MERAJ E MUSTAFA
PART:-05
SABSE PEHLE
Jis Trah Hazrat Idris Aleyhissalam Ko Sabse Pehle Likhna Ata Hua Ese hi Huzoor صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. Ne Waqt Ke Badshaho Ke Pas Khat Bheje Yaha Tak ke Najashi-Makokash Aur Umanka Shah Imaan Lae Aur Kesaro Kisra Jese Azeem Huqmara Bade Bade Haqim Apke Roub Aur Nabuwwat Ke Dabdabe Se Larazne Lage Aur Tharrane Lage....
MEHBOOBIYAT
Jis Trah Hazrat Haroon Aleyhissalam Apni Qoum me Mehboob The Ese hi Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. KI Mohabbat Quraish Ke Dil me Samai Hui thi Ke Aapse Ladte The Lekin Bad me Ser Jhuka kar Imaan Laye Aur Ja Nisar Aur Jane Qurban Karne Wale hue..
JIHAD
Jis Trah Hazrat Moosa Aleyhissalam Ko Mulke Shaam ke Logo Se Jung Ka Huqm Hua Aur Amalka Jesi Zalim Aur Jabir Qoum Ko Shikasht Deker Zaleel Aur Ruswa Kiya Aur Bani Israil Ghalib Aaye Aur Jite ..
Ese hi Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. Jung Ki Yaha Tak ki Gazwa-E-Tabuk me Apko Fateh Hasil hui Aur Domtul Jandal Ke Ameer ne Shikasht Khakar Juziya Dena Qabool Kiya Makkah Muqarrama Fateh Hua Aur Sahaba E Kiram Ne Itminan Aur Sukoon Se Apne Watan e Azeez Ko dekha..
HAJJ AUR TAWAF
Jis Trah Hazrat Ibrahim Aleyhissalam Ne Qaba Banaya Aur Logo Ko Hajj ke liye Bulaya Isi Trah Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. Ne 1,24,000/- Sahaba ke Sath Baytullah Sharif Ka Tawaf kiya Aur Hajj Ka Fariza Ada Kiya..
Ref(NASIMURRIYAZ AUR ROOHUL BAYAN)
IMAAMUL HARMAIN
Qutub-E-Saab ( PEHLE KI AASMANI QITABE JO AMBIYA PAR UTRI) Me Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. Ka Ek Laqab Imamul Harmain Bhi Bayan Kiya Hai Haram-E-Qaba Me To Sarkar Imamat Farma Rahe the. Lekin Aaj Shab-E-Meraj Baytul Muqaddas me Ambiya Ki Imamat Farma Rahe hai Jisse Apke Is Laqab-E-Paak Yane *IMAAM-UL-HARMAIN* Ki Muqammal Yane Puri Tasdeeq Ho Rahi hai.....
AWWAL AUR AAKHIR
Sarkar E Do Alam صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم.Ki Sifat Awwal Hona Bhi hai Aur Aakhir hona bhi hai Aakhir hona to Is Tor par Sabit hai ki Aap Tamam Ambiya ke Bad Tashrif Lae Lekin Aaj Masjid-E-Aqsa Me Tamam Ambiya Saf Bandhe Piche khade hai Aur Sarkar صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. Sabke Aage Imamat Ke Musalle Par Tashrif Farma hai Aur Apki Sifat Awwal Hone ka Puri Trah Se Zahir Ho Raha hai..
ISI LIYE IMAAM E ISHQ O MOHABBAT NE KUCH YUN FARMAYA
NAMAZ-E-AQSA ME THA YAHI SIRR
AYA HO MA'NE AWWAL AAKHIR
KE DAST BASTA HAI PICHE HAZIR
JO SALTANAT AAGE KAR GAE HAI
ME'RAJ RAAT ME HI KYU ???
MUQAM-E-MUHABBAT
Meraj Ko Raat Me Khaas Karna Ke Raat Mohabbat ke Muqam ke Liye Khaas hai Kyonke Allah Taa'la Ne Huzur ﷺ Ko Apna Habib Aur Khaleel Banaya Hai Aur Raat Dosto Ko Jama Karne Ke liye Banayi Gayi hai Aur Muqam-E-Khuluwat Jo Raat Ko Hasil Hota hai Wo Din Ko Hasil nahi Hota...
REF (TAYBUL'WARDA)
IMAAN-BIL-GAIB
Bahot Se Aalimo Ne Farmaya Ke Me'raj Ka khaas Tor par Raat Ko Mukarrar Hona Isiliye hai ke Imaandar Logo Ke Iman Bil Gaib(Yani Gaib Ki Bato Par Iman Lane) Me Zyadti Ho jaye Aur Kafiro ka Fitna Aur Zyada Ho Jaye Iski Wajah Ye hai ke Raat ke Kaam Din Ke Aetbar Se Chupe Huwe Hote hai...
