Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Sunday, February 05, 2017

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KE WALIDAIN MOMIN THEY

HUZOOR (صلی اللہ علیہ وسلم) KE WALIDAIN MOMIN THEY

WALIDAIN-E-MUSTAFA ﷺ 

Part:-03

To zarur hai ki Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) ke Aaba-e-Kiram Taahireen wa Ummahaat-e-Kiram sab Ahle Eiman-o-Tauheed hon ki Quran Azeem kisi Kafir-o-Kaafirah ke liye karam-o-taharat ke liye hissa nahi.. Ye Dalil Imam-e-Ajal Fakhrul Mutakallimeen Allama ul Wara Fahruddin Raazi Radiallahu Anhu ne Ifaadah farmayi aur Imam Jalaluddin Suyuti aur Allama Mohaqqiq Sanusi aur Allama Tilimsani Shaareh Shifa wa Imam Ibn Hajar Makki wa Allama Mohammad Zarqani Shaareh Mawahib wagairah Akaabir ne iski taaeed wa Tasweeb ki.

       (  Teesri Dalil )

 ALLAH ﷻ TA’ALA ne farmaya :..  Bharosa kar zabardast  meherban par jo tujhe dekhta hai jab tu khada ho aur tera karwaten badalna sajdah karne walon me...

 Ref ( Qura'an Para 26 :217-219 )

 Imam Raazi farmate hain ki Huzoor Aqdas (صلی اللہ علیہ وسلم) ka Noor Paak Saajidon se Saajidon ki taraf Muntaqil hota raha.

Ref ( Mafaatihul Ghaib tehet ayat 26:219, 24:149 )

 To ayat is par dalil hai ki sab Aabaae Kiram Musalman the.
 Imam Suyuti wa Imam Ibn Hajar wa Allama Zarqani..

Ref ( Sharah zarqani Alal mawahib Baab Wafat-e-Umma (صلی اللہ علیہ وسلم) jild 1 page.174 )

wagairham Akaabir ne iski Taqreer wa Taaeed wa Taakeed wa tash’heed farmayi.
 Aur Ibn Abbas Radiallahu Anhu se iski muaiyyid riwayat Abu Naeem ke yahan aay.

Ref ( Sharah zarqani Alal mawahib Baab Wafat-e-Umma,(صلی اللہ علیہ وسلم) jild 1 page.174, Dalailun Nabuwwa Abi Naeem Fasl Saani Zikr-e-Fazeelate (صلی اللہ علیہ وسلم) Be-Tayyib-e-Maulidah Juz-ul Awwal pg.11-12 )

Allama ne tasreeh ki hai ki Quraan paak ki har waja se istedlal kiya jayega aur koi ek ta’weel dusri ta’weel ki naïf nahi karti, iske liye Ulama ka amal gawah hai ki wo purane aur naye zamane me Aayat-e-Mubaaraka ki kayi Taaweelaat me se ek se istedlal karte rahe hain.

  ( Chauthi Dalil )

 ALLAH ﷻ ne farmaya anqarib ALLAH ﷻ tujhe utna dega kitu raazi ho jayega.

Ref  (Quran Para 5: 93 ]

 Qarib hai ki tuje teri Ummat ke baab me raazi kar denge aur tera dil bura na karenge.

Ref ( Saheeh Muslim Kitabul Eiman Baab Duaaun Nabi Sallallaho alaihe wasallam jild 1 Pg.113 )

 Magar is ata wa raza ka matlab yahan tak pahuncha ki Saheeh hadees me Huzur Syed Aalam (صلی اللہ علیہ وسلم) ne Abu Talib ki nisbat farmaya: maine usey saraapa Aag me duba paaya to kheench kar takhno tak ki aag me kar diya.

Ref ( Saheeh Bukhari Kitabul Manaqib, Qissa Abi Talib, jild 1 Pg.548, Saheeh Bukhari Kitabul Adab, Kaifiyatul Mushrik, jild 2 pg.917, Saheeh Muslim Baab Shafaatun Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) le Abi Talib jild 1 pg.115, Musnad Ahmed An ibn Abbas jild 1 Pg.206 )

 Ek aur Saheeh riwayat me farmaya:
Agar main na hota to Abu Talib jahannam ke sabse neeche tabqe me hota.

