HUZOOR (صلی اللہ علیہ وسلم) KE WALIDAIN MOMIN THEY
WALIDAIN-E-MUSTAFA ﷺ
Part:-04
Aur Hargiz koi ma’siyat musalmano ko jannat se mehroom aur Kafir ke barabar nahi kar sakti. Ahle Sunna tke nazdeek Muslaman ka Jannat me jana waajib-e sharai hai agarche MaazALLAH muaakhize ke baad Aur Kafir ka Jannat me jana muhaal-e-sharai hai ki abadul abaad tak kabhi mumkin hi nahi aur Nusoos ko Hattal Imkan zaahir par Mehmool karna wajib aur be zarurat ta’weel na-jaez aur ismat nau-e bashar me khaasa Ambiya laihimus salam hain.
Inke ghair se agarche kaisa hi azeemud darjaat ho. Wuqu-e-gunah mumkin wa mutasawiir ye chaaron baatein aqaid AhleSunnat me sabit wa muqarrar, ab agar ba-hukm-e Muqaddama raabe maqabir tak balugh-e-farz kijiye. To ba-hukm-e-Muqaddama Saalisa Jazaakaar tibb wajib aur is taqreer par ki Hazrat Abdul Muttalib ko MaazALLAH Ghair Muslim kahiye, Ba-Hukm-e-muqaddemeen Awwaleen wa neez ba hukm Aayat-e-kareema Muhaal wa baatil, to wajib hua ki Hazrat Abdul Muttalib wa AhlreJannat hon
Agarche Misl-e-Siddiq wa Farooq w Usman wa Ali wa Zehra-o-Siddiqa waghairaham Saabiqeen Awwaleen me nahon. Ab Ma’ana Hadees bila takalluf aur be haajat ta’weel wa Tasarruf-o-Aqaid AhleSunnat se mutabiq hain. Yani agar ye amr tumse waaqe hota to Sabiqeen Awwaleen ke sath Jannat me jana na milta balki is waqt jabki Abdul Muttalib Dakhil-e-behesht honge.
[ Chhathi Daleel ]
Hamare Parwardigaar, ALLAH ﷻ Azzuwajal ne farmaya:
Izzat to ALLAH ﷻ aur Rasool (صلی اللہ علیہ وسلم) aur musalmano hi ke liye hai magar munafiqon ko ilm nahi.
Ref [ Qura'an 63:8 ]
HUZOOR AQDAS (صلی اللہ علیہ وسلم) farma rahe hain ki tanha in hazaron ke majme par hamla farmayein. Hazrat Abbas bin Abdul Muttalib wa Hazrat Abu Sufain bin Haris bin Abdul Muttalib Radiallahu Anhu Baghla Sharif ke lagam mazbut khinche hue hain ki badh na jayen aur Huzoor farma ﷺ rahe hain...
Mai saccha Nabi ﷺ hu, ALLAH ﷻ ka pyara, Abdul Muttalib ki ankh ka taara, (صلی اللہ علیہ وسلم)
Ref [ Musannaf In Abi Shaiba, Kitabus Sair, Hadees No. 33573 jild 6 page. 535 , Kanzul Ummal ba Hawala Abi Naeem Hadees No. 30207 jild 10 page. 540 ]
Isko Abu Bakr bin Abi Shaiba aur Abu Naeem ne Bara bin Aazib se riwayat kiya hai.
Ameerul Mumineen Umar Radiallaho Anhu lagam roke hue hain aur Hazrat Abbas dumchi thaame aur Huzoor ﷺ farma rahe hain: Usey badhne do, mai hu Nabi ﷺ sareeh Haq par, mai hu Abdul Muttalib ka pisar (صلی اللہ علیہ وسلم)
Ref [ Tarikh Damishqul Kabeer tarjuma 2858 Shaibato bin Usman jild 25, Page. 173 ]
Isko Ibn Asakir ne Mus’ab bin SHaiba se riwayat kiya.
Jab Kafir nihayat Qarib aa gaye, Baghla Tayyaba se Nuzul-e-Ijlaal farmaya, us waqt bhi yehi farmate the.: Mai hu Nabi ﷺ bar haq saccha, Mai hu Abdul Muttalib ka beta, Ilahi apni madad nazil farma..