Isi Liye Ke Jo Maan Lenge Unka Imaan Bil Gaib Zyada Ho Jaega Aur Jo Inkar Karenge Unka Kufr Zahir ho Jaega Yani Is Me'raj Ke Waqiye se Saccha Aur Kafir Aur Kafiro se Bhi Badttar Me Imtiyaz Aur Fark Maloom ho Jaega...
QAYNAT KE WAJOOD KA SURAJ
Ba'az Ulema-E-Kiram Ne Kaha Hai Ke Ek Martaba Din Ne Raat se Kaha Muje Tere Upar Fazilat hai Me Tujhse Behter hu Isi liye ke Suraj Mere Andar Chamakta hai, Allah Taa'la ki Janib Se Khitab Huwa Aur Farmaya ke Aye Din Tujhe Ye Zeba Nahi Ke Fakhr Kare Agar Tere Waqto me Duniya ka Suraj Chamakta hai To Qaynat Ke Wajood Aur Zahoor ka Suraj Raat Ke Waqt Aasman Par Tulu'a Hoga Yani Aasman Par Chadega..
DIL JOYI-E-SHAB
Ba'az Aarifo ka Qoul hai Ke Raat Me Me'raj Hone Me Hiqmat Ye hai Ke Jab Allah Taa'la ne Raat ki Nishani ko Mita Diya Aur Din ki Nishani ko Dekhne Ke Liye Baki Rakha To Raat Ghumgin Aur Pareshan Ho Gayi Thi Isi Wajah Se Allah Taa'la ne Huzur ﷺ Ko Raat Ke Waqt Me'raj Karayi Take Din Aur Raat Me Barabari Ho Jaye Addal Aur Insaf Ya Barabari Kayam Rahe..
Ref (TAYBUL WARDA)
Allama Jalauddin Suyuti رضی الله عنہ Apni Is *Tafsire Ittekan* Me Farmate Hai Ke Allah Taa'la Ne Chand Aur Suraj Ki Pehle Barabar Roshan Payda Kiya tha Jiski Wajah Se Raat Aur Din Me Pehchan Mushkil Thi Lihaza Allah Taa'la Ne Hazrate Jibraeel Ko Bheja Unhone Apne Parr se Chand Ki Roshni ko Kum Kar Diya Aur Unhi Parr Ke Asar Se Chand me Ek Daag Bhi hai Jab Chand ki Chandani Suraj se Kum Ho Gayi To Din Aur Raat me Kafi Fark Nazar aane Laga Allah Taa'la Ne Quran-E-Paak Me Irshad Farmaya..
AUR HUMNE RAAT AUR DIN KO DO NISHANIYA BANAYA TO RAAT KI NISHANI MITI HUYI RAKHI AUR DIN KI NISHANIYA DIKHANE WALI
Lugat ki Istelah Me Ayse Izale ko Kehte hai Jisme Kuch Asbat Baki Ho...
JUDAYI GAWARA NA HOTI
Agar Me'raj Din Ko Hoti Aur Hazrat Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام Farishto Ko Lekar Aate Taki Aapko Buraq Par Sawar Karke Aasmano Par Le Jaye To Wo Sahaba Jo Aap Par Apni Jaan Nisar Karte the Wo Apki Judayi Kese Bardasht Karte Aur Unko Kese Sabr Aur Sukoon Hasil hota..
Sab Ke Sab Apke Daman Se Lipatkar Arz Karte ki Aaqa Hum Apki Judayi Bardasht Nahi Kar Sakte Aur Fir Huzur Rehmatullilaalamin Hai Sahaba Ke Is Rone Par Kese Gawara Farmate Ke Unse Daman Chudakar Aage Badhe Isiliye ke Apki Sifat hai "BIL MOMENINA RAUF'URR RAHIM" Yahi Sabab Hai Ke Raat ko Meraj Huyi Take kisi bhi Trah Apke Raste me Rukawat na aaye...
RAAT DIN SE PEHLE HAI
Ba'az Ulema Ne Farmaya Ke Raat Me Me'raj Hone ki Wajah Ye bhi Hai Ke Huzur ﷺ Choudwi Raat Ke Chand Ke Misl the Aur Chand Raat me Aasmano Me Tulu'a Hota hai Isi liye aap bhi Raat hi ko Aasman Par Tashrif Le Gaye Ya Fir Ye Wajah bhi Ho Sakti hai Ke Quran-E-Paak me Raat Ko Din Se Pehle Bayan Kiya Gaya Hai...
