Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Thursday, May 11, 2017

MERAJ E MUSTAFA


MERAJ E MUSTAFA

PART:-06

2 YAQOOTI KUZHE


Jagne Ke Bad Sarkar Ne Chaha Ke Wuzu Kar le, Abhi Aastin Bhi Na Charhayi Thi Ke Hazrate Ridwan Ne 2 Yaqooti Kuzhe Aabe Kousar se Bhare Huwe Apki Khidmat me Pesh Kiye Aur Sabz Zamrud ka Ek Thaal Jiske 4 Kone The Aur Har Kone Par Ek Aysa Chamakdar Moti Jada Huwa tha Jiski Roshni Ke Partaw Se Aasman Jag'maga Raha tha...
Wo Apke Samne Hazir Kiya gaya Sarkar Ne Gusl Aur Wuzu Kiya Aur Noorani Libas Pehna Aur Ser-E-Mubarak Par Noorani Amama Bandha Jisko Ridwan Ne Adam عَلَيـهِ السَّــلَام Ki Pedaish Se 7 Hazar Saal Pehle Hifazat Se Lapetkar Rakha Tha..
Aur 40,000 Farishte Ta'zeem Ki Niyyat se Is Amama Mubarak Ke Charo Taraf Khade Hokar Tasbeeh Aur Tehleel Kiya Karte The Aur Tasbeeh ke Bad Durood Sharif Padhte the Jis Waqt Hazrat Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام Is Dastar Mubarak Ko Lekar Sarkar ki Bargah Me Hazir Huwe To 40,000 Farishte bhi Iske Sath Sarkar ki Ziyarat se Musharraf Huwe....

NOORANI LIBAS


Noorani Libas Pehenne Ke Bad Hazrat  Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام Ne Apke Kandhe Par Ek Noorani Chadar Daal Di Aur Zabarjaddkinalain Apke Pairo Me Pehna Di Aur Yaaqooti Patka Aapki Kammar Me Baandha Aur Leele Zamrood Ka Ek Chabuk Jisme Mawarid Jade Huwe The Apke Hath Me Diya Gaya...
Uske Bad Sarkar Qa'ba Sharif Me Tashrif Laye Aur 7 Baar Tawaf Karke Thodi Der Hateem Me Aaram Farmaya...

SHAK-E-SADAR(SEENA CHAK KARNA)


Ab Farishto ki Ek Jama'at Hazir Huyi Jinke Pas Ek Neela Thal Tha Jo Zam-Zam Ke Paani se Bhara Huwa Tha Aur Ek Thal Imaan-O-Hikmat se Bhara Tha Sarkar Irshad Farmate hai Ki Mera Seena Upar se Niche Tak Khol Diya gaya Aur Mera Dil Nikalkar Sunheri Thal Me Zam-Zam Me Dhoya Gaya Aur Iman-O-Hikmat se Bharkar Fir Uske Asal Muqam Par Rakhkar Seena Durust Kar Diya...
Jab Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام  Apke Dil Ko Dho Chuke To Kaha Apka Dil Paak Mazboot Aur Azam Hai Aur Istiklal Wala Hai Usme 2 Aankhe Hai Jo Dekhti hai Aur 2 Kaan hai Jo Sunte hai Allama Ismail Haqqi رحمۃ اللہ تعالٰی علیہ Farmate Hai..

Shak-E-Sadar Ki Kefiyat Sirf Itni Hai Ke Hazrat Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام Ne Ishara Kiya Sarkar ka Seena Mubarak Khul Gaya Seena Mubarak ko Naa Kisi Hathiyar se Cheera Aur Naa hi Ek Qatra Khoon Baha Aur Na Kisi Tarike ki Taklif Maloom Huyi

BATHA-E-MAKKAH



In Tamaam Bato Se Farig Hokar Hazrat Jibraeel Sarkar Ko Makkah Sharif Se Bahar Batha-E-Makkah Me Laye Yaha Pehle Se Hi Hazrat Miqaeel Hazrat Israfeel  عَلَيـهِ السَّــلَام Intezar me Khade the In Do Farishto Ke Sath 70,000 Farishte bhi Saff Bandhe Khade the..
Sarkar ﷺ Ko Dekhte hi Sab Ke Sab Ta'zeem Baja Laye Aur Sabne Salam Ke Tohfe Pesh Kiye Aap ﷺ Ne Unke Martabe Aur Roohani Taqat Ke Mutabik Unko In'aam-O-Ikram Se Nawaza Farishto Ne Bade Adab se Raza-E-Ilahi Aur Apko Diye Gaye Izzat-O-Ikram ki Khush Khabri Sunayi....