Ref [ Kanzul Ummal ba hawala Ibn jareer, Hadees No. 30206, jild 10, Page. 541 ]
Phir ek mushat khaak dast-e-paak me lekar kafiron ki taraf phenki aur farmaya:. Bigad gaye chehre..
Ref [ Kanzul Ummal Hadees no. 30213 jild 10 Page. 541 , Jaameul Bayan, tehet-e-ayat nasarokumullah jild 10 Page.118 ]
Wo Khak un hazaron Kafiron par ek ek ki ankh me pahunchi aur sabke muh phir gaye, unme jo Musharraf ba-islam hue wo bayan farmate hain jis waqt Huzoor Aqdas (صلی اللہ علیہ وسلم) ne wo kankariyan hamari taraf phenki hume ye nazar aaya ki asman se zamin tak taambe ki diwar qayem kar di gayi hai aur ispar se pahaad hamari taraf ludhkaye gaye hain, siva e bhagne ke kuch ban na aayi.
Mai bani Sulaim se un chand khatoono ka beta hu jinka naam Aatika tha..
Ref [ Kanzul Ummal Hadees no. 31874 jild 11 Page. 402 ,Moajjam al-Kabeer Hadees no. 6724 jild 7 Page. 169 ]
Isko Saeed bin Mansoor ne apni Sunan me aur Tibrani Moajjam Kabeer me Subar bin Aasim r.a se riwayat kiya.
Ek Hadees me hai baaz Ghazwaat me farmaya: Mai Nabi ﷺ hu kuch jhut nahi, mai hu Abdul Muttalib ka beta, mai hu Un Beebiyon ka beta jinka naam Aatika tha..
Ref [ Tarikh Damishqul Kabeer, Baa-Ma’arfato uma wajdaatehi jild 3 Pg.60 ]
Allama Manawi Saib-e-Taiseer wa Imam Mujaddedeen Firozabadi Sahib-e-Qamoos wa Jehri Sahib-e-Sihaah wa San’aani Waghairham ne kaha Nabi-e-Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) ke Jaddaat me 9 Beebiyon ka naam Aatika tha..
Ref [ Taiseer Sharah Jaameus Sagheer tehet-e-Hadees Ana Ibnul Awaatik jild 1 Pg.275. Sihaah Baabul Kaaf Faslul Ain Tehet-e-Lafz-e-Aatika jild 4 Pg.1311 ]
Ibn Bari ne kaha:- Wo 12 Beebiyan Aatika thin, 3 Sulaimaat yani Qabeela Bani Sulaim se aur 2 Qureshiyaat se, 2 Adwaaniyaat, aur ek ek Kunaniya, Asadiya, Hazaliya, Qazaaiya, Azdiya...
Ref [ Taj-ul-Uroos, Baabul Kaaf Faslul Ain jild 7 Pg.159 ]
Abu Abdullah Adoosi ne kaha wo Beebiyan 14 thin, 3 Qureshiyaat, 4 Sulaimiyaat, 2 Adwaaniyaat, aur ek-ek Hazaliya, Qehtaniya, Qazaaiya, Saqfiya, Asadiya, Bani Asad Khuzaima se... Imam Suyuti ne Jaameul Kabeer me Naqal kiya, Aur zahir hai Qaleel Naafi Kaseer nahi.
Hadees me aata hai ki Huzoor Aqdas(صلی اللہ علیہ وسلم)
ne apne Maqam-e-Madah wa bayan-e-fazail-e Kareema me 21 pusht tak apna Nasab Naama irshad karke farmaya:
Mai sabse nasab me afzal, Baap me afzal, (صلی اللہ علیہ وسلم) Toh Ba—hukm-e-Nuzoos-e-Mazkoorah zarur hai ki Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) ke Aabaa wa Ummahaat Muslimeen wa Muslimaat hon..
Ayat-e-Kareema ne Muslim wa Kafir ka nasab Qatay farmaya wa lehaza ek ka tarka dusre ko nahin pahuchta.. Aur Hadees me hai Rasool (صلی اللہ علیہ وسلم) ne farmaya:
Hum Nasr bin Kunana ke bete hain.. Hum apne Baap se apna Nasab Juda nahi karte...