AUR HUMNE RAAT AUR DIN KO DO NISHANIYA BANAYA
Neez Musalmano Ka Saal Aur Mahina Chand Ke Hisab se Hai Suraj ke Hisab se Nahi...
BHALAYI AUR BURAYI
Ye Ke Yaha Par Firqa-E-Sanviya Ka Radd hai Jinka Aqeeda hai Ke Din Bhalayi Payda Karta hai Aur Raat Burayi Payda Karti hai Isi Liye Allah Taa'la Ne Apne Habib ko Raat me Meraj Ki Azmat Aur Bartari Farmakar Ye Zahir Kar diya ke Bhalayi Aur Burayi Dono Allah Taa'la Ke Ikhtiyar me Hai.
JUMMA KA HAM PALLA
Jis Raat Me'raj Huyi wo Peer ki Raat thi Allah Taa'la Ne Chaha ke Peer ki Raat ki Shaan Jumma Ke Ham Palla Ho Jaye..
REF (ROOHUL BAYAN)
Aur Ye Bat ke Huzur ﷺ Raat Me Kyo Bulaye Gaye To Ye Sarkare Do Aalam ﷺ Ka Khaas Hone Ki Wajah Se Hai Isliye ke Raat Ka Waqt Akelepan Ki Lutf Aur Khushi ki Ghadiyo Ko Apne Andar Liye Huwe hai Aur Badhshao Ki Majlis Mehfile Zamana Ka Khaas Waqt Yahi Hai Aur Ye Sab Jante hai Ke Badshah Us Waqt ki Khaas Nazam Aur Bethak Me Siwaye Apne Khaas Qareeb Ke Aadmiyo Ke Aur Kisi ko Nahi Bulata...
CHIRAG AUR CHAND
Isi Bare me Allama Ibne Jauzi Radiallahu Anhu Ne Bahot hi Ajeeb Bat Bayan ki Hai Aap Farmate hai Ke Sarkare Do Aalam ﷺ Ek Chirag Hai Aur Chirag Raat ke Alawa Aur Koi Waqt Me Roshan Nahi Kiya Jata Ya Ye Ke Apki Zaat Maah-E-Qameel(Pura Choudhvi ka Chand) Aur Chand Ka Safar bhi Aasman Par Raat hi Ki Andheriyo Me Shuru Hota hai...
Ref (ROOHUL MA'AANI)
ME'RAJ JISMANI
IMAAN QAMEEL
Jo Saksh Allah Taa'la Ko Zaat-Wa-Sifat Ilm Wa Qudsi Azmat Wa Hiqmat Ko Qabool Kar Chuka hai Aur Pura Imaan La Chuka hai Aur Sath hi Sath Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. Ki Nabuwwat Aur Risalat Aur Sadaqat Aur Qamalat Ko Sacche Dil Se Tasdiq Qabool Kar Chuka hai Wo Kisi Bhi Waqt Aur Kisi Bhi Haal me Meraj Ke Waqie Inkar Nahi Kar Sakta..
Isliye ke Agar Allah Taa'la Apne Habib KO Buraq Bhej Kar Zameen Se Arsh Par Bulae Aur Waha ki Ajeeb-O-Gareeb Bato ko Dikhakar Fir Vapas Apne Ghar Pahocha De to ye Cheez Is Qadire Mutlaq(ALLAH TAA'LA) ke Liye Kuch Bhi Dushwar nahi Konsi Cheez Hai Jo Allah Taa'la Ke Bich Me Hail Ho Jae Aur Rukawat Kar Sake.
Is liye Jo Muhammad صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم.Ki Meraj ka Inkar Karne Wala hai Wo Dar asal Allah Taa'la Ki Qudrat ka Inkar Karne Wala Hai...
Isi Shak Ko Door Karne ke Liye Ayat-E-Asra Ki Shuru Me Lafz "SUBHAN"Kafi Hai Ke Jo Saksh Allah Taa'la Ki Zaat ko Be Aib Janta Ho Wo Muhammad صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. KI Meraj Ko Aqal Ki Kasoti Par Janchne Ki Himmat ya Jurrat to Kya Wo Tasawwur Ya Khayal Bhi Nahi Karega.
Madni Aqa Ki Meraj Jismani Thi Aqabeer Sahaba E Kiram Isi Ke Manne Wale Hai Aur Jamhur Salaf Wa Khalf Yane Tamam Ulema Zahiri Aur Batini Bhi Yahi Aqeeda Rakhte Hai...