BURAQ


Ab Sarkar Abad Karar ﷺ Ke Samne Buraq Pesh kiya gaya Is Buraq Ka Seena Yaqoot Surkh Sufed ki Misal Aur Pith ChamakdarMoti Jesi, Tange Leele Zamrood Ke Misal Aur Punch Uski Khalis Marjan Jesi Aur Uske Maathe par *KALMA SHARIF* Likha Huwa tha Aur Raftar me Itna Tez ke Jaha Nazar Khatm hoti Wahi Uska Qadam Padta tha..
Aur Chalne Me Khoobi Ye ke Pahad par Chadhte Waqt Peir Lambe ho Jate Taki Sawar Koi Taklif Mehsoos Na kare Buraq Ki Dayi Janib 80,000 Farishte Aur Bayi Janib 80,000 Farishte Apne Hatho me Noorani Shamma Liye Khade The Jinki Roshni se Pura Batha Roshan-W-Munawwar Tha..
Is Maqam Par Aap Tashrif Laye to Apki Nooraniyat In Shama-E-Aaftabe Nabuwwat Ke Samne Chirag Ke Misal Maloom Hone Lagi, In Shammao Par hi Kya Agar Hazzaro Chand Aur Suraj Nabuwwat ke Samne Bhi Agar Hote to Wo Apke Noore Nabuwwat ke Samne Sharma Jate...

EK HIJAB UTHAYA


Ab Hazrate Jibraeel Ko Wahi Huyi Ke Aye Jibraeel Mene Apne Mehboob ke Noor ko 70,000 Hijabat(Pardo) Me Chupakar Rakha Hai Is Waqt Sirf Ek Hijab Uthaya Hai Jiski Ye Kaifiyat Hai ke Arsh Se Jo Sham-E-Roshan Kar Karke Gaye the Sab Ki Sab Jhilmila Rahi hai Mere Habib ka Noor Sab Par Galib hai....
Hazrate Jibraeel Aage Badhe Aur Arz Kiya Ke Sarkar Ab der Na Kare Buraq Hazir hai Sawar ho Aur Aasman ki Bulandiyo Par Tashrif Le Chale Kyonke Aalam-E-Baala Me Tamam Mukarrab Farishte Apke Liye Aankhe Buchaye Huwe Hai Sarkar Unhe Apne Faiz Aur Ata Se Nawaze...
Huzur ﷺ Ne Kuch Tawakkuf Kiya Aur Ser Mubarak Ko Jhuka Diya Allah Taa'la Ka Khitab Huwa Ke Aye Jibraeel Mere Mehboob Se Pucho Ke Rukne ka Sabab Kya hai, Hazrat Jibraeel Arz Karte hai Ya Rasool Allah ﷺ Rukne ka Sabab Kya hai ??
Sarkar Ne Irshad Farmaya Aye Jibraeel Aaj Ki Raat Allah Ki Nawazisho se Nawaza Ja Raha hu Aala Martabe ke Farishte Mere Isteqbal Ke liye Jama Huwe hai Buraq Tez Raftar ke Liye Moujud hai Lekin Is Waqt Qayamat ke Din Apni Ummat ki Be'basi Lachari Yaad Aa Gayi Ke Apni Qabro se Nikalne ke Bad Pulsirat Ka Wo Rasta Jiski Musafari 15,000 Saal hai Bager Sawari Kis Trah Tay Karegi??
Is Waqt Allah Taa'la Ki Taraf se Wahi Aati hai Ke Pyare Habib Aap Ghum na Kare Aapki Ummat Me se Jisko bhi Apne In'aam O Ikram Ke Sath Makhsoos Karunga Usko Sawari Par Salamati Ke Sath Pullsirat Se Guzarkar Jannat me Pahucha Dunga, Qur'an ki Ek Ayat bhi Is Trah Ishara Kar Rahi hai ki QAYAMAT KA WO DIN JIS DIN PARHEZGARO KO REHMAT KI TARAF LE JAYE MEHMAAN BANAKAR Tafsir Jalalain Sharif Me hai WAFAD Jama Waqid Ayye Raqib Yaate Wahid Ki Jama Hai Aur Uske Maane hai Raqib Yani Sawar Hone ke...

BURAQ KI TAMANNA


Ye Khushkhabar Sunne Ke bad Sarkar ne Chaha ke Buraq Par Sawar Ho To Buraq Shokhiya Karne Laga Hazrat Jibraeel Ne Daantte Huwe Kaha Aye Buraq Khabardar Yaha Se Tujhpar Wo Zaat-E-Aala Martaba Sawar Hone Ja Rahi hai Jiska Martaba Allah ke Nazdik Qaynat me Sabse Bada Hai...
Buraq ne Arz Kiya Aye Sardaran-E-Malayka(Farishto Ke Sardar) Apka Farman Bilkul Sahi Hai Meri bhi Ek Tamanna Hai Jise Me'raj Ke Dulha Ki Bargah Me Pesh Karna Chahata Hu Kyonke Agar Ye Waqt Guzar Gaya To Shayad Meri Hasrat Dil Hi me Tootkar Reh Jaye..
Tamanna Sirf Ye hai ke Kal Qayamat Ke Din Mujse Behter Hazaro Buraq Sarkar ki Khidmat Me Pesh Honge Lekin Us Din Bhi Sarkar-E-Aali Mujhi ko Sawari Ka Sharf Ata Farmaye Jese Aaj ki Raat Ayeni Nawazisho Se Nawaza..

