Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Tuesday, February 14, 2017

ISLAM AUR SOOD


ISLAM AUR SOOD

PART:-01

 KHOON KA DARIYA



Saahib e Judo Nawaal, Rasool e Be Misal Huzoor ﷺ ne irshad farmaya... Maine shab e meraj dekha ki do shaks mujhe arze muqaddas yani baitul muqaddas le gye fir hum aage chal diye yahan tak ki khoon ke ek dariya par pahunche jis me ek shaks khada huwa tha or dariya kinare par Dusra shaks khada huwa tha jis k samne pat'thar pade huye the

 Dariya me maujud shaks jab bhi baahar nikalne ka iradah karta to kinare par khada shaks ek Pat'thar us ke munh par maar kar use us ki jagah lota deta isi tarah hota raha ki jab bhi wo (dariya wala) shaks kinare par aane ka iradah karta to dusra shaks us ke munh par pat'thar maar kar use lota deta maine pucha.. Yeh dariya me kon he..??
Jawab mila... yah sood khaane wala hai..

Ref ( Sahih Bukhari, Jild 1, Safa 14, Hadees no. 2085
)

 Pyare dosto fee zamana jahan hamara mu'ashara be shumar burayiyon me mubtila he wahi ek aham tarin burayi hamare mu'ashare me badi tezi ke sath parwan chadh rahi he, wo yah ki ab kisi haazat mand ko bagair sood (interest) ke qarz milna mushkil ho gya he lihaza aayiye is bhayanak bimari ke bare me jante he jo ek wabaa ki tarah hamare mu'ashare me phailti chali ja rahi he halanki qarz dene ke be shumar fazayil marwi he chunanche..

(3) KHUSH NASIB BANDE


Sarkar e Madina, Rahat e Qalb o Sina ﷺ ka farman e aalishan he.. 


"Teen tarah ke momin bando ko ijaazat hogi ki wo jannat ke jis darwaje se chahe dakhil ho jaye or jo nemat chahe akhtiyar kare.

 (1). Maqtul ke waaris, jo qatil ka khoon maaf kar de
(2). Jo haazat mando ko qarz de
(3). Or jo har farz namaz ke baad 10 baar Qul Howal'laahu ahad sharid padha kare..

Ref ( Masnad Abi Ya'ala, Masnad Jaabir Bin Abdullah, Jild 2, Safah 196, Hadees no. 1788



 Is hadees e paak me 3 khush nasib bando ka tazkira he jin me ek wo bhi he jo haazat mando ko qarz deta he kyun ki jo kisi mohtaz ko qarz deta he ba roz e qayamat use azr o sawab ka paimana bhar bhar kar diya jayega.. 

Magar afsos hamare yahan qarz to diya jata he magar sood par, or aakhirat ka sawab nhi dekha jata...


♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
Plz share to others also

VISIT US : www.zikr-e-nabi.com

VISIT US : www.zikr-e-rasool.com

Download App http://goo.gl/x7SwOb

No comments:

Post a Comment