QURAN-E-MAJEED
Meraje Jismani Ke Daleelo Me Se Ek Daleel Ye Bhi hai Ke Huzur ﷺ Ko Me'raj Jismani Huwi Wo Daleel Allah Taa'la ka Irshad Hai "ASRA BE ABDIHI" Isi Liye Ke Lafz "ABDAKA" Aana Hamesha Rooh Aur Jism Dono Par Hota hai..
Ref(TAFSEER-E-SIRAJ-E-MUNIR)
Jaise Quran Me hai Moosa Mere Bando(Bani Israeel) Ko Raat Ke Waqt Misr se Bahar Le Chalo Kyonki Din Ho Gaya to Qabti Tumhara Picha Karenge Aur Jane Nahi Denge..
Isiliye Koi Saksh "ASRA BE ABDIHI" Ke Ye Mayne Bayan Kare Ke Allah Taa'la Apne Bande Muhammad (صلی اللہ علیہ وسلم)Ko Halate Khawab Me Roohani Tor se Makkah Se Baitulla Muqaddas Ki Taraf Le Gaya To Is Dusri Ayat ke Ye Mayne Ho Jate hai ke Aye Moosa Mere Bando ko Neend ki Halat me Misr se Kinaan ki Taraf Le Jao Jo Ke Ye Mayne Kisi Bhi Soorat me Theek Aur Durust nahi ho Sakte...
Maloom Huwa Ke Parwardigare Aalam Apne Habib Mukarram Ko Izhar Ke Liye(Jisko Zahir Karne ke liye) Ayate Karima Me Lafz "ABDI" Ko Laya Gaya Agar Meraj Roohani Hoti To Quran Me Asra Be Abdihi Roohihi Nazil Hoti.
Isliye Sochne ki Baat Hai Ke Agar Lafz "अब्द" Se Murad Sirf Rooh Hai To Ek Saksh Namaz Ke Waqt Bethe-Bethe Keh Sakta Hai Ke Janab Muje Jane ka Mouka Nahi Meri Rooh Masjid me Namaz Padhne Gayi Huyi Hai Lekin Uski Ye Bat Hargiz Qubool Na ki Jaegi,..
Ya Agar Lafz "अब्द" Se Murad Sirf Jism Hai To Marne Ke Bad bhi Murde Par Namaz Ka Ada Karna Wajib Hona Chahiye Lekin Esa Nahi Hai Isse Maloom Huwa Ke "अब्द" Ka Lafz Wahi Bola Jaega Jaha Jism Aur Rooh dono Moujood hai Na Sirf Rooh
"अब्द" Hai Aur Na Sirf Jism "अब्द" Hai...
Qur'ane Paak Me Saaf Maujood hai Ke Allah Taa'la ne Apne Bande Khaas ko Sair Karayi To Maloom Huwa Ke Fakat Jism Ya Faqat Rooh se Sair Nahi ki Balke Jism Aur Rooh Dono Ne Sath-Sath Sair ki Aur Ayate Rabbani Ka Mushahida Kiya..
Upar ki Sharah se Ye Bat Sabit ho Gayi Ke Huzur ﷺ Ki Meraj Jismani Par Qurane Paak ki Badi Mazboot Sahadat Pesh Kar Raha hai Jisse Inkar ki Koi Gunjaish Nahi....
HADEES SHARIF
Beshak Rasool-E-Khuda ﷺ Ne Farmaya Ke Jab Mujko Quraish Ne Jhootlaya To Me Hateem Me Mizabe Rehmat ke Niche Thahar Gaya Allah Taa'la Ne Mere Samne Baitul Muqaddas Ko Zahir Farma Diya Fir Mene Unko Uski Nishaniyo ki Khabar Deni Shuru Ki Halanke Me us Waqt Baytul Muqaddas ki Taraf Dekh Raha tha...
Tafseer-E-Rooh ul Kabeer Wagera Jesi Mustanad Qitabo Me Hai Ke Ye Hadeese Paak Meraje Jismani Ki Roshan Aur Mazboot Daleel hai Kyonke Meraj Khawab Ka Waqiya Hota to Kuffar ko Jhootlane ki Zarurat hi Kya thi, Aur Fir Jis Waqt Sarkar ne Kuffare Makkah ke Jawab Dete Huwe Nishan Bataye Unki Sacchai Par unhe Inkar ki Gunjaish Na Mili Neez Qaflo ke Jo Halat Bataye Lafz-B-Lafz Sach Sabit Huwe...