Ref (MA'RIJ-UN-NABUWWAH)


Ba'az Log Kehte Hai ki Buraq Apni Is Jasarat Par Bhot Sharminda Huwa Aur Kaanpne Laga Yaha Tak Ke Paseena Aa gaya Aur Aazizi Inkesari Ko Zahir Karte Huwe Apne Apko Zameen Se Is Qadr Qareeb Kar Liya Ke Huzur ﷺ Uspar Asani se Sawar ho Jaye..
Ab Me'raj Ke Dulha Ki Sawari Is Shaan Se Rawana Huyi Hai Ke Jibraeel Lagam Pakde Huwe hai Hazrat Mikayil Riqab Thame Hai Aur Janab Israfil Zinnposh Uthaye Huwe hai, Lakho Farishte Sath Chal Rahe hai Durood Ki Nichawar Ho Rahi hai Rehmate Nisar Ho Rahi hai Farsh-O-Aasman Tamam Fiza Noor se Jug-Maga Rahi hai...
Aaj Hazrat Jibraeel Ko Lakho Baras ki Ibadat Ka Ye Sila Mil Raha hai Ke Me'raj Ke Dilha Ki Zinndari Ka Sharf Hasil Hai, Jab Sarkar ki Sawari Chali to Batha Ka Pura Meidan Aapke Noor se Jugmaga Raha tha, Jannat se Khushbudar Hawaye Aa Rahi Thi Har Taraf se Salato Salam Ki Purqaif Sadaye Aur Marhaba Ke Na're Buland Ho Rahe the...

CHAR PUKARE


Chalte Huwe Hazrat Jibraeel Ne Arz Kiya Sarkar Agar Raaste Ke Darmiyan Koi Aawaz Sunayi De to Uski Taraf Khayal Na Farmaenge, Hazrat Abu Saeed Khudri رضی الله عنہ Riwayat Karte hai Ke Dayi(Right) Taraf se Pukarne Walo ne Pukara Ke Meri Taraf Nazar Farmaiye Aapse Muje Kuch Puchna hai Magar Mene Is Aawaz Ki Taraf Bilkul Khayal Na Kiya..
Isi Trah Bayi(Left) Taraf Se Aawaz Aayi Magar Mene Uspar bhi Khayal Na kiya Uske Bad Samne se Shingaar Kiye Huwe Ek Aurat Ne Pukara Thehariye Muje Apse Kuch Maloom Karna hai Magar Mene Uski Taraf bhi Koi Khayal Na kiya..
Hazrat Jibraeel Ne Kaha Ya Rasoolallah ﷺ Pehle Aapko Pukara Wo Yahoodiyat Ka Da'wa Karne Wala tha Agar Aap Uski Taraf Khayal Karte to Apki Ummat Yahoodiyat ki Taraf Mayil ho Jati Aur Dusra Pukarne Wala Isayiyat Ka Da'wa Karne Wala tha Agar Aap Uski Taraf Khayal Karte To Apki Ummat Isayi Ho Jati...
Aur Samne Se Pukarne Wali Aurat Duniya Thi Agar Aap Uski Taraf Mayil Hote to Apki Ummat Deen Ko Chorkar Duniya ki Taraf Ru'ju Ho Jati,..
Ek Riwayat me Ye bhi Aaya ke Piche Se Bhi Pukarne Wale ne Pukara Lekin Sarkar ﷺ Ne Uski Janib bhi Tawajjoh Na Ki Uspar Hazrat Jibraeel Ne Kaha Ye Pukarne Wala Aatish Parast(Aag ki Pooja Karne wala) Tha Agar Aap Udhar Tawajjoh Farmate to Aapki Ummat Aatish Parast ho Jati...
Huzur ﷺ Aksar Khayal Farmate the Ke Mere Is Duniya se Tashrif Le Jane Ke Bad Meri Ummat Na'Jane Kis Halat me Rahegi Lekin In 4 Pukaaro Ke Bad Apko Sukoon ho Gaya Allah Taa'la Apne Fazlo Karam Se Aapki Ummat Ko Deen-E-Islam Par Qayam Rakhega Esa Na Hoga Ke Agli Ummato Ki Trah Mazhabe Islam Ka Ek Bhi Pairvi Karne Wala Baaki Na Reh Jaye...