Ref [ Kanzul Ummal Hadees no. 35513, Jild 12 Pag. 442, Ibn Majah, ABwaabul Hudood, Baab-Man Nafi Rujla min Qabeela, Pag.19 ,Musnad Ahmed, Hadeesul Ash’at bin Qais, jild 5 Pag. 211-212 , Moajjam al-Kabeer, Hadees no. 219 and 2191 jild 2 Pag. 286 ,Musnad Abi Dawood Tayalsi, Hadees Ash’at bin Qais Hadees no.1049 juz Raabe Pag.141 ,Tabqaat al-Kubra, al-Ibn Saad, Zikr man Antama jild 1 pag. 23 , Dalailun Nabuwwa lil Baihaqi, Baab-Zikr Sharaf Asal Rasoolullah Sallallaho alaihe wasallam jild 1 Pag. 173 ]
Isko Abu Dawood Tayasi, Ibn Saad, Imam Ahmed, Ibn Maja, Haris Maawradi, Samuya, Ibn Qaane, Tibrani Kabeer, Abu Naeem, aur Ziya Maqdasi ne Saheeh Mukhtarah me Ash’at bin Qais-ul-Qundi Radiallahu Anhu se riwayat kiya.
Kuffar Nasab Ba Hukm-e-Ahkamul Haakimeen Muqatay hai.. Phir Maaz ALLAH juda na karne ka kya muhal hota..?
[ Aathvi aur Nawi Daleel: ]
Mai kehta hu ALLAH ﷻ TABARAK WA TA’ALA ne farmaya.: Beshak sab Kafir Kasabi Mushrik, Jahannam ki Aag me hain.. Hamesha isme rahenge, wo sare Jahan se badtareen hain.. Beshak wo jo Eiman laye aur ache Kaam kiye wo sare jahan se behtar hain.
Ref [ Qura'an 98:6 ]
Aur Hadees me hai Rasool (صلی اللہ علیہ وسلم) farmate hain:
ALLAH ﷻ AZZUWAJAL ne Zaid Bin Amru ko bakhshish diya aur unpar rehem farmaya ki wo Deen-e-Ibrahim alaihis salato was salam par the.
Ref [ Tabqaatul Kubra Ibn Sa’ad Tarjuma Saeed bin Zaid jild 3 Page. 381 ]
Isko Bazar aur Tabrani ne Sayyeduna Saeed bin Zaid bin Amru bin Nafeel Radiallahu Anhu se riwayat kiya.
Aur ek aur Hadees me hai Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ne unki nisbat farmaya:..
Maine usey Jannat me Naaz ke sath aman kushaan dekha...
Ref [ Fathul Bari ba Hawala Ibn saad wal Faak’hi Kitabul Manaqib Hadees Zaid bin Amru bin Nufeel jild 8 Page. 147 ]
Isko Ibn Sa’ad aur Faak’hi ne Hazrat Amir bin Rabiya Radiallaho Anhu se riwayat kiya..
Aur Baihaqi wa Ibn Asakir ki Hadees me Ba-tareeqa-e-Malik an-Zuhri an-Anas Radiallahu Anhu hai.: Rasoolullah ﷺ Sallallaho alaihe wasallam irshad farmate hain: Mai hu Muhammad bin Abdullah bin Abdul Muttalib bin Hashim bin Abdul Munaaf bin Quzi bin Qilaab bin Marrah bin Ka’ab bin Lui bin Ghalib bin Feher bin Malik bin Nazreen Kunana bin Khuzaima bin Madarka bin Iliyas bin Muzar bin Tazaar bin Ma’ad bin Adnaan..
Kabhi log 2 giroh na huye magar ALLAH ﷻ ne mujhe behtar giroha me kiya to mai apne Maa Baap se aisa paida hua ki zamana-e-Jaahiliyat ki koi baat mujh tak na pahunchi aur mai Khalis Nikah-e-Saheeh se paida hua, Aadam se lekar apne Waalidain tak. To mera Nafs-e-Kareem tum sabse afzal aur mere Baap tum sabke Aaba se behtar...
