.

AUR FARMAYA TUM LOG AAZAD HO TUMNE APNE KIYE KA ANZAM DEKH LIYA AUR MENE APNE RAB KI MEHERBANIYO KA HUZUM DEKHA


Ref (MERAJ-UN-NABI JILD-1 PAGE NO 79/80)



♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡
🍀Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
جزاك الله خيرا... For reading
♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
👥PLZ SHARE TO OTHERS ALSO👥

📧Like TO FB LINK



https://www.facebook.com/zikrenabi/

🌎www.zikr-e-rasool.com 


Download App https://goo.gl/WW7qMw

No comments:

Post a Comment