Muqaam-E-Rooha Par Thehre Huwe Qafle Ke Jis Pyale Se Sarkar Ne Pani Nosh Farmaya Us Pyale Ka Khali Milna, Buraq Ki Tez Raftar ki Aawaz se Darrkar Ount ka Kudna Aur Uspar se Sawar Aadmi Ka Zameen Par Gir Jana Aur Hath ki Kalayi Toot Jana Wagera Waqiyat Is Baat Ka Behtareen Saboot hai Ke Sarkar ﷺ Ki Meraj Roohani Nahi Ballke Jismani Thi Warna Rooh Pani Nahi Piya Karti Pani Jism Pita hai Sawari Rooh Nahi Karti Balke Ye Jism Ka Khassa hai To Agar Me'raj Roohani Hai to Pyale ka Khali Milna Aur Buraq Par Sawar hona Kya Mayne Rakhta hai...
Natija Zahir hai Ke Hadeese Paak Ki Sahadat Meraj Jismani Ke Haq me Hai Jisse Bilkul Inkaar Nahi Kiya Ja Sakta Aur Agar Koi Inkar Karne Par hi Zidd Karta ho to Uske Liye Sirf Itna kaha jayega...
AANKH WALA TERE JALWO KA TAMASHA DEKHE
DEED-E-FURKO KYA AAYE NAZAR KYA DEKHE
QOUL-E-SAHABA
Hazrat Saiyedna Siddiq-E-Akbar Radiallahu Anhu Se Jab Safar E Meraje Jismani Ke Bare me Daleel Puchi Gai To Aapne Bade Sade Andaz Me Lekin Badi Mustnad Bat Irshad Farmai ke Jo Qadir Mutlaq Khuda Hazrat Jibrail Ko Hazaro Martaba Aasman Se Zameen Par Utara Hai Wahi Khuda Muhammad صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. Ko Aasman Ki Bulandi Par Bhi Le gaya...
Imaam Fakhruddin Razi Radiallahu Anhu Ne Apni Tafsir-E-Qabeer Me Hazrat Siddiq-E-Akbar Radiallahu Anhu Ke Is Qoul ko Naqal Karne ke Bad Badi Pyari Sharh Ki Hai Ke Agar Jisme Kasif Ka Marqaz Zameen Se Aasman Ki Traf Jana Mumkin Nahi To To Jisme Latif Ka Apne Marqaz Aasman Se Is Dunia Me Aana Kese Mumkin Hoga...
Is Liye Ke Jo Saksh Rasool E Kareem Ki Meraj-E-Jismani Ka Inkar Karne Wala Ho Wo Jibrail Ke Zameen Par Utarne ka Bhi Inkar Karne Wala hai ...
Isi Liye Jo Saksh Nuzul E Quran (QURAN KA UTARNA) Ka Qail Aur Manne Wala Hai Wo Meraj-E-Jismani Ka Munkir Nahi Ho Sakta...
Isliye ke Jab Usne Qabool Kar Liya Ke Upar Aalam Se Zameen Par Jibrail Ka Utarna Mumkin Hai To Zameen Se Aasmano Taraf Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. Ka Urooj Bhi Mumkin hai Jiski Sacchai Har Shak Aur Shuba Se Barri hai....
Ref (MERAJ-UN-NABI JILD-1 PAGE NO 94/95)
RIWAYAT WA DARAYAT
Shaad Ibne Aous رضي الله تعالي عنه Se Riwayat hai Ke Unhone Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. Se Shab-E-Meraj Ke Bare me Pucha Ke mene Raat ko Apki Jagah Talash Ki Aur Mene Apko Na Paya
Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. Ne Farmaya Muje Jibrail Masjid-E-Aqsa Ki Taraf Le gae the..
Ref ( Shifa Sharif )
Hazrat Abu Bakr Siddiq رضي الله تعالي عنه Se Riwayat hai Ke Unhone Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. Se Kaha Ke Aaj Raat Mene Apko Apki Jagah Talash Kiya Aur Mene Apko Na Paya Aapne Irshad Farmaya Ke Muje Hazrat Jibrail Aleyhissalam Muje Masjid-E-Aqsa ki Taraf le Gae the....
Imaam Burhanuddin Halbi Likhte hai Ek Riwayat me Aya hai Ki Shab-E-Meraj Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. Hazrat Umme hani رضي الله تعالي عنه Ke Ghar me Aaram Farma Rahe the Hazrat Umme hani Ka Bayan Hai ki Raat ke Ek Hisse me Mene Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. Ko Na Paya To Us Khouf Se Sarkar ko Koi Taklif Na Pahoche Meri Neend Urr Gai...
Ibne Saa'ad Riwayat Karte Hai ki Shab-E-Meraj Jab Logone Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. Ko Apki Qiyam Gaah Par Na Paya To Bani Abdul Muttalib Apko Dhoondhne Nikle Jab Apko Talash Karte Hue Hazrat Abbas رضي الله تعالي عنه Muqam E Zituva Me Pahoche Aur Ya Muhammad صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. Kehkar Apko Pukarte The Ke Us Waqt Aap Safar-e-Meraj se Vapas Aa Rahe the ..
