Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Tuesday, February 14, 2017

TAQLEED ZAROORI HONE KI DALEEL

TAQLEED ZAROORI HONE KI DALEEL..!


  PART   (4)


TAQLEED Ka Ye Hukm To hame Quran Hi Se Mil Raha Hai
Allah Pak irshad Faramata Hai. 
"Aye iman Walo Hukm Mano Allah Ka Aur Hukm mano Rasool Ka Aur unka Jo Tum Me Hukumat Wale Ho"


Ref ( Para-5, sure nisa ayat-59 )

Is ayat me akhri lafz "ULIL AMR MINKUM" (اولی الامر منکم) Aaya Hai iski Tafseer Me, 
HAZRAT JABIR BIN ABDULLAH, HAZRAT ABDULLAH BIN ABBAS, HAZRAT MUJAHID, IMAM HASAN BASRI, Se Manqool Hai Aur imam Fakhruddin Razi Ne Isi Tafseer Ko Kai Dalilon Se Tarjeeh Dete Huye Likha Hai.
Is ayat Me lafz "ULUL AMR" Se Ulama Muard lena Behtar Hai

Ref ( Tafsire Kabeer jild-3,page-334}

Baher Haal is ayat me musalmano Se Kaha Gaya Ki wo Allah O Rasool(صلى الله عليه وسلم ) ki ita'at karen aur Un Ulma O Fuqha Ki ita'at karen jo Allah O Rasool(صلى الله عليه وسلم ) ke Kalam Ke Shareh (tashreeh karne wale) hain 
Aur isi ita'at ka Istelahi Naam TAQLEED Hai..!

Gair Muqallid Aalim Maolana Mohammad Juna Garhi, Ahlehadis Jamat Ke 2 wasool Farmane Khuda Farmane Rasool Ka Nara Lagate Huye Apni kitab me likhte hain..
"Aapke 2 Haath Hain Aur shariat Ne Aapko 2 Chizen Dee Hain,
 1 Quran Aur Dusri Hadees, ab Na Tisra Haath Hai Na Tisri Cheez. !

Ref ( Tariqe mohammadi Page-19 )

Esi kitab Me Aage Likhte Hain,
"Suniye Janab Buzrugon Ki Mujtahido Aur imamo Ki Raay Qayas Ijtehad O istembat Aur unke aqwaal to Kahan, Deen Me Agar khud Paigambar (huzoor) Bhi Apni Taraf Se Bagair Wahi Ke Kuch Faramyen To Wo Hujjat Nahi"

Ref ( Tariqe Mohammadi page-57 )

In 2 ibarton se pata chala ki Gair Muqallidon ke nazdeek Deen ke tamam Ahkam O Masayel ko samajhne ke liye sirf aur sirf 2 Hi chizen Zarya hai 1 Quran 2ri Hadees....!
Jab ki Ahlesunnat O Jamat (hanfi,shafai,malki,hambali) ke nazdeek Shariat ke ahkamo masayel sabit karne ke liye Daleelen 4 Hain.

(1)Quran
(2 )Hadees
(3 )Ijma
(4 )Qayase Shari.

Ref ( NURUL ANWAR )

Ab Yun samjho.... Ki shariat ke Baaz ahkam Quran se sabait hote hain. Masalan Quran Ne kaha Namaz Qayam karo. Magar namaz padhne ka mufassal tariqa aur 5waqt ki namazo ki rakat kya Quran me likhi hai.?


Iske liye Hame Hadees Se namaz ki tafseel samajhni hogi.
Aur Baaz masayel wo hain jo hadees me hai ya bilkul nahi aur hai to ijamalan (mukhtasaran) zikr Kiye gaye uski Tafseel ke Liye Imam O Mujtahid Qayas karta hai Ya Qayas ke zarye Baat ko puri tarah samjhta hai aur hum jaise log us imam ke Qayas se us masle Ko Puri tarah samajhte hain..!

Uski misal Yun samjho. Hadees Me Hai Jab Khane Me makhkhi Gire To use Pura Duba Kar Nikale Aur Khana istemal me laye usse khana Kharab nahi hua.. !

Hadees me sirf makhkhi ke bare me ye hukm aaya hai. Lekin agar Machchar jugnu makoda Gire To Kya Kiya Jaye???

Iska hukm Na Quran Me Hai Na Hadees Me, is mauqe pe imam Abu Hanifa رضی اللہ عنہ Ne Qayas Kiya Aur inka hukm Bataya Ki Dekho makhkhi ke girne se khana is liye kharab Nahi Hota Chunki uski Ragon me Gardish Karne wala Khoon Maujood Nahi Lihaza Tamam Aisi Chizen Jinko Ragon me Daorne wala khoon Nahi Wo Makhkhi ke hukm me hai..
Haan agar Makhkhi Gire To Use Pura Duba Kar Niklana usi ke saath khas hai. Chunki hadis me aaya hai ki makhkhi ke 1 Par me Shifa aur 1 par me bimari hai. Wo jab Bhi khane me Girti Hai To Bimari wala Par Dalti Hai is liye use pura duba kar nikale taki shifa wala Par Bhi Doob jaye...
Lekin machchar aur jugnu makoda etc. Ko sirf nikale aur khana istemal kare...!