Ref ( Saheeh Muslim Kitabul eiman Baab Shafaatun nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) jild 1 pg.115, Saheeh Bukhari Kitabul Manaqib, Qissa Abi Talib, jild 1 Pg.548, Saheeh Bukhari Kitabul Adab, Kaifiyatul Mushrik, jild 2 pg.917 )

 Ek aur Saheeh Hadees me Nabi  (صلی اللہ علیہ وسلم) Dozakhiyon me sabse halka azab Abu Talib par hai.

Ref ( Saheeh Muslim Kitabul eiman Baab Ahoon Ahlin Naar Azaaba jild 2 pg.115, Mishkaatul Masabeeh ba Hawala Bukhari Kitabul Fitan baab- Sifatun Naar wa ahleha jild 2 Pg.502 )

 Aur Zaahir hai ki Huzoor Aqdas (صلی اللہ علیہ وسلم) se jo qurab Waalidain ko hai Abu talib ko isse kya nisbat..? Phir iska uzr bhi waazeh kin a unhe dawat pahunhi na unhone zamana-e-Islam paaya, to agar MaazALLAH wo Ahle Janant nahote to zarur tha ki unpar Abu Talib se bhi kam azab hota... Aur wohi sabse halke azab me hote... Ye Hadees Saheeh ke khilaf hai to wajib hua ki Waalidain Kareemain Ahle Jannat hain... Wa ALLAHO A’Lam Is Daleel ki Taraf bhi Imam Khaatimul Huffaz Jalaaluddin Suyuti Radiallahu Anhu ne farmaya:

 Taufeeq ALLAH ﷻ ki taraf se hai Taqreer Dalil ye hai ki Saadiq wa Masdooq (صلی اللہ علیہ وسلم) ne khabar di ki Ahle Naar me sabse halka azab Abu Talib par hai...  Ab hum puchte hian ki Abu Tali par ye takhfeef kis waja se hai.. ? Huzoor Aqdas (صلی اللہ علیہ وسلم) ki yaari wa paas daari wa khidmat Guzari ke baais ya is liye ki Sayyedul Mehbubeen (صلی اللہ علیہ وسلم) ko unse Mohabbat Tabayi thi.. ? Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) ko unki riaayat manzur thi, Huzoor Aqdas (صلی اللہ علیہ وسلم) farmate hain
 Aadmi ka chacha uske Baap ke bajaye hota hai, isko Imam Tirmizi ne sanad-e-Hasan ke sath hazrat Abu Hurairah Radiallaho Anhu aur Hazrat Ali Radiallaho Anhu se jabki Tibrani Kabeer ne Ibn Abbas Radiallaho Anhu se riwayat kiya hai.

Ref ( Jaame Tirmizi abwaabul Manaqib, Manaaqib-e-Abi Fasl-e-Am Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) jlld 2 page.217 ,Moajjam Al-Kabeer Hadees no.10698 jild 10 pg.383 )

 Aur jo kuch unhone Kaam kiye the humne qasd farmakar unhe baareek baareek Ghubar ke bikhre hue zarre kar diye ki rozan kid hoop me nazar aate hain.

 Ref ( Quran 25 : 23 

 Saaf irshad hota hai ki Kafir ke sab amal barbad mehez hain. Aur yehi un Ahadees-e-Saheeha Mazkurah se mustafad, AbuTalib kea mal ki haqiqat to yahan tak thi ki Huzoor Aqdas (صلی اللہ علیہ وسلم) ne sarapa aag me gharq paaya, amal ne nafa diya hota to pehle hi kaam ata, phir Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) ka irshad ki maine usey takhno tak ki aag me khinch liya main na hota to wo jahannam ke tabqa-e-zereen me hota.