Ref (RIYAZ-UL-AZDAH)


MADINA MUNAWWARAH


Makkah Mukarrama Se Rawana Hokar Jab Sarkar ne Kuch Raasta Tay Farmaya to Ek Esi Zameen Par Guzar Huwa Jaha Khajur Ke Darakht Bhot The Hazrat Jibraeel Ne Arz Kiya Ke Sarkar Yaha Utarkar 2 Raq'at Nafil Ada Farmaye..
Jab Sarkar Namaz Padhkar Farig Huwe To Hazrat Jibraeel Ne Kaha Ya Rasoolallah ﷺ Ye Mubarak Zameen Apki Hijrat Gaah (Hijrat Ki Jane Ki Jagah) Aur Hamesha ki Aaramgaah Hai...

TOOR-E-SEENA


Fir Ek Esi Zameen Se Guzre Jiska Rang Safed Tha Hazrat Jibraeel Ne Arz Kiya 2 Ra'qat Nafil Ada Farmaiye Sarkar ne Waha bhi 2 Raqat Nafil Ada Ki, Hazrate Jibraeel ne Kaha Ye Wo TOOR-E-SEENA Hai Jaha Allah Taa'la ne Hazrat Moosa عَلَيـهِ السَّــلَام Ko Apni Hum Qalami(Baate Karne ka) Sharf Ata Farmaya tha...

BAYTUL LAHAM


Uske Bad Ek Safed Aur Camakte Rang Ke Pahad Par Guzar Huwa Waha Farishto ki Ek Jama'at Pehle Se Istiqbal Ke Liye Moujud thi, Hazrat Jibraeel Ne Arz Kiya Yaha Bhi Buraq se Utre Aur Namaz Ada Farmaye, Huzur ﷺ Buraq Se Utre Aur 2 Raq'at Namaz Ada Farmayi Hazrat Jibraeel Ne Farmaya *Ye Wo Muqam hai Jaha Hazrate Isa عَلَيـهِ السَّــلَام Ki Pedaish Huyi Hai Iska Naam Baytul Laham hai

Ref (Durre Mansoor)


BAKHT-DOULAT-AAFIYAT


Uske Bad Ek Adhed Ek Jawan Aur Ek Budha Saksh Samne Aaya Huzur ﷺ Ne Budhe Aur Adhed ki Taraf To Tawajjo Na Farmayi Magar Jawan Ki Taraf Maayil Huwe Hazrat Jibraeel Ne Kaha Ke Ya Rasoolallah ﷺ Bahot Behter Huwa Jo Aap Aapne Jawan Ki Taraf Tawajjo Farmayi Isi liye ke Budhe ki Surat me Baksha Huwa Nasiba Aur Aadhed Ki Surat me Doulat Zahir Huyi..
Bakht Aur Doulat Dono Mit Jane Wali Hai Unka Koi Aetebar Nahi Lekin Jawan Ki Surat me Aafiyat(Salamati) Samne Aayi Jise Sarkar ne Pasand Farma Liya Hai Isi Aafiyat Ke Zariye Dono Jahan Ki Ne'mate Mayassar Aati Hai Mubarak Ho Aapki Ummat Salamati se Bahramad(Fayda Uthayegi) hogi..

KHUSH AAMADID


Mehman Moazzam ﷺ Ke Istikbal Ke Waqt Ye Waqiya Ek Tarike Ki Khush Aamadid Thi(Yani Isse Apka Istekbal Kiya) Jo Aafiyat Par Nazar Famane Se Zahir Huyi Aur Iske Bad hi Apko Aur Apki Ummat ko Dono Jahan Ki Behtari Aur Salamati Ki Basharat Di Gayi...

LALCHI


Jab Sarkar Aage Badhe To Ek Ese Saksh Ko Dekha jo Lakdiyo Ka Ek Bahot Bada Bojh Banaye Huwe Hai Aur Chahta Hai Ke Usko Apne Ser Par Uthakar Rakh Le Magar Utha Nahi Pata Aur Jab Utha Nahi Pata Aur UthaNahi Sakta to Fir Is Bojh me Aur Lakadiya Bandhta hai Aur Fir Uthane ki Koshish Karta hai Aur Fir Nahi Utha Sakta...
Huzur ﷺ Ne Farmaya ke Ye Kaisa Aadmi hai Jab Lakdiyo Ka Gaddha Itna Bhari hai To Kuch Kum Kar de Taaki Aasani se Utha sake Magar Ye Kum Karne Ki Bajaye Aur Zyada Kar leta hai, Hazrate Jibraeel Ne Arz Kiya Ke Sarkar Ye Aapki Ummat Ka Wo Aadmi Hai Ke Bahot se Logo Ke Haq Uske Upar Hai Jab Unko Ada Nahi Kar Sakta To Aur Dusro Ke Aur Zyada Haq Wo Jama Kar Leta hai Aur Lalach Kar Leta hai...
Ya'ni Logo ke Haq Aur Unki Amanate Ek Tarike ka Wazani Bojh Hai Jisko Agar Koi Utha Na Sake To Zyada bhi Na Karna Chahiye..