Hazrat Abbas رضي الله تعالي عنه Ke Pukarne par Irshad Farmaya "LABBAIK LABBAIK " Hazrat Abbas رضي الله تعالي عنه Ne Kaha Ke Aaj Aapne Apni Qoum ko Thaka Dala Aap Kaha Tashrif Le Gae the Irshad Farmaya Baytul Muqaddas ki Taraf Gaya Tha...
Hazrat Abbas رضي الله تعالي عنه Ne Farmaya Aaj Raat ko Aap Waha Gae The Farmaya Haa Aaj Raat Baytul Muqaddas Hi Gaya tha Hazrat Abbas رضي الله تعالي عنه ne Farmaya Aap Har Tarah kheriyat Se To Hai Aapne Irshad Farmaya Haan Bilkul Kheriyat Se hu.
Maloom Hota hai Ke Huzur Ne Safar-E-Meraj Se Vapsi Par Muqam-E-Zitova Me hi Buraq Sr Utarkar Hazrat Abbas Se Ye Bat Ki Hogi...
Ref (MERAJ-UN-NABI JILD-1 PAGE NO 95/96/97)
Hazrat Shaddad Ibne Awas Hazrat Abu Bakr رضی الله عنہ Aur Hazrat Ummhani رضی الله عنہ Ka Raat me Sarkar Ko Bistar Mubarak Par Naa Pana Aur Puchne Par Sarkar Ka Ye Irshad Farmana *BAYTUL MUQADDAS KI TARAF GAYA THA* Aur Banu Abdulmuttalib Ka Apko Makke ke Bahar Talash Karna Aur Hazrat Abbas Ke Pukarne par Sarkar ka Labbaik-Labbaik Farmana Kya Sarkar ki Roohani Meraj ki Taraf Ishara Karta hai ? Agar Roohani Meraj Thi to Jism Paak To Apne Muqam Par Moujud Rehna Chahiye Tha, Warna Rooh to Meraj me Gayi thi To Jisme Paak Kaha Gayab ho Gaya tha ??
Maloom Huwa Ke Rooh Aur Jism Dono Meraj Me Gaye the Meraj Jismani Thi Jispar Pichle Guzre Saboot Bahot hi Wazeh Aur Khule Huwe Hai Jise Ek Baccha bhi Aasani se Samaj Sakta hai...
TAARIK
Jis Waqt Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Hazrat Wahiya Qalbi رضی الله عنہ Ko Roum Ke Badshahe Kaisar Ke Pas Paygaam Dekar Bheja To Kaisar Us Waqt Baytul Muqaddas ki Ziyarat ko Aaya tha, Hazrat Wahiya Qalbi رضی الله عنہ Wahi Tashrif Le Gaye Aur Sarkar ka Naama Mubarak(Khat) Pesh Kiya Kaisar ne Jab Huzur ﷺ Ke Khat Mubara ko Padha To Baytul Muqaddas Me Moujood Arab ke Tajiro Ko Bulaya Taki Unse Guftagu Karke Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم)Ke Bare me Malumat Hasil Kare..
Unhi Tajeero me Abu Sufyan Bhi the Aur Us Waqt Islaam Na Laye The, Kaisar Ne Unhi se Guftagu ki Shuruat ki Aur Huzur ﷺ Ke Bare me Tafisili Baate Maloom Karne Laga, Hazrat Abu Sufyan Ka Bayan Hai ke mene Jaha Tak Ho Saka Chaha ke Esi Baat Kahu Jisse Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم)Ki Nafrat Aur Adawat Kaisar Ke Dil me Payda Ho jaye Lekin Bar-Bar Apna Khayal Bhi Aata Tha Ke Kahin Koi Esi Bat na Nikal Jaye Jise Meri Izzat Chali Jaye.
Isi Liye Sochte-Sochte Mene Kaha Aye Badshah Kya Me Esi Baat Na Batau Jo Muhammad ﷺ Ke Nabuwwat Ke Dawe ko Galat Samajne Ke liye Bhot hi Kaafi Ho, Kaisar ne Kaha Batao To Sahi Wo Konsi Bat hai.