Ref ( Saheeh Bukhari Kitabul Manaqib, Qissa Abi Talib, jild 1 Pg.548, Saheeh Muslim Kitabul eiman Baab Ahoon Ahlin Naar Azaaba jild 1 pg.115 , Musnad Ahmed bin Hanbal jild 1 Pg.207, 210 )

 Bila Shubah ye Takhfeef sirf Mehbub (صلی اللہ علیہ وسلم) ka Paas Khatir  ur Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) ka Ikram Zaahir hai aur Waazeh hua ki Mehbub (صلی اللہ علیہ وسلم) ki khatir Iqdas par Abu Talib ka azab hargiz itna giraan nahi ho sakta MaazALLAH jis qadar Waalidain Kareemain ka muamla. Na unse takhfeef me Huzoor ﷺ ki ankho ki wo thandak jo Hazraat Waalidain Karimain ke bare me, na unki riaayat me Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) ka wo e’zaaz wa Ikraam jo Hazraat Walidain ke chhutkare me,  to agar farz kijiye ki ye Abu Talib ke Haq-e-parwarish wa khidmat hi ka muaawza hai to phir kaunsi parwarish juziyat ke barabar ho sakti hai..?
Kaunsi Khidmat Hamal wa Waza’ ka Muqabla kar sakti hai..? Kya kabhi kisi parwarish kunindah ya khidmat guzaar ka haq Haq-e Walidain ke barabar ho sakta hai..? Jise Rab-ul Izzat ne apne Haq-e-Azeem ke sath irshd farmaya: “Haq maan mera aur apne Walidain ka.

Ref (Quran 31:14 )

Phir Abu Talib ne jahan barson khidmat ki, chalet waqt tanj bhi wo diya jiska jawab nahi, har chand Huzoor  Aqdas (صلی اللہ علیہ وسلم) ne Kalima padhne ko farmaya na padhna tha na padha. Jurm wo kiya jiski maghfirat nahi. Umr bhar mojizaat dekhna, Ahwaal par Ilm Taam rakhna aur zyadah Hujjatullah Qayem hone ka moajjib hua ba khilaf Abueen Karimain ken a unhe dawat digayi.. Na inkar kiya. To har waja, har lehaz, hae haisiyat se yaqinan unhi ka palla badha hua hai. To Abu Talib ka azab sabse halka hona yunhi mutasawwur ki Abueen Karimain AhleNaar hi se na hon.

   ( Paanchvi Dalil )

 ALLAH ﷻ ne farmaya:    barabar nahi dozakh wale aur Jannat wale, aur Jannat wale hi murad ko pahunche.

Ref (Quran 59:20 )

 Hadees me hai ki Huzoor Sallallaho alaihe wasallam ne Aulad-e-Amjaad-e-Hazrat Abdul Muttalib se ek paak Tayyaba Khatoon Radiallahu Ta'ala anhu ko aate dekha. Jab paas aayin farmaya:   “Apne ghar se kahan gayin thi...?”   Arz ki “ye jo ek Mayyat ho gayi thi mai unke yahan dua-e-rehmat aur ta’ziyat karne gayi thi,”  Farmaya:  “Shayad tu inke sath Qabristan tak gayi”  Arz ki:   “Khuda ki panah ki mai wahan jati halanki Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) se sun chuki thi jo kuch is Baab me irshad kiya”  Syed Aalam (صلی اللہ علیہ وسلم) ne irshad farmaya:  “agar tu inke sath wahan jati to jannat na dekhti jab tak Abdul Muttablib na dekh len”  Isko Abu Dawood aur Nasai ne riwayat kiya hai,

Ref ( Nasai Kitabul Janaiz, Baabun Nayi jild 1 Pg.265 ,Abu Dawood Kitabul Janaiz, baab ta’ziyah jild 2 Pg.89 )

 Aur Lafz Nasai ke hain.. Syeduna Abdullah bin Amru al-Aas Radiallahu  Anhuma se, Imam Abu Dawood ne az-raahe adab bataur Kuna ye isme tashdeed ka zikr kiya lekin Imam Abdul Rehman Nasai ne Khulkar ilm ko pahunchaya aur Hadees ka Haq ada kiya. Har ek  ke liye tawajjoh ki ek simt hai jiski taraf wo muh karta hai.
Ye to Hadees ka irshad hai ab zara Aqaid-e-Ahle Sunnat pesh-e-nazar rakhte hue Nigah-e-Insaaf darkaar, Aurton ka Qabristan jana ghayat darja agar hai to ma’siyat hai...


Ref ( Quran 63:8 )


♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
Plz share to others also

VISIT US : www.zikr-e-nabi.com

VISIT US : www.zikr-e-rasool.com


Download App http://goo.gl/x7SwOb

No comments:

Post a Comment