Ref (Tafseer Ibne Zareer)


MUNH NIKLI BAAT


Fir Ek Chota Sa Patthar Dekha Jisme Se Ek Bada Sa Bail Payda Hota hai Aur Woh Bail Fir Us Patthar me Dusri Bar Jane ki Koshish Karta hai Lekin Nahi Ja Sakta, Hazrat Jibraeel Ne Kaha Huzur Ye Us Saksh ki Misal hai Jo Ek Buri Bat Munh se Nikale Fir Sharminda Ho Jaye Magar Is Bat ke Wapis Lene par Usko Kudrat Hasil Nahi Ya'ni Buri Nikli Huyi Bat Wapas Nahi Le Sakta...

Ref (Mawahibulladunniya)


KHALI DOLL


Uske bad Ek Saksh ko Dekha Ke Wo Kunwe me Doll Dalta hai Lekin Jab Usko Nikalta Hai To Doll Ko Pani Se Khali Paata hai, Hazrat Jibraeel ne Kaha ki Ye Saksh Riayakar Hai Dikhawe Ki Ibadat Karta hai Mehnat Karta hai Lekin Qayamat Ke din Iska Usko Koi Badla Na Milega..

AARZU-E-BAHISHT


Kuch Aur Aage Badhe To Ek Bahot Hi Paak Aur Khushbudar Thandi Hawa Chali Aur Usi ke Sath Ek Aawaz Bhi Sunayi Di Hazrat Jibraeel ne Kaha Ye Khushbu Jannat se Aa Rahi hai Aur Aapne Jo Aawaz Suni Wo Bhi Isi Jannat ki Hai, Jannat ne Allah Taa'la ko Darkhwast ki Ke Aye Malik-O-Moula Mere Is Tabrak Resham Sandal Aur Abkari Bahot Kasrat Se Ho Gaye hai Chandi-Sone Ke Glass Aur Katore Bhot Zyada ho Gaye hai Sehad Paani Doodh Aur Sharabe Tahoor bhi Bhot Zyada Ho Gaya hai...
Moti Marjan bhi Bhot Zyada Ho Gaye hai Aye Allah Taa'la Tune Mujse Jo Wada Kiya tha Usko Pura Kar Aur Logo Ko Bhej Jo Unko Kaam Me Lawe Allah Taa'la Ne Farmaya Mene Tere Liye Nek Logo ko Mukarrar Kar diya hai Jo Mard Ya Aurat Islam Laye Aur Mere Sath Shirk Na Kare Aur Jo Apne Dil me Mera Khouf Rakhe Unko Aman Dunga ...
Aur Jo Koi Mujse Mangega Me Usko Dunga Jo Muje Qarz Dega Me Usko Uska Acha Badla Ata Karunga Aur Jo Mujhpar Tawakkal Karega Me Uski Kifalat Karunga Aur Me Hi Ibadat Ke Layak Hu Mere Siwa Koi Aur Ibadat ke Layak Nahi Me Wada Khilaf Nahi Karta Beshak Imandaro ki Bhalayi Hogi Aur Allah Taala Bhot Rehmat Wala Hai Jannat ne Kaha me Raazi Ho gayi....

Ref (Ibne Kaseer)


DOZAKH KI MAANG


Ab Uske Bad Ek Wa'di Par Hokar Guzre To Bahot hi Khoufnaak Aur Darr Wali Awaz Suni Aur Sakht Badbu Maloom Huyi Hazrat Jibraeel Ne Kaha Ke Sarkar Abhi Aapne Jo Aawaz Suni Wo Jahannam ki Hai Wo Apne Rabb Se Keh Rahi hai Ke Aye Rabb Mujse Jo Wa'da Kiya Wo Pura Kare Kyonke Meri Janzire, Shole, Garam Pani, Peep, Aur Trah-Trah Ke Azabo ki Bhot Kasrat Ho Gayi hai Meri Gehrayi Aur Garmi Bhot Sakht hai...
Allah Taa'la ne Kaha Shirk Karne Wale Mard Aur Shirk Karne Wali Aurte Kufr Karne Wale Mard Aur Kufr Karne Wali Aurte Aur Takabbur Karne Wale Aur Qayamat ke Din ka Intezar Karne Wale Wagerao Ko Tere Liye Tazviz Kar Rakha Hai, Dozakh Ne Kaha Me Raazi Hu...