Mene Kaha ki Muhammad (صلی اللہ علیہ وسلم)Ne Ek Din Elaan Kiya Ke Me Raat ke Thode Hisse me Makkah Se Baytul Muqaddas Gaya Aur Baytul Muqaddas se Makkah Wapas Aa gaya Isse Badhkar Aur koi Galat Baat ho Sakti hai Insani Aqal Kisi bhi Qeemat Par Ise Qabool Karne ko Taiyar nahi Abhi Mene ye bat Khatm hi Ki thi Ke Kaisar Ke Chehre se Ye Baat ka Asar Dekhne bhi na Paya tha Ke Baytul Muqaddas ka Sabse Bada Padri Bol Utha *Badshah Muje is Raat ka Ilm hai* Hazrate Abu Sufyan Kehte hai Mujhpar Jese Saqta Taari ho Gaya Kaisare Roum ne Is Padri se Pucha Ke Tujhe Kis Trah Is Raat ka Ilm hai ??
Padri ne Kaha me Rozana Dastoor ke Mutabik Masjid ke Tamam Darwaze Band Kar diya Karta hu Lekin Is Raat Jab Me Darwazo ko Band Karta Huwa Ek Darwaze ke Pas Pahucha Aur Use Band Karna Chaha Puri Taqat Laga di Uske Bawajood Use Jumbish na De saka Yani Hila bhi Na Saka Mene Aur Dusre Sathi ko Madad ke liye Bulaya Aur Sabne Milkar Koshsish ki Lekin Darwaza Apni Jagah se Bilkul na Hila Mene Khayal Kiya ke Shayad Imarat Niche aa gayi hogi Jiski Wajah se Darwazw ki Choukhat par Dabaw Padta hoga Isi Liye Darwaza Band nahi ho raha Subha Karigar Bulakar Durust karwa lunga..
Uske Bad wo Padri Aage Kehne Laga Subha Sawere Jab Masjid Pahocha To Muje Hairat Huyi Ke Darwaze me Khaami Nahi Wo Apni Jagah Bilkul Durust hai Aur Masjid ke Kone me Bade Patthar ka Surakh Zahir hai Aur Esa Maloom Ho Raha hai Ke Koi Sawari Bandi Gayi Hai...
Mene Fouran Samaj Liya ke Aaj Raat Zaroor Koi An'honi Huyi hai, Kuch Der Gour Karne ke Bad Muje Khayal Aaya ke Agli Qitabo Me Isi Baytullah Sharif Se Nabi-E-Aakhirruzzama (صلی اللہ علیہ وسلم) Ke Aasmano Par Jane ki Khabar Milti hai Aur Jab Wo Yaha Tashrif Layenge To Usi Patthar se Sawari Badhenge..
Chunache Aaj Yakeenan Nabi-E-Akhiruzzama ﷺ Yaha Tashrif Laye The Aur Yahi se Aasmano Par Tashrif Le Gaye Yahi Wajah Thi ke Ba'wajood Bahot Koshish Ke Me Aaj ki Raat Masjid Ka Darwaza Band Na Kar Saka Isi Liye Mene Tamam Logo ko Is Haqeeqat Ki Usi Waqt Khabar De Di thi Aur Aagah Kar Diya tha...
Ref (TAFSEER ROOH-UL-BAYAN, JILD-02, SER HALBIYA, JILD-01)
MERAJ KESE HUYI ???
FIQAA
Shariyat ka Qanoon hai Ke Jab Do Cheeze Is Trah Jama Ho Jaye Ke Ek Gaalib Aur Dusri Magloob Ho to Huqm Galib ke Bare me Lagaya Jaega Jese Ek Saksh Wuzu Kar Chuka hai Ab Uske Munh se Khoon Mila Huwa Thook Nikla To Agar Khoon ka Galba(Zyada) hai To Wuzu Toot Jayega Aur Agar Thook Ka Galba hai To Wuzu Baaki Rahega Ese Hi Agar Khoti Chandi Khalis Chandi me Di Gayi Aur Agar Khoti Chandi Galib Aa gayi To Uske Khotepan ka Huqm Diya Jaega Aur Kahlis Chandi Galib hai To Uspar Khalis Chandi ke Ehkaam Jari Kiye Jaenge..
Sarkare Do Aalam ﷺ (Jo Noor Hi Noor Ho) Unki Nooraniyat Huzur ﷺ Ke Jism Mubarak Par Galib hai To Jism Mubarak Ke Sath Aasman Par Tashrif Le Jana Konsi Mushkil Bat hai Balke Sufiya-E-Kiram Ka to Farman Hai ke Huzoor ﷺ Apni Nooraniyat ke Lihaz se Aasman Par Jana Tajjub Ki Bat Nahi Balke Aasman Se Zameen Par Aana Tajjub Ki Bat hai..
KASH
Shaikh Akbar Mohiyuddin Arabi رحمۃ اللہ تعالٰی علیہ Futuhate Makkah me Meraj Jismani Se Mutallik Badi Pyari Daleel Laye hai Aap Farmate hai..