Ref [ Dalailun Nabuwwa Baab-Zikr Asal Rasoolullah Sallallaho alaihe wasallam jild 1 Page. 174-179 ]
Ref [ Tarikh Damishqul Kabeer Baab-Ma’arfate Nisbah jild 3 Page. 29 and 38 ]
Ye lafz “Mera nasab tum sabse afzal aur mere Aaba tum sabse afzal hain”
Ref [ Tarikh Damishqul Kabeer Baab-Ma’arfate Nasbah jild 3 Page. 30 ]
Is Hadees me awwal to nafi aam farmayi ki Ahed-e-Jaahliyat ki kisi Baat ne Nasab-e-Aqdas me kabhi koi raah na paayi.. Ye khud dalil kafi hai aur amr-e-Jaahiliyat ko khusoos zina par hamal karna ek to takhisis bila mukhtasis dusre laghu ki nafi-e-zina saraahatan iske mutassil mazkoor...
Saaniyan Irshad hota hai ki tum sabke aaba se behtar, in sab me Hazrat Saeed bin Zaid bin Amru Radiallahu Anhu bhi qat’an dakhil hain to laazim hua ki Hazrat Walid-e-Majid Hazrat Zaid se afzal hon.. Aur ye Ba-hukm-e-ayat be-islam na-mumkin..
Agar Maaz ALLAH ﷻ Aaqa (صلی اللہ علیہ وسلم) ke walidain ko ab ghair ,momin maane to ye kaise mumkin hoga ki wo ek Eiman wale Hai.. Zaid se afzal hain..? Kyunki koi kafir to Momin se afzal nahi ho sakta na...
[ Daswi Daleel ]
Mai kehta hu ALLAH ﷻ ne farmaya: Khuda khub janta hai jahan rakhe apni paighambari..
Ref [ Qura'an Kareem 6:124 ]
Ye Aayat gawah hai ki ALLAH ﷻ sabse zyada moazziz wa mohtaram mauze waze risalat ke liye intekhkab farmata hai. Wa lehaza kabhi kam qamon razeelon me risalat na rakhi. Fir kufr-o-shirk se zyadah razeel kya shai hogi..? Wo kaise is qabil ki ALLAHo ﷻ Azzuwajal Noor-e-Risalat isme wadiyat rakhe. Kufar mohal-e-ghazab wa lanat hain aur Noor-e-Risalat ke waze ko Mohal-e-Raza wa rehmat darkaar...
Hazrat Ummul Mumineen Siddiqa Radillahu Anhu par ek bar khauf wa khashiyat ka ghalba tha. Girya-o-zaari farma rahin thi. Hazrat Ibn Abbas Radillahu Anhu ne arz ki: Ya Ummul Mumineen kya aap ye ghuman rakhti hain ki Rabbul Izzat ne jahannam ki ek chingari ko Muhammad Mustafa (صلی اللہ علیہ وسلم) ka joda banaya...? Ummul Mumineen ne farmaya: Tumne mera gham door kiya. ALLAH ﷻ TA’ALA tumhare gham door kare.
Khud Hadees me hai Huzoor Sayyed Aalam (صلی اللہ علیہ وسلم) farmate hain: Beshak ALLAH ﷻ Azzuwajal ne mere liye na maana ki mai Nikah me lane ya Nikah me dene ka Muamla karu. Magar Ahle Jannat se..
[ Tarikh Damishqul Kabeer, Ramlah bint-e-Abi Sufiyan 73:110 ]
Isko Ibn Asakir ne Hind bin Abi Haala Radiallahu Taala Anhu se riwayat kiya.
Jab ALLAH ﷻ ne apne Habeeb (صلی اللہ علیہ وسلم) ke liye pasand na farmaya (ke Ghair muslim apke Nikah me aaye) Khud Habib (صلی اللہ علیہ وسلم) ka Noor Paak MaazALLAH ﷻ Mahal-e-Kufr me rakhne ya Habib (صلی اللہ علیہ وسلم) ka Jism-e-Paak Iyaaz-Billaah Khoon-e-Kufr se banane ko pasand farmana kaise muwaqe hoga.
ALLAH ﷻ ki Taareef hain, ye 10 Daleel Jaleel hain. Pehli 4 Irshad-e Aimma Kubaar aur 6 Akhir Faiz-e-Qadeer Musda Faqeer.. (ye 10 Kaamil hui aur pehli aur pichhli me sab tariff ALLAH ﷻ Ta’Ala ke liye hain)
ALLAH ﷻ se dua hai Apne Mehbub (صلی اللہ علیہ وسلم) ke sadqe hamari is choti si koshish ko qubul farmaye...
THE END POST
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
Plz share to others also
VISIT US : www.nabikibaatein.com
No comments:
Post a Comment