REF (Durre Mansoor)


DOZAKH ME PATTHAR GIRA


Uske Bad Ek Dusri Wa'di Me se Guzre Fir Ek Khoufnaak Aawaz Sunayi di Sarkar Ne Farmaya Aye Jibraeel Ye Kaisi Aawaz hai Jise Sunte Hi Insan Gabhra Jaye Aur Log Hairat Me Padd Jaye Hazrat Jibraeel Ne Kaha Huzur Aaj se 1000 Saal Pehle Ek Patthar Dozakh Me Daala Gaya tha Aaj Wo Dozakh Ke Taliya Me Pahocha Hai Ye Usi Ke Girne Ki Aawaz Hai..
Baytul Muqaddas Se Pehle Hi Safar Ke Darmiyan Huzur ﷺ Ek Surkh Teele ke Pas se Guzre To Dekha ke Hazrat Moosa Aleyhissalam Apni Qabr me Namaz Padh Rahe hai, Jis Waqt Sarkar ﷺ In Waqiyat ki Dekhte Huwe Zameen Tay Karke Baytul Muqaddas Pahuche To Be'Shumar Farishte Aapke Istiqbal Ke Liye Waha Moujud The Sab Ne Badi Izzat-O-Tazeem Ke Sath Salato Salam Ka Nazrana Pesh Kiya Aur Me'raj Ke Safar Par Jane ki Mubarakbad di....

SAKHRA


Baytul Muqaddas Me Ek Patthar Tha Ambiya Jo Huzur ﷺ Se Pehle Guzre Isi Patthar Se Apni Sawariya Bandha Karte the Lekin Bahot Muddat Ho Jane Ki Wajah se Patthar Ka Wo Surakh Jisme Rassi Dalkar Sawariyo Ko Bandha Jata Tha Band Ho Gaya Tha...
Jibraeel Aleyhissalam Ne Apni Ungli Ka Ishara Kiya Fouran Wo Surakh Zahir ho Gaya Aapne Buraq Isi Jagah Bandh Diya...

HOORE BAYTUL MUQADDAS ME


Jis Trah Farishto Ki Jama'ate Aasman Se Baytul Muqaddas Me Meraji Dulha Ke Liye Utar Aayi Thi Ese hi Jannati Hoore bhi Sarkare Do Aalam ﷺ Ke Istiqbal Ke Liye Aa Gayi thi..
Hazrate Jibraeel Ne Arz Kiya Ke Sarkar ﷺ Kya Aap Apne Rabb Se Darkhwasti Ki Thi Ke Hoore Apko Dikhlaye, Aapne Farmaya Haan Hazrat Jibraeel Alehissalam Ne Arz kiya Ke Ye Hoore Samne Moujud hai Jo Apke Istiqbal Ke Liye Jannat se Aayi hai..
Huzur (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Unhe Salam se Nawaza Unhone Niyazmandi Aur Aazizi Ke Sath Salam Ka Jawab Pesh Kiya Sarkar ﷺ Ne Unse Sawal Kiya ke Tum Kiske Liye ho? Unhone Jawab Diya Ke Hum Bahot hi Nek Aur Khoobsurat hai Aur Un Nek Mardo ki Biwiya Hai Jo Paak Saaf Hai, Woh Hamesha Jannat Me Rahenge Aur Kabhi Jannat Se Juda Na Honge Aur Hamesha Zinda Rahenge Kabhi na Marenge....

AWWAL AAKHIR HAASHIR


Ab Farishto Ki Ek Jama'at Aayi Aur Allah Taa'la Ki Taraf se Badi Izzat-O-Ehteram Ki Khushkhabri Sunayi Di Aur Yun Salam Arz Kiya ke(या अव्व्लो या आखिरो या हाशिरो) Hazrate Jibraeel Se Farmaya Ke Aye Jibraeel In Farishto ne Salam Karne me Muje In Naamo Khaas Tor Par Kyu Pukara...
Hazrate Jibraeel Ne Arz kiya Iski Wajah Ye hai ke Aap Sabse Pehle Shafa'at Karne Wale Hai Aur Aap Hi Aakhri Nabi hai Aur Qayamat Ke Roz Tamam Makhluk Ka Hashr Aapke Qadmo Ke Tale hoga...
Farishte Hi Nahi Balke Hazrat Adam Aleyhissalam Se Lekar Hazrat Isa Aleyhissalam Tak Ke Tamam Ambiya Baytul Muqaddas Me Moujud the Sarkar ke Pahochne Ke Bad Azan Padhi Aur Bad me Fouran Hi Takbeer Padhi Gayi Ek-Ek Nabi Aur Rasool Tamam Farishte Safe Bandhkar Khade hai Aur Intezar me Hai Ke Imamamat Ke Musalle Par Koun Tashrif Farma Hota hai Ke Itne me Hazrate Jibraeel Ne Huzur ﷺ Se Arz Kiya Ke Sarkar Aage Badhe Aur Ambiya ki Imamat Farmaye...
Ye Arz Karna tha Aur Huzur ﷺ Ke Hath Mubarak Ko Thamkar Aage Badha Diya Huzur ﷺ Ne Musalle Par Aakar Namaz Padhayi Ambiya Aur Farishto ne Bade Jhonk Aur Sokh se Aapke Piche Namaz Ada ki....