Agar Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم)Ki Meraj Roohani Hoti Jaisa Ke Koi Saksh Khawab me Koi Waqiya Dekhta hai To Is Baat ka Koi Inkar nahi Karta Aur Na Manna Munh Firana Karta hai Magar Kuffar ne Meraj Ka Inkar Isi Liye Kiya Ke Huzur (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Unko Ye Bataya Tha ke Tamam Muqam Par Muje Meraj Jismani Huyi hai..
Isi Liye Ye Tajjub Ki bat hai Ke Kuffar To Yakeen Kar Rahe hai Ke Aapke Meraj Jismani Ka Dawa Farma Rahe hai Is Bina par Inkar Kar Rahe hai Magar Islam Ke Dawedar Aapki Meraj ko Roohani Karar De Kitni Hairat Wali Bat hai....
HISR
Ek Bar Ek Filosofer Apni Takrir me Meraj Ka Inkar Karte Huwe Keh Raha tha Ke Is Jism Aasri Ka Aasmano Paar Chala Jana Aqal Qabool Nahi Karti Usi Waqt Ek Musalman Ne Pucha Ke Janab Aap Aankho Par Chashme Laga Lete ho Uske Bad bhi Aap Aasmano Ke Taare Dekh Rahe ho ya nahi ???
Usne Kaha Ye bhi Koi Puchne Wali Bat hai, Musalman Ne Kaha Janab Aapki Aankhe Aur Aasmano ke Bich Shishe ki Deewar Aayi Huyi hai Filoaofar Ne Kaha Ki Shisha Aankho Ki Binayi Ya Roshni Ke Liye Rukawat Nahi Ban Sakta..
Musalman Ne Jawab Diya ke Aye Naadan Agar Teri Aankh Ke Noor Ke Samne Shishe ki Deewar Aad Nahi Ban Sakti To Wo Zaat-E-Muqaddas Wo Paak Zaat Jo Mujassam*(Ser Se Pero Tak Puri Trah se Aapka Jism Mubarak)* Khuda ka Noor hai To Fir Aasman Inhe Kese Rukawat Daal Sakta hai ???
Hazrat Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام Kyonke Huqm Tha Ke Mehboob Ko Jagane Aur Yaha Tak Laane Me Har Jagah Aadab Ka Khayal Rakhna Isiliye Hazrat Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام Soch Rahe hai Ke Apne Aaqa Ko Kis Trah Jagau Isi Bare me Jibraeel ne Farmaya Ke Muje Huqme Ilahi Maloom Tha ke Muje Kafur Se Payda Kiya gaya Lekin Uski Hikamat Maloom Na thi..
Lekin Shabe Me'raj Me Isi Soch Me Tha Ke Allah Ke Mehboob Ko Kaise Jagau To Allah Taa'la Ka Irshad Huwa ke Aye Jibraeel Apne Hotho Ko Mere Mehboob ke Pair Ke Talwo Par Rakh Do Yani Bosa Do Mere Mehboob Ke Talwo Par..
Isliye Jis Waqt Mene Sarkar Ke Talwo Par Bosa Diya To Kafoor Ki Thand Apke Talwo Ko Mehsoos Huyi Aur Aap Jaag Gaye Us Waqt Muje Maloom Huwa Ke MuJe Kafoor se Isi Liye Banaya Gaya Ke Me'raj Ki Raat Adab Se Apko Bedar Kar Saku
Sarkar Adab Karar ﷺ Jab Bedar Huwe To Jibraeel Ijtehayi Adab se Arz Karte hai...
Beshak Allah Taa'la Aap Par Salam Bhejta hai Aur Apko Bulata Hai Aur Me Hazir Huwa Hu Take Apko Allah Taa'la ke Pas Le Jau Aaj Raat Allah Taa'la Apko Ayse Ae'zaz-W-Sharf Ata Farmane ka Irada Rakhta hai Jo Aezaz Aapse Pehle Kisi Ko Hasil Naa Huwa Aur Na Apke Aulad Se Kisi Ko Hasil Hoga Aaj Tak Esi Shaan-W-Azmat Kisi Ne Bhi Na Suni Aur Naa Hi Qalb Me Uska Khayal Guzra...
Ref (Maa'rijunnabuwwah)
♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡
🍀Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
جزاك الله خيرا... For reading
♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
👥PLZ SHARE TO OTHERS ALSO👥
📧Like TO FB LINK
https://www.facebook.com/zikrenabi/
🌎www.zikr-e-rasool.com
Download App https://goo.gl/WW7qMw
No comments:
Post a Comment