Gair muqallideen Bholi Bhaali awam ko ye keh kar gumrah karte hain ki imamo ne Qurano Hadees ke hote huye Qayas kiya aur masle apni AQAL Se bayan kiye.. !
Ye sarasar ilzam aur bohtan hai..
In imamo ne Qayas wahan kiya jahan Quran O hadees Se masla wazeh nahi tha. Tab Qayas kiya. Agar masla Quran me maujood ho to Qayas haram Ya Hadees me maujood Ho To Qayas haram,,, Magar jab Quran Ya Hadees me maujood to ho magar Uske Kai Kai Maana Ho To imam (aala darje ka faqeeh aur mujtahid) Qayas ke zarye sahi maana batata hai aur hum us masle me uski TAQLEED Karte Hain..
Yaad rahe Qayas Ka Ye Haq sirf mujtahid Aur Aala darje ke Faqeeh (deen ki samajh rakhne wale) Ko Hi hai Har Ayre gaire ko nahi ise Qayase Shari Kehte Hain..!

Hum gair muqallidon se puchna chahte hain Wo jo Logo Ko TAQLEED Se Rokte hain aur kehte hain Quran Hadees Ke Hote Huye Qayas karna haram hai aur imamo ne Qayas kiya is liye inki TAQLEED HARAM O Shirk hai..!
Kya Gair Muqallid Ulma Apni awam ko sare masle Quran Aur Hadees Se Hi Batate hain..?
Agar Haan To Sahebaan zara ye masle Hame Quran Ya Hadees me Batayen...!

(1). Blood donation (inteqale khoon) karna kaisa.? Quran me dikhayen ya sirf Sahi hadees me. Qayas No.

(2).Injection Se roza Toot'ta hai Ya nahi? Only Quran & Sahi hadees No Qayas.

(3).Post martem (aaza ki pewand kari) karna kaisa? Quran & sahi Hadees Se Daleel Den.

(4).Banking loan Lena Kaisa.?

(5).Test tube baby Se bachha Paida Ho To Halali Hai ya Harami,

(6).phone internet par nikah ya talaq ka kya hukm hai.?
Sirf Quran o hadees se batayen Kya ye saare masle Gair muqallid awam Ko Pesh nahi aate..?
Aur kya wo ye sab masle apne ulma se nahi puchte..?
Phir is masle me unke ulma jo faisla karte hai kya unki awam nahi maanti.? Us waqt Quran & Hadees se Demands Kyu nahi karte.???
Afos Bade Bade aimma ulma Qayas kare To shirk aur 15wi sadi ka jahil mulla Qayas se masla Batay To islam.
Dosto ye masle Haqiqatan Aise hain jo Quran o hadees Se Nahi Batay ja sakte Balki in maslo Me Qayas ke siwa Koi chara Nahi.

Aur yahi Nahi Aise hazzaron Masayel hain jahan Quran o Hadees Ka wazeh hukm Nahi Hota Is Liye Qayase shari ke zarye masla Bataya jata hai aur hum in masayel me Jahan Quran O sunnat ka Wazeh hukm.nahi hota Hai imamo Ki TAQLEED Karte hain aur unke Batlay huye masayel par amal karte hain.

TAQLEED Kehte kise hain Aur Taqleed kahan Kee jati Hai Aur Kahan Nahi iska mufassal jawab Guzishta 5 Qiston Me Guzar Chuka Hai.

Lihaza aage Badhne se Qabal aap uska mutala Zaroor Kare...!
Gair Muqallid Ulama Sidhe Sadhe musalmano ko Taqlid se Rokne Ke Liye Kuch Hadeesen Aur Quran E Kareem Ki aayaat Pesh karte hain. Bhola musalman Allah O Rasool Ka Farman Sunke unke jhanse me aata Hai.
Aaiye Aaj Hum unke Quran Se Kiye Jane wale aiteraz ka HAQIQI Jayza Len kya wo farman Waqai 4 imam Ki Taqleed karne walon ke liye Hai???

 TAQLEED PAR G.M (Gair muqallideen) Ka Quran Se aiteraz.
 Aur Jab Unse Kaha Jaye Ki Allah Ke Utare Par Chalo To kehege Hum To usi pe Chalege jis Par Apne Baap DaDa ko Paya, agar Che unke Baap DaDa Na Kuch AQL Rakhte Hon Na Hidayat. !

Ref ( Para-2,Ruku-5, sure BAQRA Aayat-170 )

Gaor Kijiye aur bataiye kya is ayat ko muqallido par Fitt karna jayez hai???
Ye ayat to arab ke mushriko ke liye nazil hui jo Apne Baap dada Ki Tarah Buton ke pujari the.. jab unse kaha jata Tauheed Risalat Aur Akhirat Pe Imam Lao To wo kehte hamare Baap DaDa Ne Ye Chiz na maani aur is tarah wo gumrahi me aur Deen ki Bunyadi Baton me Baap dada Ki Taqleed karte the..!
Aur hum pehle hi Bata Chuke Hain ki Deen ki bunyadi Baton me kisi ki TAQLEED jayez nahi. Hum To Char imamo Ki TAQLEED Quran O Sunnat Ko Tafseel se samjhne ke liye karte hain. Is liye is ayat ko musalmano pe chaspan karna jihalat hai...!

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
Plz share to others also

VISIT US : www.zikr-e-nabi.com

VISIT US : www.zikr-e-rasool.com


Download App http://goo.gl/x7SwOb

No comments:

Post a Comment