SAFO KI TARTEEB


Jis Waqt Baytul Muqaddas me Ambiya Huzur ﷺ Ke Piche Namaz Ada ki To Safo ki Tartib Is Trah Thi Ke Pehli Safo Me Aapke Bilkul Piche Hazrat Ibrahim عَلَيـهِ السَّــلَام The Dahini Taraf Hazrat Ismail عَلَيـهِ السَّــلَام Aur Bayi Janib Hazrate Ishak عَلَيـهِ السَّــلَام  The Qull 7 Safe thi Pehli 3 Safo me Woh Ambiya-E-Kiram The Jo Nabuwwat Ke Sath Risalat Ke Martabe Par the Yani Nabi Hone Ke Sath-Sath Wo Rasool bhi the Aur Aakhri 4 Safo Me Sirf Nabi The..

MEHBOOBIYAT KI KHUSHBU


Huzur (صلی اللہ علیہ وسلم)Ko Tamam Ambiya Ne Isliye Apna Imam Banaya Ke Aapki Iqteda Karne Me(Aapki Pairvi Karne me Apke Piche Namaz Padhne me) Aapki Khoobiyo ka Asar Humme Aa Jaye Aur Hume bhi Allah Ki Mehboobiyat Ki Khushbu Hasil ho Jaye...
Isliye ke Imaam Aur Muktadi Me Ek Khass Rabta Hota hai Jiski Bina Par Imam Ki Namaz Muktadi Ki Namaz Ki Mushtimil Hoti hai Yaha Tak Ke Imam Ki Khoobiya Muktadi Me bhi Asar Karne Wali Ho Jati hai...

KHUTBA-E-ADAM عَلَيـهِ السَّــلَام


Jab Namaz Se Sab Farig Huwe to Adam عَلَيـهِ السَّــلَام Ne Khutba Padha Allah Taa'la Ka Shukr Aur Uski Yaad Aur Tarif Karne ke Bad Farmaya 

Khuda Taa'la Ka Bada Ehsan hai Ke Usne Muje Mitti se Banaya Aur Farishto ne Muje Sajda Kiya Aur Hawwa Ko Mujse Payda Karke Mera Joda Banaya Aur Jannat ki Be'Shumar Ne'mato se Muje Nawaza....*

KHUTBAZ-E-IBRAHIM عَلَيـهِ السَّــلَام


Hazrat Adam عَلَيـهِ السَّــلَام  Ke Bad Hazrat Ibrahim عَلَيـهِ السَّــلَام Ne Takrir Farmayi Aapne Farmaya ke Tamam Tarife Allah Taa'la Ke Liye Hai Usne Muje Apna Khaleel Banaya Aur Bhot Bada Mulk Ata kiya Aur Muje Ummat Wala Nabi Aur Sahibe Qunoot Banaya Yaha Tak ke Meri Iqteda Ki Jati hai Aur Muje Namrood ki Aag se Najat Ata ki Aur Is Aag Ko Mere Liye Salamati Aur Thandak Banaya....

KHUTBA-E-MOOSA عَلَيـهِ السَّــلَام


Aapke Bad Hazrat Moosa Kalimullah عَلَيـهِ السَّــلَام Ne Kaha Ke Sab Tarife Allah Ke Liye Sabit Hai Jisne Muje Apne Kalam-E-Khaas Se Nawaza Aur Muje Pasand Farmaya Aur Mujhpar Apni Qitab Touret Nazil Ki Mere Dushman Fir'on ko Halak Kiya Aur Meri Madadgar Qoum Ko Ayesa Giroh Banaya Jo Haq Ke Sath Hidayat Karte Aur Haqq Ke Muwafiq Addal Karte hai..

KHUTBA-E-DAWOODعَلَيـهِ السَّــلَام


Ab Hazrat Dawood عَلَيـهِ السَّــلَام  Khade Huwe Aur Allah Taa'la ki Tarif Bayan Karne Ke Bad Kaha Ke Tamam Khubiya Allah Taa'la Ke Liye Sabit hai Usne Muje Ek Bada Mulk Diya Aur Zaboor ka Ilm Ata Farmaya...
Lohe ko Mere Liye Naram Aur Pahado ko Mere Liye Musakhhar(Kabze) Me Kiya Jo Ke Mere Sath Allah ki Tasbeeh Bayan Karte hai Aur Parindo Ko Mera Tabedar Bana Diya Ke Wo Mere Sath Allah Taa'la Ki Tasbeeh Aur Tamjid Karta Rahe Aur Ilm Aur Hikmat Aur Accha Aawaz Ata Farmaya...

