Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Tuesday, February 07, 2017

SHEHENSHAHE RISALAT (صلی اللہ علیہ وسلم) MADEENE ME

SEERAT E MUSTAFA 

PART:-11


SHEHENSHAHE RISALAT (صلی اللہ علیہ وسلم) MADEENE ME.


Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ki Amad Ki Khabar Chuki Madina me Pehle se Pahuch Chuki thi Aur Aurte Baccho Tak ki Zaban Par Apki Tashrif Aawri Ka Charcha Tha.
Is Liye Ahle Madina Apke Deedar Ke Liye Intihai Mushtak Wa Bekarar the Rozana Subha Se Nikal Kar Seher ke Bahar Sarapa Intizar Bankar Istiqbal ke liye Taiyar Rehte the Aur Jab Dhoop Tez ho jati To Hasrat wa Afsos ke Sath Apne Gharo ko Vapas Lout Jate.
Ek Din Maam'ul Ke Mutabik Ahle Madeena Apka Intizar Karke Vapas Ja Chuke the Ko Naagha Ek Yahoodi Ne Apne Qille Se Dekha ki Tajdare Do Aalam Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ki Sawari Madeene ke Qareeb Aa Pahuchi hai.

Usne Ba-Awaz e Buland Pukara Ae Madine Walo Tum jiska Rozana Intezar Karte The Wo Karawane Rehmat Aa gaya.
Ye Sunkar Tamaam Ansar Badan Par Hathiyar Saja Kar Aur Wajd-O-Shadmani se Bekarar Hokar Dono Alam ke Tajdar ka Istiqbal Karne ke liye Apne Gharo se Nikal Pade Aur Naar-E-Taqbeer Ki Ba-Awaz se Tamaam Sheher Gunj Utha.
Madina Munawwara Se 3 Meel ke Fasle Par Jaha Aaj "MASJID-E-QUBA" Bani Hui Hai 12 Rabiul Awwal Ko Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ronak Afroz Hue Aur Qabeela-E-Amr Bin Aouf Ke Khandan Me Hazrate Kulsum Bin Hidas رضي الله تعالي عنه Ke Makan Me Tashrif Farma Hue.

Ahle Khandan ne Is Fakhr Aur Sharaf Par Ki Dono Jaha Ke Mezban Unke Mehman Bane Allahu Akbar Pur Josh Nara Mara Charo Taraf se Ansar Josh O Musarrat Se Aate Aur Baraghe Risalat Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ko Salat-O-Salam ka Nazrana E Aqeedat Pesh Karte..

Aksar Sahaba-E-Kiram Jo Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Se Pehle Hijrat Karke Madina Munawwara Me Aae The Wo Log bhi Usi Maqan Me Thehre Hue the Hazrate Ali رضي الله تعالي عنه Bhi Huqme Nabwi ke Mutabik Quresh Ki Amanate Vapas Louta Kar Teesre Din Makkah Se Chal Pade The Wo bhi Madina Aa Gae Aur Usi Maqan me Qayam kiya.
Hazrate Kulsum Bin Hadim رضي الله تعالي عنه Aur Unke Khandan Wale In Tamam Muqaddas Mehmano Ki Mehman Nawazi Me Din Raat Mashruf Rehne Lage....


Allahu Akbar! 
Amr Bin Aouf Ke Khandan Me Hazrate Saiyadul Ambiya Wa Saiyedul Auliya Wa Saliheen Sahaba ke Noorani Iztima Se Esa Sama Badh Gaya Hoga ki Galiban Chand Suraj Aur Sitare Hairat se Is Majme Ko Dekh kar Jabane Haal se Kehte honge Ki Ye Faisla Mushkil hai Ki Aaj Anjumane Aasman Zyada Roshan hai Ya Hazrat Kulsum Bin Hadam ka Makaan..
Aur Shayad Khandane Amr Bin Aouf رضي الله تعالي عنه Ka Baccha Baccha Joshe Musarrat se Muskura-Muskura Kar Zabane Haal se Ye Nagma Gata Hoga....

UNKE QADAM PE ME NISAAR JINKE QUDUME NAAZE NE UJHDE HUE DAYAR KO RASHKE CHAMAN BANA DIYA..

الصلاة والسلام عليك يارسول الله )صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ(

HUZOOR TAJDARE DO AALAM (صلی اللہ علیہ وسلم) KI MADNI ZINDAGI..


CHATHA(6) BAAB HIJRAT KA PEHLA SAAL SAN HIJRI 1 - MASJIDE QUBA....

"QUBA" Me Sabse Pehle Kaam Ek Masjid Ki Tameer thi Isi Maqsad ke Liye Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم)
Ne Hazrat Kulsum Biwi Hidam رضي الله تعالي عنه Ki Ek Zameen Ko Pasand Farmaya Jaha Khandan-E-Amr Bin Aouf Ki Khajure Sakhai Jati thi Isi Jagah Apne Apne Muqaddas Hatho Se Ek Masjid ki Buniyad Dali Yahi Wo Masjid hai Jo Ab Bhi Masjide Quba ke Naam Se Mashoor hai Aur Jiski Shaan Me Quran Ki Yeh Ayat Nazil Hui...

☆TARJUMA:- 


Yaqeenan Wo Masjid Jiski Buniyad Pehle hi Din se Parhezgari Par Rakhi Hui Hai Wo Is Baat ki Zyada Haqdar hai Aap Usme Khade Ho Is Masjid me Ese log hai Jinoo Paaki Bhot Pasand hai Aur Allah Taa'la Paak Rehne Walo se Muhabbat Farmata hai.

Ref (SUREH TOUBA)

Is Mubarak Masjid ke Tameer me Sahaba Ke Sath Sath Khud Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Bhi Ba-Nafse Nafees Apne Daste Mubarak Se Itne Bade Bade Patthar Uthate Ki Iske Bojh se Jisme Nazuk Ho Jata tha.
Aur Agar Apke Jaa Nisar Ashab me Se Koi Arz Karta Ki Yaa Rasoolallah Aap Par Humare Maa Baap Kurban Ho Jae Aap Chod Dijiye Hum Utha lenge To Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Uski Diljui Ke Liye Chod Dete Magar Fir Usi Wazan ka Dusra Patthar Utha lete Aur Khud hi Usko Leker Imarat me Lagate Aur Tameer kaam Me Josh Wa Walwala Paida Karne ke Liye Sahab Ikram ke Sath Ba-Awaz Milakar Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Hazrate Abdullah Bin Rawara رضي الله تعالي عنه Ke Ye Ashar Padhte...

WO KAMIYAB HAI JO MASJID TAMEER KARTA HAI AUR UTHTE BETHTE QURAN PADHTA HAI AUR SOTE HUE RAAT NAHI GUZARTA..

Ref { WAFAUL-WAFA- JILD- 1 SAFA- 180 }

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
Plz share to others also

VISIT US : www.zikr-e-nabi.com

VISIT US : www.zikr-e-rasool.com

Download App http://goo.gl/x7SwOb

No comments:

Post a Comment