Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Tuesday, February 14, 2017

MASJID-E-NABAWI KI TAMEER

SEERAT E MUSTAFA 

PART:-13

MASJID-E-NABAWI KI TAMEER




Madina Me Koi Esi Jagah Nahi Thi Jaha Musalman Ba-Jama'at Namaz Padh Sake Is Liye Masjid ki Tameer Nihayat Zaruri thi Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ki Qayam Gaah Ke Qareeb Hi "BANU NAJJAR" Ka Ek Baag Tha Aapne Masjid Tameer Karne ke Liye Baag ki Qeemat Deker Kharedna Chaha Un logo Ne Ye Kehkar ki Yaa RASOOALLAH (صلی اللہ علیہ وسلم) Hum Khuda se Hi Iski Qeemat(AZRO SAWAB) Lenge.
Muft me Yeh Zameen Masjid ki Tameer ke Liye Pesh Kar di Lekin Lekin Yeh Zameen Asal me 2 Yateemo ki Thi Aapne Un Dono Yateem Baccho ko Bulawa Bheja Un Baccho nr bhi Zameen Masjid ke Liye Nazr karni Chahi Magar Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Isko Pasand Nahi Farmaya Isliye Hazrate Abu Bakr Siddiq رضي الله تعالي عنه Ke Maal Se Aapne Iski Qeemat Ada Farma Di..

Ref (Madarijunnabuwwah Jild- 2, Safah- 68)

Is Zameen Me Chand Darakht Kuch Khandrat Aur Kuch Mushriko ki Qabre Thi Fir Is Zameen ko Barabar Karke Khud Apne Daste Mubarak se Masjid ki Buniyad Dali Aur Kacchi Ento ki Deewar Aur Khazur Ke Sutuno Par Khazur ki Pattiyo Se Chat Banai Jo Barish me Tapakti thi..

Is Masjid ki Tameer Me Sahaba-E-Kiraam Ke Sath Khud Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Khud Bhi Ente Utha Utha Kar Late the Aur Sahaba E Kiram Ko Josh Dilane Ke liye Unke Sath Awaz Mila Kar Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Rajaj ka Ye Sher Padhte Jate the..


AYE ALLAH !
BHALAI TO SIRF AKHIRAT KI BHALAI HAI LIHAZA AYE ALLAH TU ANSAR WA MUHAJIREEN KO BAKSH DE.

Isi Masjid ka Naam "MASJID-E-NABWI" Hai Ye Ye Masjid Har Kism ke Dunyavi Takallufat se Paak Aur Islam Ki Sadgir Ki Sacchi Aur Sahih Tasveer thi.
Is Masjid Ki Imarate Awwal Tul Wa Arz me 60 Gaz Lambi 54 Gaz Choudi Thi Aur is Ka Qibla Baitul Muqaddas Ki Taraf Banaya Gaya Tha Magar Jab Qibla Badalkar Qaba Ki Taraf ho Gaya to Masjid ki Shimali Janib Ek Naya Darwaza Qaim Kiya gaya Iske Bad Mukhtalif Zamano me Masjide Nabwi Ki Tazviz Wa Tousie Hoti Rahi.
Masjid Ke Ek Kinare Par Ek Chabutra Tha Jis Par Khazur Ki Pattiyo se Chat Banai Gai thi Isi Chabutre Ka Naam "SUFFA" hai Ji Sahaba Ghar Bar Nahi Rakhte the wo Isi Chabutre par Sote Bethte the Aur Yahi log "ASHABE SUFFA" Kehlate The...

Ref (Madarijunn-Nabuwwah- Jild - 2, Safa- 69 wa Bukhari )

AZWAZE MUTAHHARAT KE MAKANAT.


Masjide Nabawi Ke Muttasil Hi Aap Ne Azwaze Mutahhara Ke Liye Hujre bhi Banwae Us Waqt Tak Hazrate Bibi Soudah Aur Hazrate Aaisha Radiallahu Taala Anhuma Nikah Me thi Isliye Do hi Maqan Banwae Jab Dusri Mutahhara Aati Gai To Dusre Maqanat Bante Gae.
Ye Maqanat bhi bhot Sadgi ke Sath Banae Gae the 10 Hath Lambe Aur 6 Hath Choude Kacchi Into Ki Deeware Khazur ki Pattiyo Ki Chatt Wo bhi Itni Nichi ki Aadmi khada hokar Chat ko Choo leta Darwazo Me Kiwad bhi Na The Kambal Ya Taat ke Parde Pade Rehte the..

Allahu Akbar !
Ye Hai Sehenshahe Do Aalam (صلی اللہ علیہ وسلم) Ka Wo Kashana-E-Nabuwwat Jiski Aastana Bosi Aur Darbani Jibrail Aleyhissalam Ke liye Sarmaya-E-Sa'adat Aur Baise Iftilhar thi...

Allah Allah !
Wo Sehanshah-E-Konen Jiski Khalike Qainat Ne Apna Mehman Banakar Arshe Aazam Par Mansad-Nashi Banaya Aur Jiske Ser per Apni Mehboobiyat ka Taaj Pehnakar Zameen ke Khazane ki Kunjiya Jiske Hath Me Ata Farma di Aur Jisko Qainate Aalam Me Kism Kism ke Tasarrufat Ka Mukhtar Bana Diya.
Jiski Zaban Ka Har Farman Kun Ki Kunji Jiski Nigahe Karam ke Ek Ishare Ne Un logo Ko Jis Ke Hatho me Onto Ki Mahar Karti thi Unhone Aqwame Aalam ki Kismat ki Lagam Ata Farma di Allahu Akbar.
Wo Tajdare Risalat Jo Sultane Daren Aur Sehanshahe Qounen Hai Uski Haram Sara Ka ye Aalam ?
Aye Suraj Bol,
Aye Chand Bata,
Tum Dono ne Is Zameen ke Be shumar Chakkar Lagae Hai Magar kya Tumhari Aankho Ne Esi Sadgi Ka koi Manzar Kabhi bhi Aur Kahin bhi Dekha hai ???





♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
Plz share to others also

VISIT US : www.zikr-e-nabi.com

VISIT US : www.zikr-e-rasool.com

Download App http://goo.gl/x7SwOb

No comments:

Post a Comment