KHUTBA-E-SULEMAN عَلَيـهِ السَّــلَام 


Aapke Bad Hazrate Suleman عَلَيـهِ السَّــلَام  Ne Apne Rabb Ki Bargah Me Hamd O Sana Bayan Ki Aur Kaha Ke Sab Tarif Allah Taa'la Ke Liye Hai Jisne Mere Waste Hawa Ko Taabe Kar Diya Jinnat ko Mera Tabedar Bana diya Yaha Tak Ke Agar Me Inse Aalishan Imarate Banwana Chahu To Wo Banate hai Aur Allah Taa'la Ne Muje Parindo ki Zuban Samajne ki Kudrat Ata Ki Aur Muje Esi Saltanat Ata Ki Jo Mere Alawa Kisi ko Naa Mili...

KHUTBA-E-ISA عَلَيـهِ السَّــلَام 


Hazrat Suleman عَلَيـهِ السَّــلَام  Ne Jab Apna Khutba Khatm Farmaya To Hazrat Isa عَلَيـهِ السَّــلَام Khade Huwe Aur Allah Taa'la Ki Hamd-O-Sana Bayan Ki Fir Farmaya Ke Tamam Hamd Allah ke Liye Hai Jisne Muje Apna Maseeh Banaya Aur Muje Hikmate Tourat Aur Injeel Ka Aalim Banaya Aur Muje Woh Taqat Ata Farmayi Ke Mitti ke Parindo ko Foonk Marta hu To Allah Ke Huqm se Udne Lagta Hai, Pedaishi Andhe Aur Kodhi Ko Bilkul Durust Kar Deta hu Aur Murdo ko Allah Ke Huqm se Zinda Kar deta hu....

KHUTBA-E-MUHAMMAD MUSTAFA ﷺ


Ab Sabke Bad Khatamun Nabiyyin Janab Huzure Aqdas ﷺ Ne Apne Rabb Taa'la Ki Hamd-O-Sana Ki Iske Bad Farmaya Tamam Khoobiya Sabit hai Us Allah Ke Liye Jisne Tamam Aalam Ke Liye Muje Rehmat Banakar Bheja Aur Sabke Liye Basharat Dene Wala Jannat ki Aur Dozakh Se Darane Wala
Banakar Bheja...
Mujhpar Apni Qitab Quran Sharif Nazil Farmayi Jisme Har Cheez Ka Tafseel Se Bayan hai Meri Ummat ko Sab Ummato Se Behter Banaya Aur Mere Zikr Ko Buland Kiya Muje Awwal-O-Aakhir Banaya(Noor me Awwal Aur Zahoor me Aakhir)...

AETERAF-E-FAZILAT


Huzur (صلی اللہ علیہ وسلم) Ki Ye Takrir Mubarak Sunne ke Bad Tamam Ambiya Ekdum Se Bol Uthe Ke Isme Koi Shak Nahi Ke Aap Hum Tamaam Ambiya Par Fazilat Aur Shaan Aur Martabe Ke Lihaz Se Bahot Aage Badh Gaye...

Ref (Zurqani)


EK AYAT


Abhi Sarkar Baytul Muqaddas Me Tamam Ambiya Ke Sath Tashrif Farma The Ke Ek Ayat Ka Nuzool Huwa Jiska Tarjuma hai..

AUR UNSE PUCHO JO HUMNE TUMSE PEHLE RASOOL BHEJE KYA HUMNE REHMAN KE SIWA AUR KHUDA THEHRAYE JISKO POOJA

Ref (Paara-25, Ruqu-10)


Is Mouke Par Is Ayat Ka Nazil Hone Ka Maksad Tamam Ambiya-E-Kiram Se Touheed Par Gawahi Lene Ka Maksad Tha, Tafseer Mualemul Tanzeel Me hai Ke Huzur ﷺ Ne Tamam Rasoolo Se Daryaft Na Farmaya Aur *Aynul Mua'ni* Ki Riwayat Me hai Ke Hazrat Jibraeel Ne Janab Miqaeel Se Pucha Huzur ﷺ Ne Ambiya Se Ye Mas'ala Daryaft Farmaya Tha...

Hazrat Miqaeel Ne Kaha ke Huzur ﷺ Ka Yakeen Bahot Qameel Hai Aur Aapka Imaan Bahot Hi Pakka hai Yahi Wajah hai Ke Aapko Puchne ki Zarurat Mehsoos Nahi Huyi Bhala Haqqul Yakeen Wale Ki Ilmul Yakeeb Wale Ki Kya Hajat..

Ref (Tafseere Hussaini, Jild-02)



♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡
🍀Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !

♡♡♡♡♡♡♡♡

جزاك الله خيرا... For reading

♡♡♡♡♡♡♡♡

اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
👥PLZ SHARE TO OTHERS ALSO👥

📧Like TO FB LINK


https://www.facebook.com/zikrenabi/

🌎www.zikr-e-rasool.com 


Download App https://goo.gl/WW7qMw

No comments:

Post a Comment